Baarish aur Adhuri Khwaish

621 100 29
                                    

Log manzil mein khushiyaan talashte hai, magar sukoon toh safar mein hai.

Aisa safar jisme pyaar bhi ho aur dildaar bhi. Aur usi safar mein agar pyaar ka khel bhi khela jaye woh bhi dildaar ke hi saath toh woh safar bura kaise ho sakta hai. Par yeh khel bhi ajeeb hone wala tha..khushiyaan jeetne ki bajji mein sukoon jeetne wala tha.

Naina's VO
Us din na hi mujhe aur na hi Sameer ko pata tha ki woh kuch palo ka safar humare guzre 8 saalon ke safar ko dobara dohrane wala tha. Un lamho ko dohrane wala tha jo jeeye the humne kabhi..ek dusre ke bina.
Lekin bhala woh safar kaisa jis mein koi khel na khela jaye; a silent game of love. Jismein kabhi yaadon ka round hone wala tha, kabhi baaton ka, toh kabhi taano ka.

Sitting on the front seats of the car, both were stealing glances of each other. Finally, breaking the ice between them, Sameer begins.

Sameer- Toh tum Teaching ko apna career chuna..strange.

Naina- Professorship kehte hai use..aur us mein strange kya hai.

Sameer- But why?

Naina- Kyu kya hota hai. Mujhe banna tha Teacher, I mean Professor.

Sameer- Lekin jahan tak mujhe yaad hai tum judiciary mein jaana chahti thi. Class mein tumne kaha tha ek baar.Am I right?

Naina(to herself)- Ise ab tak yaad hai.

Naina- Woh sab toh bachpan ki baatein thi. Aur waise bhi uske liye mujhe ghar chodna padta, family ko chodke jana padta, apna shehar Rishikesh chodke jana padta. Jo main shayad nahi kar paati.

Naina(to herself)- Woh jagah chod ke kaise ja sakti thi main..jahan se tum jude the, hum jude the.

N

aina- Waise tumhe bhi toh Army mein jaana tha.


Sameer- Tumhe yaad hai.

Naina- Haan..jab class mein Shanti Teacher ne pucha tha ki bade hokar sab kya banna chahte hai. Toh sabse pehla haath tumhara hi khada hua tha.

Sameer- Aur dusre number par tumhara. Haina.

Naina- Lekin tumne jawaab nhi diya.

Sameer- Woh sab toh bachpan ki baatein thi.

Naina- Phir bhi kyu?

Sameer- Shayad mujhe apna ghar, parivaar aur shehar chodna tha.


Sameer(to himself)- Tum hi toh ho iska jawaab Naina. Tumse door rehne ke liye main sabse durr ho gaya. Aur aaj yeh sawaal tum hi puch rhi ho.

Naina's VO
Pehla khel tha sawaal jawaab ka. Jahan hum dono hi ek dusre se sawaal toh bahut puch rhe the par unka jawaab dene mein utna hi hichkicha rhe the. Khaskar main, jise The Great Sameer Maheshwari ne apni baaton mein jo fasa diya tha. Aur is round ke baad score the Sameer 1 aur Naina 0.
Ab baari thi second round ki yani Shikayaton ke round ki jisme mujhe toh bahut mazaa aaya lekin Sameer ke liye yeh kisi sazaa se kum nhi tha.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें