163. Ye sab normal hai.

457 58 24
                                    

💜💜

Veer, Jishaan aur Amrit. Ko dekh Jeetu aur Janhvi dono shock ho kar ek dusre ko dekhne lage the.
Tabhi Veer ne aage badh Jeetu ka caller pakad use maarna shuru kar diya.

Jeetu ke muh par Veer ka punch pada, to vo dard se karah utha.

Vahi Janhvi vo ye sab dekh dar gayi usne Veer ko rokne ki koshish karte hue kaha : Bhaiyaa.

Par Veer gusse me Jeetu par apne ek ke baad ek punch barsaaye jaa raha tha.
Janhvi ne Jishaan se use rokne ko kaha par Amrit aur Jishaan chup chaap khade ho kar tamasha dekh rahe the.
Janhvi Jeetu ko dekh rone lagi. To uske rone ki awaz sun Veer ruk gaya.

Veer ne Janhvi ki taraf mudte hue kaha : Tum kyu ro rahi ho? Main tumhe kuch keh raha hu kya?

Janhvi uski tej awaz sun seham gayi.

Veer ne uske paas aate hue kaha : Jaanta hu ise chot lagte hue nahi dekh sakti. Par jab jab ye galti karega mere haatho se aise hi maar khaayega.

Janhvi apne aansuvo se bheegi palako ko utha Jeetu ko dekhne lagi jo ki apni gardan sehlaa raha tha.

Veer ne ab Jeetu ki taraf palat kar gusse me use dekhte hue kaha : Tere paas dimaag hai ya nahi. Jeb me ek paisa nahi. Aur ise apne saath le kar ghar se nikal gaya.

Veer ko Janhvi ki taraf ishara karte dekh Jeetu ne Janhvi ko ek nazar dekha.

Jishaan ne Jeetu ke samne khade ho kar kaha : Kya bewkoofi thi ye Jeetu. Jaanta hu ki jo hua vo tujhe acha nahi laga. Par har decision gusse ya jaldbazi me nahi liye jaate.

Veer ne gusse me ghurte hue kaha : Par ise kaha kuch samajh aayega. Ye to khud ko abhi bhi Mumbai ka dada samajhta hai.

Veer ne Jeetu ka caller pakad use apne paas khinchte hue kaha : Kya bola tha tu ki tu mera kabhi saath nahi chhodega. Fir kaise bhaga tu?

Veer ki baat sun Jeetu use dekhne laga.

To Veer ne aage kaha : Jaanta hai na ki bas kehne ke liye tum dono mere bhai nahi ho. Bhai se badhkar ho. Kyu mujhe pareshan kar raha hai.
Main YN ka khayal rakhu ya Tera. Ye bata tu mujhe?

Jeetu ne Veer ko dekhte hue kaha : Tu mujhe galat samajh raha hai. Main tujhe pareshan nahi karna chahta. Main teri pareshani dur karna chahta hu. Gaon me. Ghar me. Sab ko yahi lagta hai ki main tere paiso par pal raha hu. Isliye tere saath hu. Taaki mujhe bhi kuch teri jameen property apne naam mil jaaye.

Veer : Par tu to jaanta hai na ki tere paise teri mehnat ki kamaai ke hai.

Veer ko Jeetu par bhadakte dekh ab Jishaan ne un dono ki baate bich me rokte hue kaha : Veer sun. Sun na. Ye baate hum ghar chal kar karenge.
Jeetu, Janhvi tum dono apna saman pack karo aur chalo.

Jishaan ki baat sun Jeetu apni jagah se hila nahi.

To Veer ne use dekhte hue pucha : Kya hua? Chal.!

Jeetu ne mana karte hue kaha : Nahi. Main nahi aaunga.

Veer : Goan chalne ke liye nahi keh raha. Yaha shehar me jo ghar hai vo mere hai.

Jeetu ne fir bhi mana karte hue kaha : Nahi. Abhi nahi. Main abhi vapas nahi aaunga.

Jishaan ne Jeetu ki baat sun gusse me pucha : Ye kya bol raha hai tu?

****************

Door bell ki awaz sun YN ne door open kiya.

Veer, Jishaan aur Amrit ko dekh usne Veer se pucha : Bhai nahi aaye?

Veer ne apna sar hilaate hue kaha : Nahi.

Rowdy's love story! Book2Where stories live. Discover now