225. His Memory

996 121 282
                                    

Your wait is over 😍
Continued from previous part...

After breakfast, As went to his room to get ready for headquarters..

Hm- maa ammi aaj hum bhut khush hai...( Smiling)

Maa- vo toh dikh raha hai tere chehre se....

Ammi- or iski vajah bhi pata hai Anu tere sath ache se bartav kar raha hai..

Maa- haa itna hua hai dekhiyo jald sab yaad aa jayega....

Hm- haa....

Ansh- aiii iieee...

Hm- kya hua mere bache ko aapko bhi khushi ho rahi hai...( Smiling)

After few min later, As come down and left for headquarters...

Maa- Haseena is baar na tu sabko karva chauth ke liye yahi bula liyo...

Ammi-haa pichli baar toh kavya ke ghar gaye the...

Hm- vo sab toh thik hai hum bol denge lakin hamara kya...

Ammi- matlab tu nhi rakhegi kya vrat..

Hm- ammi kaisi baate kar rahi hai aap, hum kaise nhi rakhenge shadi ke baad dusra karva chauth hai or Anubhav ki lambi umar ke sath sath unki yaadash jaldi aa jaye isliye bhi rakhenge...

Maa- toh fir kya bolna cha rahi hai...

Hm- maa hum vrat rakhenge fir Anubhav puchenge ki hum khana kyu nhi kha rahe hai toh kya bolenge aaj kal toh ache se baat karne lage hai na or unhe toh ye pata hai na ki hum nakli pati ke sath nhi rehte...

Ammi- ye sab Teri jhooti khani ki vajah se hua hai tu jyda mat soch hum or samdhanji sambhal lenge...

Maa- haa hum bol denge kuch bhi bas tu apni sehat ka dhyan rakh dekh phele se kitni patli ho gayi hai...

Hm- kaha maa vaise hi toh hai or hume toh lag raha hai hum mote ho gaye...

Ammi- samdhanji sahi bol rahi hai phele se patli ho gayi sara din bhag daud karti rehti hai, ansh ko bhi sambhalna hota hai chehra dekh apna kitna murjhaya hua hai...

Hm- esa kuch nhi hai...( Avoid looking at maa and ammi)

Maa- yahi baat hamri taraf dekh kar bol na, Anu sab kuch kya bhula tune apna dhyan rakhna chod diya...

Hm- apna dhyan toh hum phele bhi nhi rakhte the, Anubhav hi dhayan rakhte the hamara ab vo hi hume bhool gaye...( With painful smile)

Ammi- allah par vishwas rakh kuch dino me sab thik ho jayega...( Keeping her hand on her shoulder)

Hm- itne dino se isi Vishwas ke karan hi toh jee rahe hai ammi, nhi toh kabka toot jaate....

Maa- itna sabar rakha hai thoda or rakh le...( Keep her hand over her)

Ansh flipped in his pram while playing and then try to flipped again, he makes noises...

Hm- are hamara bacha palti maar li..

Ammi- or sidha hone ki koshish kar raha hai ho nhi paa raha...( Smiling)

Maa-Haseena sidha kar de isse kahi hath dab na jaye....

Hm take him in her lap...
Hm- hamara ansh toh ab sab kuch khud karna chahta hai...( Tickle him)

Ansh giggles, his giggles feels melodious tone for her, she is smiling and hug him...
Maa ammi smile to see her smiling...

Ammi- ansh ke karan thoda muskura leti hai....(in mind)
______________________________________

Day before karva chauth at night...

Anuseena- Stranger to lovers IIजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें