Kasme Vaade Nibhayege Hum

550 113 135
                                    

Hum khote chale gaye,
Rango se nhi..Ashko se,
Kagaaz ke panne dhote chale gaye.
Ek hum hi the humare,
Aur ab toh hum bhi tere hote chale gaye..

Dono ki pehli chahat thi, dono ek dusre ki chahat the. Woh vaade likha karti thi, woh kasme khaya karta tha. Jinhe dono nibhaya karte the; bina vaade ke ek dusre ka intezaar kiya karte the, bina kasmo ke bichadne ke baad bhi pyaar kiya karte the.

In Sameer's House
Vivek- Aa gaye tum, aaj toh jaldi aa gaye. Aaram se aate. Waise bhi yeh koi ghar thodi hai, hotel hai jahan jab mann kiya aa gaye, jab mann kiya chale gaye.

Sameer- Main Maa ko bta kar gaya tha.

Vivek- Aur baap ko btana jaruri nhi samjha.

Sameer- Aapke pass time hai mere liye jo aap meri koi baat bhi sunege.

Vivek- Sameer..Don't cross your limits. Behave yourself. Thode toh mature bano. Jo dil mein aata hai vhi karte ho.

Sameer- Aapko usme bhi problem hai. Itna mature toh ho gaya hoon main ki apne decisions khud le sakta hoon.

Vishakha- Aap rehne dijiye Vivek..abhi toh aaya hai. Khana toh kha lene dijiye use.

Vivek- Haan toh Vishakha konsi kamaai karke aaya hai tumhara Good for nothing beta. Mumbai ka kaam toh pehle hi bandh karke yahan baitha hai.

Sameer- Toh aapko problem yeh hai ki maine wahan ka kaam bandh kar diya hai. Aapko apne nafaa nuksaan ke aage kuch nhi dikhta na.

Vivek- Problem mujhe nhi tumhe hogi. Jab society wale tumhe baatein sunayege. Tab hogi tunhe problem. Konsa baap apni beti ka haath tum jaise ladke ke haath mein dega jo kuch kamata tak na ho.

Sameer- Aapko mere liye itna sochne ki jarurat nhi hai. Jaise wahan khud akele bina kisi ki madad ke sab setup kar liya tha yahan bhi kar lunga.

Vivek- Dekh rhi ho Vishakha. Shi kaha tha na maine ki isne humesha apna alag hi raag aalapna hota hai. Tumhare is bete se koi umeed rakhna hi bekar hai.

Both father and son stare at each other after which Vivek goes to his room.

Sameer- Maa aapke Husband ko mujhse taqleef kya hai.

Vishakha- Sameer..tumhare Papa hai woh.

Sameer- Papa wala ek bhi farz nibhaya hai unhone aaj tak.
Chahte kya hai mujhse yeh.

Vishakha- Sameer..tum unke saath business kyu nhi join kar lete lo.

Sameer- Sorry Maa lekin main yeh nhi kar payuga. Shi kehke gaye hai woh ki mujhse umeed rakhna hi bekar hai.

In Night
Sameer- Naina kal subah baat kare please. Abhi main bahut thaka hua hoon.

Naina- Lekin Sameer..acha thik hai. Good Night.

Sameer- I Love You.

He disconnects her call.

Sameer- Phone nhi katta toh tum pakka samajh jaati ki kuch hua hai.

The words of his father are still echoing in Sameer's ear.
Konsa baap apni beti ka haath tum jaise ladke ke haath mein dega.

Sameer(to himself)- Is baare mein toh maine kabhi socha hi nhi ki Naina ne toh mujhe pasand kar liya, par uski family mere liye manegi. Us ladke ke liye jo abhi kuch kamata hi na ho.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें