137. Ye Tarika Apnaya Maine.

462 51 12
                                    

💜💜

Veer ne YN ko dekhte hue kaha : Jishaan ke Mumbai jaane se pehle meri ek din usase baat hui thi aur usne mere aur Jeetu ke samne khud is baat ko accept kiya tha, ki Amrit ke jaane ke baad use ehsaas hua hai ki vo kitni jaruri hai uske zinda rehne ke liye. Vo usase pyaar karta hai. Vo uske bagair reh nahi sakta.
Kyu Amrit usase pyaar nahi kar sakti thi?
Kya vo itna bura hai? To uski baat sun Jeetu ne kaha tha ki use galatfehmi hai, Amrit usase pyaar karti hai. Bas vo hi nahi samajh paaya uske pyaar ko.

Veer ne YN ka haath pakad kar aage kaha : Us din. Un dono ki baate sun ek pal ko laga tha ki Chote ko bata du ki Amrit usase dur nahi gayi hai. Vo ab bhi usase pyaar karti hai. Par fir khud ko aisa kehne se maine rok liya. Yaad aagaya tha mujhe ki Amrit ne mujhe Chote ki kasam di thi. Ki main chote ko jab tak vo nahi chahengi tab tak uske baare me kuch nahi bataunga.
" Maine bhi soch liya Chote ne galti ki hai to use bhi saza milni jaruri thi. Main chahta tha ki Chote ko Amrit ki importance samajh aa jaaye.
Bas isliye sab kuch jaan kar bhi chup raha.
Par jab Chote ki behan Jishani ne mujhe call kiya aur uske ghar ki situation samjhaayi to,
Mujhe laga ki ye mauka sahi hai isase Chote ko apne pariwar ka sach bhi pata chal jaayega aur saath hi Mumbai jaa kar Amrit bhi mil jaayegi.
Kyunki mujhe pata tha ki Amrit Jishani ke makeup studio me kaam kar rahi thi.

Veer ki baate sun YN uske gale lag gayi.

Usne Veer ke gaal par haath rakhte hue pucha : Aap Jeetu bhai aur Jishaan bhai se bahot pyaar karte hai na?.

Veer ne YN ke sar ko chumte hue use apni baaho me lete hue kaha : Hmm bahot. Mere dost nahi. Bhai hai mere. Un dono ko bigaada maine hai to unhe sudharunga bhi main hi.

Dono baate kar hi rahe the ki tabhi didi ne unke door par knock karte hue kaha : Are Vishu. Tum dono ki aaj subah hogi ke nahi.

Didi ki awaz sun YN hadbada gayi. Usne jaldi se uth kar idhar udhar pade apne kapde samet kar pehan liye. Aur bathroom me jaldi se jaane lagi thi ki,

tabhi Veer ne kaha : Aaram se. Itna hadbada kyu gayi? Dheere dheere chalna seekho.

YN ne use dekh masumiyat se apna sar hilaate hue kaha : Ha sorry.

Uski is harkat par Veer muskura diya. YN bathroom me chali gayi to Veer ab uske baare me sochne laga.
Kal usne YN par apni mohbbat luta uske sawalo ko daba to diya tha, par YN ka kehna kahi se bhi galat nahi tha.
Vo vakayi sab ko khush karne ke chakkar me YN ko to bhul hi gaya tha.
Jab ki aise samay me YN ko sab se jada na to sirf uske pyaar ki balki uske saath ki bhi jarurat hai.

Veer lete lete ab YN ke ek aur sawal ke baare me sochne laga.
YN ne usase apne aage padhne ki ichha jatayi thi. Par abhi to ye mumkin nahi tha. Isliye Veer is baat par kuch faisla nahi le paa raha tha.

Veer apni soch me gum tha ki tabhi uska apne pas pade phone par dhyaan gaya jis par Chote ka  call aa raha tha.

Veer jaldi se call pick kiya to udhar se Jishaan ne us par apna saara gussa nikaalte hue kaha : Saale. Kamine. Main tujhe chhodunga nahi. Sab jaanta tha fir bhi mujhe kuch nahi bataya.

Veer ne uski tej awaz sun phone apne kaan se dur le jaate hue khud se kaha : Lagta hai ise Amrit mil gayi.

Veer ne apna phone vapas kaan se lagaate hue kaha : Saale. Itna gala mat faad. Mujhe behra karke maanega kya?

Jishaan : main tujhe behra kya.. tujhe tod kar maanunga.

Is par Veer hasne laga. Aur usne Jishaan se kaha : Pehle jaa Amrit ko patta fir baat karenge.
Aur ek baat sun, maine kuch nahi bataya to koi na koi reason hoga bas itna jaan le. Baaki baate baad me..

Jishaan ne dheere se kaha : Ha. Par vo bahot naraz hai. Kaise manau usko.

To Veer ne chidhte hue kaha : Ab ye bhi main hi batayu.

Rowdy's love story! Book2Where stories live. Discover now