•CHAPTER-11•

517 36 2
                                    


"𝑺𝒂𝒅𝒊𝒚𝒂𝒂 𝒃𝒆𝒆𝒕 𝒋𝒂𝒕𝒊 𝒉𝒂𝒊𝒏 𝒌𝒉𝒂𝒚𝒂𝒍𝒐𝒏 𝒔𝒆 𝒏𝒊𝒌𝒂𝒍𝒏𝒆 𝒎𝒂𝒊𝒏, 𝒎𝒂𝒈𝒂𝒓 𝒋𝒂𝒃 𝒚𝒂𝒂𝒅 𝒂𝒂𝒕𝒊 𝒉𝒂𝒊 𝒕𝒐 𝒂𝒂𝒏𝒌𝒉𝒆𝒏 𝒃𝒉𝒆𝒆𝒈 𝒋𝒂𝒕𝒊 𝒉𝒂𝒊𝒏"

₊˚𓂃•♡• ⊹𓂅

woh naam jisey woh labon par laane se ghabrati thi, jab samaat mein para tha to kitni wehshat hui thi usey, aur yahi wehshat aaj phir uski neend haram karne mein kamyaab hogayi thi. awwal to usey neend aa hi nahi rahi thi aur jab aayi thi to haqeeqat ne khawab ka roop dhaar kar usey foran se jaga diya tha.

Pasine se bhige wujood ke sath woh sar thame se kitni hi der tak baithi rahi thi. aisa nahi tha ke woh khawabo se peecha chhurane mein kamyaab ho gayi thi magar jab se usne faris ke mamlaat mein dilchaspi lena shuru ki thi, tab se khawab kisi had tak kam ho gaye the.

magar aaj phir hatheli ki pusht se ansoo saaf karte hue usne be sakhta sir utha kar faris ko dekha tha. sad shukar ke woh gehri neend mein tha, sad shukar ke woh uski wajah se be aaraam nahi huwa tha. gehri saans le kar khud ko compose kar ke woh neechay aagai thi.

pooray ghar mein khamoshi ka raaj tha. lights on kar ke woh namaz wale kamre mein daakhil hui thi.

Shardr roshiniyon mein kamrah khamoshi mein dooba tha. aawaz uske phoolay saans ki thi ya uski dharkan ki jo usey kaan mein gunjti hui mehsoos ho rahi thi. din bhar khud ko mazboot zahir kar ke tanhai mein woh har naqaab chehray se utaar diya karti thi .

jo waqt us aayat ke sath guzarta tha, woh haqikat me usey andar aur bahar se aik hi kar deta tha.

woh ab zehen ko maazi se bhataknay ke liye apna focus is aayat par jama rahi thi aur ghhor kar rahi thi un salawon par jo uske andar sir utha rahay they.

pichle aik mah se woh apne andar barhatay hue is shore se peecha chhurane ke liye yahi kar rahi thi. pehle woh naseeb, qismat, zindagi, musaaib, azmaish aur mehroomion ki bhool bhulyo mein ghum raha karti thi. ab sukoon ki talaash mein, woh khud ko in nishanion ke supurd karne lagi thi jo kuch der ke liye hi sahi, usey dukh or
alaam ka dosra rukh dikhaane lagte thay. woh raaz jo huroof mein chhupa tha, woh abhi us par ayaam nahi huwa tha. woh maani jo samandar ki terhan gehray thay, un mein woh ghark nah hui thi.

sab kuch muhim tha ghair wazeh chhupa huwa magar is raat aik sawal is par ayaam huwa tha.

baghair jawab ke bhi woh din ke ujalay ki terhan yun wazeh huwa tha ke kitni hi der tak woh apni jagah baithi reh gayi thi.

'sawal tumhe is aayat tak laaye ga jannat! sawal hi tumhe is ke ma-ani samjhaye ga'

alif par nazar jamaye woh apni jagah se uth khari hui thi.

'Azmaish ki wadiyo me bhatkte har insan ko is ayat par ghor karna chahiye, har mareez ko, har sakin ko, har alir ko, har Aseem ko'

Mrs shirazi ki awaz ise palat kar aane lagi. Is ayat ka sirf wo matlab nahi hai jo ham yaksar padhte hai, ya samjhte hai. Iska aik aur matlb iske huroof me kahi chhupa hai. Aur wo huroof par nazar jamaye khadi thi.

'BESHAK HAR MUSHKIL KE SATH ASANI HAI'

•••

kamray ki deewar geer khirkion par se parday hata kar is ne mrs. shirazi ko dekha jo samne hi wheel chair par birajman koi kitaab haath mein liye baithi theen. Sar uthaye ab woh jannat ko dekhne lagi jo single sofa par un ke samnay baith gayi thi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now