139. Mujhe chhod kar jaaogi.

429 46 15
                                    

💜💜

YN, Veer ke saath andar aayi to dekha didi ke saath badi maa bhi gaon se aayi hui thi.

YN ne unhe dekh khush ho unke pair chhune chahe par unhone use apne gale se lagate hue kaha : Kitni dubali ho gayi hai meri beti. Are Bhavna. Tu thik se khayal nahi rakhti iska.?

?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Bhavna didi : Lo

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Bhavna didi : Lo. Mar gayi Bhavna apni choti si bhabhi ki dekh bhaal karte karte aur aap ko ye abhi bhi dubali patli lag rahi hai.

Un dono ki baate sun Veer ne haste hue kaha : Badi maa

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Un dono ki baate sun Veer ne haste hue kaha : Badi maa. Kyu tension le rahi ho. Inke khandaan me hi kuposhan faila hua hai. Iski mummy bhi dubali patli hai. Unhi par gayi hai ye.

Veer ki baat sun YN Veer ko ghurne lagi. To Veer ne use aankh maar kar muskurata hua apne room me chala gaya.

Kuch der baad badi maa aur didi se baate kar YN bhi room me aayi to dekha Veer phone par kisi se baat kar raha tha.

YN ne bhi apne purse me se apna phone nikal purse side me rakha aur ek baar phone check kiya to dekha phone par Amrit ke 10 misscall pade hue the.

YN ne pareshan hote hue kaha : He maata rani. Ab kya hua?

YN ne sab chhod jaldi se Amrit ko call back kiya.
Par ab uska phone band bata raha tha. YN is sab se pareshan ho gayi. Aur usne Amit ko call kiya.

Raat ke 10 baj chuke the aise me Amrit ka phone band jaa raha tha to use tension hone lagi thi. Isliye usne Amit ko call kar usase baat ki to pata chala ki Amrit ki abhi 1 week ke liye night shift chal rahi hai. Aur ho sakta hai ki uske phone ki battery low ho gayi ho. Isliye vo uski friend se baat karke bata dega.

Rowdy's love story! Book2Where stories live. Discover now