Pyaar ka dusra naam Mohabbat hota hai,
Sirf nazariye ka fark hai,
Tabhi toh kisi ke liye Ibadat-e-ishq bhi hota hai.Suraj ki roshni ke sath naye din ki shuruat hoti hai aur do dilon mein nayi umeed ki bhi, umeed ek dusre se milne ki, umeed ek dusre ke baare m jaanne ki, umeed ek naye rishte ki jiska koi naam nhi hone wala tha.
In School
Our lazy Naina was doing the most difficult task, i.e. climbing stairs of her school and was panting.
And suddenly someone came from behind and say Hi! to her. She become shocked and doesn't utter a single word.Naina- Tum..
Sameer- (said again) Hi!
Naina- Hi!
Sameer- Toh..
Naina- Toh?
Sameer- Toh.....kya naam h tumhara?
Naina- Naina.
Aur tumhara?Sameer- I am Sameer, Sameer Maheshwari.
Waise tum itna haanf kyu rhi ho mujhse darr gayi thi kya.Naina- Aisa kuch nhi hai; ab humari class hai hi itni upar ki koi bhi thak jayega na. Subah subah do floors chada dete hai.
He chuckles on hearing her sad story.
Naina- Hass kyu rhe ho.
Sameer- Ab toh aane wale kuch saal tumhe aise hi upar neeche karna hoga. Waise tum toh chashmish ho.
Naina- Toh tum kehna kya chahte ho chashmish hona buri baat h.
Aur waise bhi yeh toh intelligence ki nishani hoti hai.Sameer- You mean jo log chashmah nhi pate woh intelligent nhi hote.
She fixes her glasses with her index finger.
Naina- Maine aisa kab kaha.
Chodo ab ise waise bhi humari class aa gyi hai.Sameer(muttering)- Yeh class ko bhi itni jaldi aana tha. Kitna acha lag rha tha isse baat karne mein actually ladne mein.
Naina- Kuch kaha na tumne.
Sameer- Nhi toh, tumne kuch suna kya Moti..Oops..
Naina- Tumne mujhe moti bola.
Her face gets puffed in anger.
Sameer- Haan..m..mera ma..matlab nhi..Woh tum bahut cute ho na isliye.
(to himself)- Cute toh bahut hai ekdum laddu jaisi. Gol-matol si. Par Gussail bhi utni hi hai. Abhi bhi gubaare ki tarah gusse mein phulli hui hai.Naina- Cute aur Moti mein bahut farak hota hai.
Sameer- Par mujhe toh ek hi lagte hai.
Naina- Ji nhi, aur main moti nhi hoon.
Sameer- Aur cute?
Naina- W..woh..Pta nhi.
Sameer(to himself)- Nakchadi bhi hai.
(to Naina)- Yeh acha hai, cute ho sakti ho par moti nhi.Naina- Haan, Jo marzi samjho lo. Chalo ab..assembly ka time ho gaya.
Sameer- Han chalo tumne hi kab se mujhe baatein mein lagaya hua hai.
Naina(to herself)- Mujhe is par gussa kyu nhi aaya. Iski baatein bhi isi ki tarah achi thi. Par mere naam ache nhi rakhe the isne. Isse pehle toh kabhi kisi ne mujhe Moti aur Chashmish nhi kaha. Par isne Cute bhi toh kaha.
Naina's VO
Aaj bhi yaad hai mujhe woh din, woh subah ka waqt jab School Bell bajne hi wali thi, woh School ki seedhiyaan, jahan hum kuch aise takraye the, mano waqt vhi tham gaya ho, pehli baar uska naam jaankar dhadkan ek pal ke liye ruk gayi thi, uska mujhe chedna, mujhe kabhi Cute toh kabhi Moti bulana acha lag rha tha. Pehli baar kisi ladke se 2 minute se zyada baat ki thi maine. Us din kuch usne kaha, kuch maine. Thodi baatein ki, aur thodi ladaai. Bas kuch palo ki mulaqaat thi par yaadgaar bahut thi. Bachpan ki yehi toh khaisyat thi ki usme samajhdari nhi thi, tabhi toh humare us pyaar mein pagalpan tha, shararat thi, maasoomiyat thi, sacchai thi, koi jhooth, koi chaal nhi tha. Manti hoon ki ishq mein hum tab thode kacche the, par woh pyaar bhi toh bachpan ka tha aur hum dono hi bacche the. Bachpan ka woh pyaar jo jaat-paat, oonch-neech, ameer-gareeb wali soch se upar hota hai. Woh nadaan sa ishq sach mein kamaal hota hai.
Par humari woh dusri mulaqaat jo mujhe na jaane kitne ehsaas karwa gayi thi, Sameer tab bhi usse anjaan tha, nhi meshoss hua tha use yeh sab. Haan thoda Buddhu jarur tha, par jo bhi tha, jaisa bhi tha bahut pyaara tha; Mera Sameer.Sameer's VO
Ab Ajeeb toh tha main, us paanch minute ki mulaqaat mein maine Naina ke na jane kitne naam rakh diye the. Chashmish, Moti, Gussail, Nakchadi, Cute, Laddu.
Agar mera bas chalta toh aur bhi rakh deta.
Waise buddhu hone ke saath-saath main utna hi samajhdar bhi tha kyuki har ek naam jo maine use us din diya tha woh sahi bhi the. Cute Naina kuch pal ke liye toh theek hai par Gussail aur Nakchadi Naina ko toh main aaj tak bhugat raha hu.
Par tab in naamo ke chakkar mein main kuch aur samajh hi nhi paya tha. Haan, woh ehsaas jo Naina ko mujhe dekhkar hua tha, mujhe nhi hua tha. Par sachai toh yeh bhi hai ki ek raat pehle main uska naam janne ke liye mara ja rha tha, tadap rha tha aur jab uska naam pata chala toh aisa laga jaise dil ko ek sukoon sa mila ho. Dil toh pehle se tha par us din woh ek naam sunkar aisa laga jaise mujhe meri Dhadkan bhi mil gayi ho. Ab koi saboot nhi hota mohabbat ka, saamne naam lene par dhadkane badh jaye toh bas samajh lena chahiye ki mohabbat beintehaan hai.
Naina...yeh woh naam hone wala tha jo Sameer ko poora karne wala tha, yeh sirf naam nhi balki aane wale dinon mein kisi ki duniyaa banne wala tha; Meri Naina.In dono ko tab kahan pata tha ki Naina aur Sameer yeh do naam inki zindagi se humesha humesha ke liye jud jayege ya yuh kahiye ki ek dusre ki zindagi hi ban jayege.
Yeh sirf inke liye naam nhi the balki woh dor thi jisse woh judne wale the ya kahe toh jud chuke the par yeh dor kitni majboot thi yeh toh sirf humare Gannu Ji hi jante the.Ache lagte hai yeh do naam ek saath, jaise koi subah judi ho kisi haseen shaam ke saath.
।।तेरे लिए।।
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...