Pyaar tha, phir bhi koi naam nhi tha;
Ehsaas tha, par use bandhe rakhne ke liye rishta nhi tha;
Ibaadaat thi, par koi izhaar nhi hua tha;
Duaa bhi thi, par sath nhi tha.
Bahut kuch tha Sameer Naina ki mohabbat mein par bahut kuch nhi bhi tha.
Ek taraf woh abhi bhi apni kahani ko lekar doraahe par khade the, vhi dusri taraf ek dusre ke liye mar mitne ko bhi taiyar the.
Ab yeh bepanaah pyaar nhi tha toh aur kya tha.Sameer's VO
Intezaar; bahut bhari shabad tha meri aur Naina ki zindagi mein.
Kyuki humne pyaar karne ki gustaakhi toh kar di thi par abhi bhi bahut se pal aise the jinka hume besabri se intezaar tha.
Intezaar tha hume apne ishq ke izhaar ka,
Intezaar tha humari mohabbat ko qubool karne ka,
Intezaar tha dooriyon ko kum karne ka,
Intezaar tha toh bas khamoshiyon ko khushiyon mein badalne ka.
Aur isi intezaar ko khatam karne ki duaayein maang rhi thi Naina, isi intezaar ko mitane ki ibaadaat kar rha tha main.
Aur is intezaar ki asli keemat toh mujhse behtar koi nhi jaan sakta.In Naina's House
Is baar pehli baar Naina ke ghar Ganpati utsav manaya ja rha hai aur aaj Ganpati Visarjan ka din hai.Naina(to Lord Ganpati)-
Bappa is baar pehli baar aap humare ghar par aaye ho. Aapne mujhe meri life mein bahut kuch diya hai. Bas ek duaa aur mangti hu aaj aapse mujhe mera Sameer de do, uska sath, uska pyaar mujhe de do.
Maine suna hai ki aapke kaan mein agar kuch bhi sache mann se maango toh aap woh jarur poora karte ho.
Toh please Gannu ji mujhe mera pyaar de do. Bas meri yeh duaa qubool kar lo.Tabhi Naina Ganpati ji ke aage sir jhukati hai aur wahan rakha sindoor uski maang par lag jata hai.
Naina(to herself)- Thank You Bappa. Is sindoor ne mera pyaar ka rang aur bhi pakka kar diya hai.
Otherside
At Sameer's House
Vishakha- Sameer jara baat sun.Sameer- Han maa bolo.
Vishakha- Delhi se tumhare cousins aa rhe hai toh unhe tum Rishikesh ache se ghuma dena aaj. Aur swati ko bhi le jana par apni choti behan ko tang mat karna.
Sameer- Thik hai maa. Main aur Swati chale jate hai.
At Laxman Jhula, Rishikesh
Sameer- Kaisa laga humara Rishikesh.
Rohan(cousin brother of Sameer)- Wah bhai tu toh ab Rishikesh ka hi ho gaya hai.
Lagta hai ab Delhi tere dil mein na rhi.Sameer- Dil mein toh ab koi aur hi hai.
Deepika(cousin sister of Sameer)- Kon hai bhaiya.
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...