Kuch Kuch Hota Hai

550 78 26
                                    

Hum apni zindagi mein kitne ehsaas jeete hai, par mohabbat ka ehsaas shayd unmein se sabse alag, sabse anokha hota hai.
Aisi mohabbat se bhara hua safar hi toh jee rhe the Sameer Naina. Dono ka mohabbat karne ka tarika alag tha, par jazbaat ek se the. Dono ki pyaar ko lekar soch alag thi, par unki chahhat ek si thi. Dono ka ishq alag tha, par kismat ek si thi. Dono ke liye pyaar ke mayne alag the, par ehsaas ek sa hi tha.
Tabhi toh kabhi Sameer Naina ke liye toh kabhi Naina Sameer ke liye apni mohabbat shabdon se na sahi, par apne anokhe tarike se jahir toh kar hi rhe the.
Is pyaar ko woh koi naam nhi de pa rhe the, par phir bhi us ehsaas ko woh jee rhe the kabhi darr darr ke toh kabhi hass hass ke.

In School
Naina- Preeti yeh sab kya chal rha hai School mein?

Preeti- Naina tu abhi bhi yeh dekhke nhi samjhi.
Arey aaj Valentines Day hai na.
Pyaar mein pagal premiyon ka din.

Naina- Valentines Day..

She started daydreaming about Sameer.

Preeti- Tujhe kya ho gaya...kahin tu bhi apne kisi valentine ke khayalo mein toh nhi kho gayi. Bta bta kon h tera woh.

Naina- Sameer

Preeti- Sameer?
Woh tera valentine...

Naina- Nhi..wo..woh..toh..main..woh..Sameer..nhi..
Mera matlab hai woh Sameer ne ek kaam bola tha mujhe Mam ka..
Yeh keh rhi thi main.

Preeti- Achaaa..mujhe laga ki Sameer tera..

Naina- Sameer..mera kya..

Preeti- Chod ab tu yeh sab.

Naina(to herself)- Toh aaj Valentines Day hai. Mujhe Sameer ke liye kuch toh karna chahiye. Par aise directly toh main uske samne nhi ja sakti.
???
Idea!

In School Garden
Naina School Garden mein jaati hai aur wahan se ek rose tod leti hai.

Gardener- Kya kar rhi ho tum yahan. Phool tod rhi ho.

Naina- Woh Uncle..

Gardener- Yahan likha hua hai na ki phool todna mana hai.
Chalo mere sath abhi main tumhari Principal Madam se shikayat karke aata hoon.

Naina- Uncle..please sorry..aage se aisa nhi karugi..

Gardener- Lao phool vapis karo.

Naina- Nhi..yeh mujhe chahiye aaj.

Gardener- Kyu chahiye tumhe?

Naina- Woh aaj..aaj humari ek mam ka Birthday hai toh un ke liye chahiye tha.

Gardener- Thik hai le jao.

Naina(to herself)- Sorry bhagwan ji maine phir se jhuth bola. Par aur karti bhi kya main, kum se kum ek rose toh aaj ke din Sameer ko de hi sakti hu.
Bas ab yeh rose us tak kaise bhi karke pahuchana hai. Ek kaam karti hu next games ke period mein jab sab niche ground mein chale jayege tab yeh main Sameer ke bag mein daal dungi.

Next period mein sabke jane ke baad Naina Rose lekar Sameer ke bag ke pass jati hai aur us rose ko kiss karke Sameer ke bag mein rakh deti hai.
Par tabhi piche se koi aata hai.

Someone- Tum Sameer ke bag ke sath kya kar rhi thi..Haan.. Kuch chura rhi thi na.. main abhi Sameer ko bta ke aati hu.

Naina- Sunaina tum kya bole ja rhi ho..main kya churayugi Sameer ke bag se.

Tabhi Sameer aur kuch bacche class mein aate hai.

Sunaina- Sameer dekho yeh Naina tumhare bag ke sath kuch chedkhani kar rhi thi.

Naina- Nhi..Sameer..

Sunaina- Jhuth bol rhi hai yeh Sameer..pakka tumhare bag se kuch chura rhi hogi..Ab aise middle class logo se aur umeed bhi kya kar sakte hai.

Naina- Aisa nhi..

Sameer- Naina..bas..

Her eyes became moist and she starts sobbing.

Sunaina- Sameer..

Sameer- Don't..Kuch mat bolna ab tum. Bahut bol chuki ho. Aur yeh mat samajhna ki maine Naina ko isliye chup karwaya hai kyuki main uspe koi doubt kar rha tha, balki isliye karaya hai kyuki mujhe pata hai woh aisa kuch nhi kar sakti. Aur iske liye mujhe uski koi clarifactiom bhi nhi chahiye because 'I Trust Her'.
Aur yeh baat tum bhi ache se samajh lo.

Yeh sunke Naina ne jo aansoo ab tak roke hue the woh behne lage the. Par yeh aansoo Sunaina ke uspar lagaye gaye ilzaam ke the ya Sameer ka uske liye kiye gaye vishwas ke..

Sameer- Ab tum kyu ro rhi ho Naina?

Sameer- Naina..lo tum toh aur rone lag gayi.
Ab bas chup..aur nhi royogi tum.

Naina- Tum mujhe chup karwa rhe ho ya phir daant ke aur rula rhe ho.

Sameer- Are baba chup hi karwa rha hu. Please chup ho jayo ab toh.
Naina I hate tears re..

Naina- Hehe..kitne bure actor ho.

Sameer- Par tumse kum.

Naina- Sameer..tum..

In evening at Sameer's House
Sameer(to himself)- Yeh rose mere bag mein kahan se aaya. Kahin Naina...nhi nhi woh nhi rakhegi, woh konsa mujhse koi pyaaar vyaar karti hai.
Phir kisi aur ne rakha hoga. Yeh ladkiyaan bhi na..
Par jisne bhi diya ho, bahut alag sa hai yeh. Shayad yeh Naina ne mere liyw rakha hota, toh sach mein mera Valentine Day special ban jata.

Otherside
Naina(to herself)- Ab tak toh Sameer ne woh rose dekh bhi liya hoga. Kahin use mujh par shak toh nhi hua hoga.
Hopefully aisa na hi hua ho kyuki itna Trust jo karta hai mujh par.

Sameer's VO
Us din jo chahat main mann hi mann mein soch rha tha mujhe kya pata tha woh toh kab ki poori ho chuki hai.
Naina ne, meri Naina ne us din itne ilzaam, itne jhuth, itni msuhkilo se ladte hue woh ek phool mujh tak pahunchahya tha.
Par mere liye woh sirf ek mamooli phool nhi tha, woh Naina ka unkaha pyaar tha mere liye jise shabdo ki koi jarurat nhi thi. Uski khusboo thi usmein jo uski feelings ko bayaan kar rhi rhi. Uski hothon ki chuhan thi usmein, jo uske kisi izhaar se kum nhi tha.

Naina's VO
Woh Valentines Day mere liye sach mein bahut special ho gaya tha. Afterall mere Valentine ne, Sameer ne mujhe woh teen magical words jo bol diye the. I love you na shi I trust you hi shi.
Aur shayd us waqt humare rishte ho pyaar se zyada bharose ki hi zsroorat thi, jo us din Sameer ne mujh par dikhaya tha Sunaina se ladke, mere liye khade hoke.
Waise ek daring kaam toh maine bhi kiya tha, ek padhaku Naina ne us din jhuth bolke, rules todke phool jo toda tha. Shayad yeh aaj ke zamane mein bahut choti si baat ho, par un dino aisa karne ke baare mein sochna hi dil ko dhadka deta tha.
Par us din jo sabse badi baat mujhe samajh aayi woh thi ki Sameer hi woh aisa shaksh hai jiske liye Main aansuon ki Ganga Jamuna baha sakti hu aur Sameer hi woh shaksh hai jiske kehne par main do pal mein apne chehre par muskuruhat hi phuhar bhi la sakti hu. Tabhi toh ek pal mein uska meri koi explanation na sunna mujhe rula gaya tha aur dusre hi pal mein uski pyaar ki daant aur uski overacting mujhe meri hasi lauta gayi thi.

Dono ke rishte ne ek aur imtehaan pass kar liya tha, bharose ka imtehaan. Ek bharosa jo Sameer ne Naina par dikhaya tha uska sath deke aur dusra bharosa jo Naina ne us din jaana tha; Sameer ko apni khushi aur ghum ki wajah manke. In dono ko toh pata hi nhi chala tha ki us din ki yeh vishwas ki dor unhe zindagi bhar ki hasi aur aansuon se jodne wali thi. Kab yeh dono ek dusre ki hasi aur aansuon ki wajah ban gaye inhe khabar hi na lagi. Aakhir yehi toh inka anokha pyaar tha, jiska koi naam nhi tha sirf ek ehsaas tha ki 'Kuch Kuch Hota Hai'.

।तेरे लिए।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें