-CHAPTER:57-

609 29 12
                                    

•••

Mrs. Shirazi ke studio mein wo is waqt akeli mojood thi. Tarteeb se rakhi paintings aur deegar ashya ko dekhte hue usne parde kheench kar hata diye the. Khidkiyon ko bhi khol diya tha. Khuli fiza mein gehri saansen leti, kitaabon ke rack ke saamne ja khadi hui thi. Arts aur shaayari ki bohot si kitaabein thi jinhein wo haathon mein le kar, chand safhein palat kar aur kuch ibaratein parh kar rakh rahi thi.

Kitaabon ke saath hi bilkul kone mein ek register size ka picture frame rakha tha. Usne wo frame utha liya tha. Us par charha kaaghazi cover hata diya. Ek shaan aur tamaknat se shahi kursi par barajmaan Azam Shirazi. Smart aur kasrati jism ke maalik, bhoore baal, bhoore rang ki tarasheeda daarhi, zairak nigahein. Bara'ub si shakhsiyat. Peshani toh bilkul Faris jaisi lag rahi thi.

Aqb mein Mrs. Shirazi apne shauhar ke humrah siyaah saari mein malboos khadi thi. Wo is qadr decent aur purkashish lag rahi thi ke Jannat kitni hi dair tak unke chehre par se nigah nahi hata saki. Besakhta unke chehre ko chhua. Unki siyaah aankhon mein zindagi ki ramak numaya thi. Aur unki muskurahat toh aaj bhi use bohot khoobsurat lagti thi.

Three-piece suit mein malboos Haroon Shirazi ke labon par ek halki muskurahat raqsaan thi. Azam Shirazi ke pehlu mein 7-8 saal ka pyara sa bacha khada tha. Yeh bacha Faris Wajdan nahi tha. Iski aankhein hazel nahi thi, na hi siyahi mail baalon mein shehed rang ki amezeesh thi.

Yeh ladka Hammad Shirazi tha. Ek mukammal khandan ki ek mukammal tasveer jismein Faris Wajdan kahin nahi tha.Usne ek baar phir apni nigaahein Azam Shirazi ke bawuqaar chehre par jamaayi thi. Usey laga woh... "woh mujhe maar denge," azeeyat mein doobi, khauf se larazti Faris ki awaaz.

"Koun?"

"Azam Shirazi!" Jannat ke dil ko ek dum se kuch hua. Khushk labon ko tar karte hue usne frame wapas rakhna chaaha tha jab Aqsa ne peeche se gardan nikaali thi.

"As-salamu alaykum aapi!"

"Uff Allah! Aqsa, dara diya tumne mujhe!"

Jannat ne seene par haath rakh kar use jhadak diya. Aqsa ne daant nikaale, phir frame ko dekha. Uski aankhein phail gayi.

"Arey, yeh bade sahab hain? Azam sahab?" Usne tasdeeq ke liye Jannat se poocha.

"Haan."

"Allah bakhshe unhe. Waise kehna toh nahi chahiye, par abba batate hain ke bohot sakht aadmi the," usne Azam Shirazi ko thoda ghabraayi hui nigahon se dekhte hue kaha.

"Unki shakhsiyat thi hi aisi. Tasveer mein bhi ek raub sa jhalak raha tha."

"Tumhare baba jaante hain unhe?" Jannat ne kuch hairat se mud kar poocha.

"Ji, abba ne koi das saal bade sahab ke ghar mein kaam kiya hai."

"Acha."

"Toh aur kya!" Uske liye yeh jaise ek bade aitraaz ki baat thi.

"Phir toh tumhare abba sabko jaante honge, Faris, Hammad bhai, aur Haroon uncle ko bhi."

"Arey kahan!" Aqsa ne aikdam se hath hilaya. Abba toh sirf Hammad sahab aur Haroon sahab ko jaante the. Faris sahab se kabhi mile hi nahi. Aapko pata hai, jab abba ko Faris sahab ne Islamabad bulaya tha, tab unhe pata chala yeh bhi unke bete hain. "Hahah!" Aqsa haath par haath maar kar hansi. Aur Jannat hiraan si usay dekhti reh gayi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now