Mera Dil Bhi Kitna Pagal Hai

296 56 50
                                    

Yuhi duriyon mein
guzar gayi zindagi,
Kabhi woh juda,
Kabhi main juda.

In chahto ke mod par,
Kabhi woh ruki,
Kabhi main ruka.

Vhi raaste..vhi manzile,
Na use khabar,
Na mujhe pata.

Apni apni aham ki aag mein,
Kabhi woh jali,
Kabhi main jala.

Yeh kudrat ka ajeeb sa khel tha,
Na woh bewafa,
Na main bewafa.

Phir bhi na jaane kyu, kaise, kab aisa koi shaks zindagi mein mohabbat bankar aa hi jata hai, bilkul waise jaise aati hai subah..ek nayi umeed lekar, jaise aati hai barkha..banzar zameen par boond lekar, jaise aati hai dhadkan..aawaz ki dhun lekar. Aise kisi ka aana, kuch der ka theharna aur phir achanak se chale jana..sab is pagal se dil ki hi meharbaani hai. Sameer Naina ka pagal dil..jo kabhi ek dusre se durr hone ko kehta tha, toh kabhi phir se ek dusre ke kareeb aane ko machalta tha, kabhi shaant paani ki tarah theharta tha, toh kabhi samundar ki lehro ki tarah qahar machata tha.

Soaking Sameer's shirt with her tears, and his heart with her pain, Naina breaks down in his arms as a mother.

Naina- Main kabhi ek buri Maa nhi banna chahti thi Sameer, lekin phir bhi saabit hui apni beti ke liye. Aur apne bete ki nazro mein main toh aaj tak ek Maa bhi nhi ban payi, uski asli Maa. Mere dono bacche mujhse durr ho gaye, bahut durr, humesha ke liye..

Sameer- Chup..idhar dekho meri taraf..meri aankhon mein.

Wiping the tears from her eyes, he entwined his fingers with hers and kept it on his heart. On looking in his eyes, and on hearing his unsaid words in his said heartbeats, Naina got the answers for her every dilemma.

Sameer's VO
Zindagi ke baare mein kaha jata hai ki jab bhi use haskar dekhege toh humare saath woh bhi muskurayegi, jab bhi use udaas hokar dekhege toh sheeshe ki tarah woh bhi toot jayegi, jab use seene mein gham rakhkar dekhege toh aag ka dariyaa ban jayegi aur agar use khil khilakar dekhege toh phool ki tarah woh bhi khil jayegi.
Mere saamne us din meri zindagi bahut ro rhi thi, maine bhi bas use apne dil ki dhadkan sunakar chup kara diya tha. Aur kehta bhi kya usse..use buri Maa banaya bhi toh maine hi tha, ab dobara yeh kehkar ki Naina tum humari beti ke liye buri nhi balki ek achi Maa ho, humare bete ke liye ek sagi Maa se badhkar ho..sirf itne se bharpai nhi hone wali thi.
Nhi janta tha ki aise konse lafz kahu jisse mere hi pichle kahe alfaaz woh bhul jaye. Janta tha toh bas itna ki mere saare gile, shikwe, shikayte uske aansuon se bade nhi the. Haan..agar usse bada kuch tha..toh woh tha mere pagal se dil mein chupa hua mera samajhdaar pyaar. Jo meri dhadkan mein usne sun liya tha, jo meri aankhon mein dekhkar uske aansoo rukwa gaya tha, aur jo uski khamoshi tootne par meri bolti bandh karwa gaya tha. Kyuki apne pyaar par ilzaam lagana phir bhi aasan hai, mushkil hai toh toh woh lamha jeena jab woh ilzaam qabool liya jata hai.
Aise hi lamhe par apni hi ek kavita yaad aa rhi hai..

Ab faasla itna bhi na tha,
Jitna main uska tha.

Shikwo ka tamam umar
ka silsila na tha,
Durr tak saath chalne
ka hausla jo tha.

Do din mein saath
chutt sakta tha,
Lekin dil tha mera..
koi tinko ka ghausla na tha.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें