190. Aa raha hu main Janhvi. Tumhare paas.

455 56 19
                                    

💜💜

Janhvi ki baat sun Jeetu ne usase pucha : Kya kaha tumne? Preeti ne mujhe call kiya?

Janhvi chup rahi to Jeetu ne idhar udhar dekh apna phone dhundha to samne toote hue phone ko dekh usne Janhvi se kaha : Tumhe mera phone tod kar kya chain mil jaata hai?

Ye kehte hue Jeetu ne jaa kar apna toota hua phone uthaya aur Janhvi ke paas aate hue kaha  : Ye sach hai ki Preeti ne mujhe call kiya hoga par ye Mumbai wali Preeti nahi hai. Ye Veer ke KTH showroom ki manager hai. Preeti sabharwal.

Jeetu ki baat sun Janhvi ne jhat se apna chehra utha use dekha.
Janhvi ne dheere se pucha : Kya kaha ? To tum us Preeti ke contact me nahi ho?

Jeetu ne apne toote hue phone ko dekhte hue kaha : Nahi.

Jeetu ka jawab sun Janhvi ke hotho par muskurahat khil uthi. Vo kitni pagal thi vo Preeti ke naam ki confusion ki vajah se naa jaane kya soch bethi thi Jeetu aur Preeti ko le kar.

6 mahine se vo Preeti ke call ko Jeetu ke paas aate dekh yahi samajhti thi ki vo ye Mumbai wali ladki hai jisase Jeetu pyaar karta tha.
Dono ke bich is an-bol ne naa jaane kya kya galatfehmi paida ki hui thi.
Par aaj puraani baato par padi dhul ki kuch parat hat gayi.

Jiske chalte vo khush ho gayi thi. Aur apni khushi ko chhupaate hue Janhvi ne Jeetu se pucha : Humari shaadi ke baad kabhi usase contact nahi kiya.?

Jeetu ne ab use dekhte hue kaha : Nahi. Maine kabhi usase baat nahi ki. Tum mujhe kya samajhti ho. Itna bhi bewkoof nahi hu mai. Apni jimmedari ab bakhubi samajhta hu. Aur tumhe ab dhokha dene ki kabhi nahi soch sakta.

Jeetu ki baat sun Janhvi ki aankhe ek baar fir jhaljhala gayi aur usne jaldi se pucha : Iska matlab Preeti se pyaar nahi tumhe.?

Jeetu, Janhvi ki baat sun khamosh ho gaya. Uski chuppi ko dekh Janhvi ka dil ek baar fir dar se kachot gaya. Chehre ki muskurahat hatne lagi thi.

Ki tabhi Jeetu ne ek aah bharte hue kaha : Janhvi. Mujhe ab kisi se pyaar nahi.. Main tumhare liye sab kuch karunga. Acha pati bankar dikhaunga. Humare bachhe ke liye. Tumhare liye jo ban padega. Karunga. Bas mujhse pyaar ki ummeed mat rakhna. Ab ye pyaar fir se nahi hoga mujhse.

Ye kehte hue Jeetu ab apna phone vahi dinning par chhod room me chala gaya.

Uske jaate hi Janhvi dham se chair par beth gayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Uske jaate hi Janhvi dham se chair par beth gayi.
Aur uski aankho se aansu chhalak aaye jo ki kuch hi der me labalab behne lage. Ek baar fir usne uska dil tod diya tha. Kyu vo uske saath itni naa-insaafi kar raha tha. Vo aaj bhi uska pyaar nahi hai. Bas sirf ek jimmedari hai.

Janhvi ka dil tukde tukde ho kar reh gaya tha. Usme naa ab khud vaha se uth kar kahi jaane ki himmat bachi thi naa hi apni ungali hilaane ki. Apni jagah par jadd ho gayi thi. Ki kuch der baad Bittu ke rone ki awaz sun hosh me aayi.

Jeetu bhi use awaz de raha tha, vo uth kar room me aayi to Jeetu ne bachhe ko sambhaalte hue kaha : Rote nahi baby. Dekho mumma aa gayi.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Rowdy's love story! Book2Where stories live. Discover now