122. Ye meri behno ne kya kar diya.

497 44 59
                                    

💜💜

Param ko dekh Janhvi ki saari himmat jawab de gayi thi. Vo apni jagah par hi khadi reh gayi.

Ki tabhi Param ne uske paas aate hue kaha : Pata tha mujhe. Tu ye harkat jarur karegi.

Janhvi, Param ki awaz sun hosh me aai. Aur usne. Jaldi se vaha se bhagne ki koshish ki magar Param ne usko pakad liya. Aur ek jhatke me apne kandhe par uthakar use vapas ghar le aaya.

Ghar me use aangan me neeche utaar usne Janhvi ke bhai ko awaz di : Mahender. Oh Mahender.

Pakade jaane par Janhvi ki aankho me ab aansu chhalak aaye. Aur usne Param se kaha : Please jeeja ji jaane do. Meri pariksha hai.

Tabhi Raam Singh yaani Janhvi ke papa aur uski mummy bahar nikal kar aaye.
To Janhvi jhat se apni mummy ke paas jaa unki aanchal me chhup kar rone lagi.

Janhvi ke papa ne ye dekh Param se pucha : Kya hua? Ye Janhvi kyu ro rahi hai?

Param ne unki baat ka jawab dete hue kaha : Bhaag rahi thi ghar se.

Uski baat sun Janhvi ne mana karte hue kaha : Nahi papa. Main bas shehar jaa rahi thi.

Tabhi shor sharaba sun Mahender aur Jyoti bhi bahar nikal aaye.

Aur Jyoti ne puri baat sun Janhvi ki mummy se kaha : Ye ladki bas apne baare me hi soche hai. Jaanki didi ke bachho ki jara bhi fikra nahi hori hai isne. Aur bas padhai padhai kare hai. Kon sa jeeja ji iski padhai rok rahe hai. Vo to keh rahe hai ki shaadi ke baad bhi ye padh sakti hai.

To is par Janhvi ke papa ne kaha : Maine pehle hi kaha tha agar meri beti shaadi ke liye taiyar nahi to ye shaadi nahi hogi. Ab is baat ko yahi khatam karo. Koi shaadi naa hogi.
Raha bachho ka sawal to bachhe inke hai ye jaane ki inhe kaise unka palan-poshan karna hai.
Par meri beti ke saath koi jabardasti nahi hogi.

Apne papa ki baat sun roti hui Janhvi ke chehre par muskan khil uthi. Aur vo apni mummy ko chhod jaldi se apne papa ke gale jaa lagi.

To uske papa ne uske chehre par haath ferte hue kaha : Amar ko keh diya hai, vo tujhe 2 din baad lene aayega. Jaa apne pariksha ki taiyari karle.

Janhvi ne jaldi se khush ho apna sar hila diya aur bag utha apne aansu pochte hue andar chali gayi.

Vahi Mahender ne ab gusse me apne papa se kaha : Ye kya kiya apne papa. Kyu ladki ko hawa me uda rahe ho. Main bata raha hu ek paisa naa dunga iski padhai ke liye.

To uski baat sun is baar Janhvi ki mummy ne kaha : Ha to meri beti hai. Hum kharcha utha lenge. Tu to padha na 4 kitaabe aur ab laado padhna chah rahi hai to tujhe kya pareshani ho rahi hai. Shaadi nahi hogi bas. Aur raha un bachho ka sawal to damad ji chahe to bachho ko mere paas chhod de..

Mahender apne mummy papa ki baat sun shant ho pad gaya. To Param gusse me Jyoti ko ghurne laga.

Param ne ab khud hi apni baat ko unke samne rakhte hue kaha : Par mujhe Janhvi pasand hai. Khush rakhunga use main. Padhne se bhi nahi rokunga. Baabu ji se kehkar aaya tha ki unki Bahu ne le kar aaunga.

Janhvi ki mummy ne ye sun mana karte hue kaha : Naa. Janhvi ki ichha nahi hai aap se shaadi karne ki. Aur agar jabardasti ki aur meri ladki ne kuch galat kar liya apne saath to kya hoga..

Pure din bhar ki behas ke baad Param ke haath jab kuch naa laga, to vo gusse se baukhlata hua vaha se chala gaya.

Vahi Janhvi khush hogayi. Vo apni dost Khushi ke ghar usase milne chali gayi.

Kyunki ab vo 2 din baad, apne chacha ke bete Amar ke saath shehar jaane wali thi.

*******************

Rowdy's love story! Book2Where stories live. Discover now