Waqt hai, guzar jayega.
Mushkil hai, toh sambhal jayega.
Naseeb hi toh hai,
ik din palat jayega.
Jo tera hai,
tere pass chalkar aayega.
Koshishon se apni,
koi gardishein mitayega.
Bas chalta ja raahon par,
har mod tujhe manzil ke kareeb le aayega.The day has come, for which everyone was afraid somewhere, especially Sameer and Naina; the day of Surgery.
Everyone has come there for Naina, but her eyes were just looking for someone else.Naina(to Vishakha)- Maa, Sameer kahan hai.
Vishakha- Pata nhi Naina subah se hi nhi dikh rha.
Naina- Munna, Pandit tumhe toh pata hoga.
Munna- Nhi Bhabhi, pata nhi kahan chala gaya hai.
Pandit- Hum dekhte hai.
Vishakha- Naina tum aaram karo, thodi der mein Surgery ka time bhi ho jayega.
Naina- Jee Maa.
(to herself)- Kahan ho tum Sameer. Aa jao yahan, jarurat hai mujhe tumhari. Aur tumhe shayad meri.
Na jaane kya beet rhi hogi tum par.Otherside
Sameer is standing in a Dargaah, bow his head down in respect in front of Mazaar and tie the knots of threads around the main boundary wall, write small note of his wish on paper and hang them.Sameer(to himself)- Kehte hai aapke yahan sacche dil se kuch mango, apni iccha yahan likh kar baandh do, toh aap jarur use poora karte ho.
Meri wish bhi poori kar dijiye, meri Naina ko bacha lijiyega.After leaving from there, Sameer goes to the church, he gets onto his knees, lights the candle and pray before the statue of Jesus.
Sameer(to himself)- Is Candle ki Light ki tarah meri aur Naina ki zindagi mein bhi roshni la dijiye. Use kuch mat hone dijiyega, yeh andhera mita dijye uski zindagi se.
After that he goes to Gurudwara, covers his head, drowns himself in the holy pond of water, acknowledges and bows before the Guru Granth Sahib Ji, bends down and touches his forehead to the floor.
Sameer(to himself)- Himmat dijiye hum dono ko ki hum is musibat ka saamna kar sake. Naina ko marne mat dijiyega, usko is sab se bahar nikal dijiye.
Then he goes to a Mandir situated along the Ganga, rang the bell sevral times, take a customarily walk around the temple's shrine, joins his hands, falls onto his knees and worship in front of Ganesha's idol.
Sameer(to himself)- Mujhe nhi aata ki kaise aapse kuch mangte hai, aur jise aata hai use toh aapne Hospital mein rakha hai. Main toh aap mein zyada maanta bhi nhi hoon, aur jo maanti hai use toh aapne yahan aane ke layak bhi nhi chodo. Par main khada hoon uske liye, uski zindagi ke liye.
Aapko apna Best Friend manti hai bachpan se, yeh dosti nibhayi aapne usse.
Kyu cheen rhe ho aap use, kyu durr kar rhe ho aap use mujhse.
Mat karo aisa, mar jayuga main uske bina. Please Naina ko aaj bacha lena, use kuch mat hone dena.That's when a Priest comes, applies tilak on his head and instructs him to tie the red thread around the Banyan tree.
Sameer(to himself)- Is mannat ke kacche dhaage mein zara pakka sa baandh rha hoon tumhe Naina. Is dhaage aur mere vishwaas ko tootne mat dena. Tumhare toote dil ko silne wala hoon is dhaage se, tumhe khud se jodne wala hoon is dhaage se.
He ties the thread, strengthens his love by the trust, faith and desire to make it work.
Sameer's VO
Main Bhagwan mein zyada manta nhi tha, unse mangna bahut pehle chod diya tha kyuki unki cheen lene ki aadat na toh mujhe tab samajh aati thi, na aaj aati hai. Lekin us din maana unhe, unse dil se maanga tha kuch, bharosa kiya unpar, kyuki Naina ke bharose par bharosa tha mujhe.
Tabhi toh us subah Dargah, Church, Gurudwara, Mandir har jagah gaya tha, sirf uske liye nhi apne liye bhi. Isi umeed mein ki koi toh meri baat sunega, koi toh hoga jo meri Naina ko mujhse durr nhi hone dega, koi toh hoga jo use bacha lega. Ab Mohabbat hi toh mera majhab tha, aur mohabbat hi mera khuda.
Aaj bhi yaad hai School Time mein Naina aur Maine ek Play kiya tha Savitri-Satyawan ka. Jahan Savitri Satyawan ke liye Yamraj tak se lad gayi thi. Woh pehli baar tha jab hume rishtey mein bandhne ka ehsaas hua tha. Aur ab Naina ki surgery ke din vhi ehsaas phir hua tha, tabhi toh mujh jaisa insaan us din Bhagwan ke har dar par gaya tha, apni jaan ki bheekh maangne.
Us waqt meri saanson ki har duaayon mein shamil thi Naina, ab isse badhkar main Ishq ki Ibaadat mein aur kya karta.
Ab ishq ki kahani toh kuch aisi hi hoti hai, Sajdaa main karu aur Duaa uski qabool ho, Lab mere aur Muskurahat uski ho, Dil mera aur Dhadkan uski ho, Aankh meri aur Aansoo uske ho, Meri ishq ki kahani bhi bas kuch aisi hi thi, agar Maut uski hui, toh Janaaza mera hona tay tha.
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...