135. Sir please. behave yourself.!

562 50 9
                                    

💜💜

Jishaan ko apni aankho par bharosa nahi ho raha tha. Ki usne kya dekha.
Jis ladki ko vo bhatinda me dhundh raha tha vo yaha Mumbai me thi, vo bhi usi ke hi hotel me.

Jab se Jishaan ke haath me Power aur Paisa aaya tha. Sab se pehle usne apne ek aadmi ko bhatinda me Amrit ka pata lagane ke liye bheja tha.

Use laga tha ki Amrit use yaha nahi mili to jarur bhatinda me hogi.

Idhar Amrit ko Reha aur Ruhaan ne utha kar apne saath le jaate hue kaha : Sorry sir.

Vo dono itna keh kar Jishaan ke samne se Amrit ko apne saath le kar chale gaye. Aur vo bas use jaate hue dekhta reh gaya.

Tabhi Shukla ji ne Jishaan se kaha : Sir aaiye.

Jishaan unki awaz sun hosh me aaya, aur usne idhar udhar dekh gusse me apne bodyguard se pucha : Vo ladki kaha gayi?

Bodyguard ne use batate hue kaha : Sir. Vo chali gayi.

Jishaan ne ye sun gusse me apne baalo me ungaliya feri, aur fir ek baar bodyguard se pucha : Kaha gayi?

To is par Shukla ji ne kaha : Sir, vo andar hi gayi hai. Aur ladki ko hum baad me dekhte hai. Pehle aap ka apne kaam par dhyan dena jada jaruri hai.

Shukla ji ki baat sun Jishaan bhadak gaya. Aur usne gusse me unhe dekhte hue kaha : Vo ladki mere liye is kaam se jada jaruri hai. Samjhe aap.

Shukla ji Jishaan ki aankho me gussa dekha shant hogaye.
Par sach to ye tha ki unhe is samay bahot hi tension ho rahi thi, ki kahi Jishaan ab end mauke par koi gadbad naa karde.

Ye fashion week Kapur's ke liye bahot hi important hai.
3 saal se doobe hue Kapur naam ko ek baar fir utha sakta tha.
Business world me ek baar fir Kapur industry top par aa sakti thi.

Isliye sab kuch soch Shukla ji ne jaldi se baat ko sambhaalte hue kaha : Sir aap aaiye. Main khud us ladki ke baare me pata karta hu. But please abhi aap chaliye. Sab aap ka wait kar rahe hai.!

Vahi Jishaan uska to jaise dimaag kaam karna band kar chuka tha.
Vo abhi abhi idhar udhar dekhte hue vo aage badh raha tha.

Shukla ji ke laakh manane par vo vaha se seedha hall me pohcha jaha par fashion show hone jaa raha tha.
Fashion world ke jaane maane sitaaro ne isme shirkat ki thi.

Jishani ne Jishaan ke aate hi use vaha aaye guest se introduce karaya. Aur iske saath hi use apne saath le kar vahi beth gayi.

Par ab Jishaan ka is fashion show me koi interest nahi raha tha. Vo bahot hi impatient ho raha tha. Use bas yaha se nikal kar Amrit ko dhundhna tha.

Magar aas paas bethi Saniya aur Jishani ki vajah se vo vaha se uth bhi nahi paa raha tha.
Thodi hi der me use bhi apne clothing brand ko pramot karne ke liye ek model ke saath ramp walk karna tha.

Par Jishaan ke chehre ki hawaiya udi dekh, Jishani ne usase fusfusaate hue pucha : Are you ok Jishaan?

Jishaan ne apna sar hilaate hue kaha : Yeah. I'm fine.

Jishani ne dheere se pucha : Really?

Jishaan ne use dekha, to Jishani ne samne dekh smile karte hue kaha : Smile karo Jishaan. You can't be like this.

Jishani ki baat sun Jishaan ne idhar udhar dekh apne chehre par ek jhuthi muskaan oadh li.

********************

Vahi dusri taraf Punjab me,

Veer khaana khaane ke baad apne room me aaya to dekha to YN koi book padh rahi thi, Veer ne jaakar usase book chhin li. Aur apna sar uski god me rakh kar let gaya.

Rowdy's love story! Book2Where stories live. Discover now