•CHAPTER-20•

412 23 5
                                    

•••

usne wardrobe khol kar apne tamam fancy rang Birange malbosaat ka jaiza liya. phir nichala khana khol kar jewellery box nikale. nikah nama aur haq mohar ka cheque bhi neeche hi mojood tha. farsh par baithi wo nikah naame ko kaafi der tak dekhati rahi. phir usne aik aik kar ke woh jewellery box nikale jo mrs shirazi ne usey diye the.   wo zewraat jo shirazi khandan ki bahu ka muqaddar thehre the. kuch der wo khayalat mein ghark apni tamam cheezon ko dekhti rahi. phir usne aik faisla kar liya. Faris wajdan ke samne apni haliya position, apne haliya maqasid wazeh kar laine ka faisla .aik baat to tay thi. ab un ke mabain kuch bhi theek nahi ho sakta tha. nahi woh use apnane ko tayyar tha, aur na hi jannat kamaal ab aisa kuch chahti thi.

woh jaan gayi thi uska ghar kabhi nahi le ga. Talaq har baar muqaddar thehre gi. budduae  teer ki tarah thi. teer nishane par hi aakar lagti thi. aur usey achi tarah se andaza ho chuka tha ke us jaisi larki kisi ghar ki zeenat kisi mard ki izzat nahi ban sakti. woh aik majboori thi. Burhan ne bhi uske sath is tarah ka rawaiyya rakha tha. faris bhi ab yahi kar raha tha. So ese mein mojooda soorat e haal se samjhota zaroor kiya ja sakta tha magar woh khud ko aik baar phir halaat ke dhare par nahi chhorna chahti thi. aik faisla woh khud bhi karna chahti thi. aik rasta woh apne liye bhi rakhna chahti thi.

study room ke darwaze par madham ki dastak de kar usne darwaaza khol diya tha. Laptop ki key board par mutharrak Faris ki ungaliya yak dam sakit hui thi be sakta sar utha kar usne darwaze ki taraf dekha. yeh janne ke liye ke is waqt kon mukhil huwa hai. lekin agle hi lamhe jannat kamaal par nazar parte hi woh ruk sa gaya. woh kisi mulazim ki aamad ki tawaqqa zaroor kar raha tha, magar jannat ki nahi.

aankhon mein khafgi ragein tani hui lab bheenchey hue sar utha huwa laptop band karte hue faris ne badi fursat se us ka andaaz mulahiza farmaya tha. Uske hathon mein kuch jewellery box the jo usne office table par rakh diye. faris ne aik nazar un box ko dekha, phir use lab baham paivest the magar aankhon mein sawal tha ke yeh kya hai? yeh kis liye hai?

"Auntie ne mujhe nikah par jewellery di thi." Usne saare jewellery box khol kar sone ke zewraat use dikhaye, "aur yeh haq mohar!" Usne das laakh ka cheque uske samne rakh diya. band muthi par thodhi jamaye woh ab bhi be ta-assur nigahon se use dekh raha tha.

"Mujhe kyun de rahi ho?"

"Rakhu bhi to kis liye?" usne ulta sawal kiya.

"Yeh na ho, baad mein tum hisaab kitaab ke liye saira khaala ke paas pahunch jao, is liye saare mamlaat abhi se clear kar rahi hoon." goya use apne
kaghazi shohar se achhai ki koi umeed nahi thi.

"Haq mohar ke paanch laakh mere bante hain lekin mein tumhe poore das wapas kar rahi hoon. ab yeh is liye nahi kar rahi hoon ke tumhari nazar mein koi devi sevi ban saku, bhae, jab shadi hui hi  nahi hai to..."  woh wazahat dena chaah rahi thi. aur yeh wazahat ulta is ke galey par rahi thi .

Faris ne band muthi honton par zamayi thi. jannat ko jane kyun laga, usne muskurahat zabt ki ho. woh muskuraye ga kyun? aik lamhe ke liye woh uljhi thi.
lekin ab insaan apni fatah par nahi muskuraye ga to kya roye ga? dimagh ne toka. woh muskuraye, roye, hashe ,bhad mein jaye. usne khayalat ko jhatak kar apni baat mukammal ki.

"Agar hamari waqai mein shadi hui hoti aur hum ne is rishte ko nibhaya bhi hota to mein hargiz hargiz maaf na karti. lekin ab situation kuch aur hai isliye mujhe yahi munasib lag raha hai. iske ilawa jo tum har mah tum mere bank account mein nan nafaqa ke tour par raqam transfer kar dete ho, woh mein ne in teen mah mein aik baar bhi istemaal nahi ki hai. yeh na ho ke badme tum kehte phiro ke mein tumahre lakhon rupaye udati hoon." aik lamhe ke tawaquf ke baad usne faris ko dekha. is ki zaheen aankhon ke ta-assur se woh kuch nervous si hui. woh us par nigahein jamaye betha tha. khamoshi aur yaksoi se sun bhi raha tha. aisa bhi hona tha? Khair usne us lat ko kaan ke peeche ursa jo uske gaal par phisal rahi thi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now