کِسٹ نمبر ۱۰
Uska sar dard se phata ja raha tha. Ro ro kar aankhein sooj gayi thi. Taangein dukh rahi thi. Dil laraz raha tha. Fikr aur andeshon ne phir se ghera tha.
Sadma tha, dukh tha, aziyat thi...
Woh jaise ek baar phir dhoke mein aayi thi.
Jo insaan uski zindagi ko jahannum bana sakta tha, usse aziyaton ke dorah pe la sakta tha, usse parking area mein chhor kar ja sakta tha, us par apni sharaait, apni marzi, apne iraade saza ki tarah musallat kar sakta tha, woh insaan par kaise bharosa kar sakti thi? Kaise? Ye ghalti, ye bhool usse kyun kar ho gayi thi?
Uska khayal tha ke woh apne bachay ki wajah se ab uska lihaaz karega. Ye khayal bas ek khayal hi tha. Khushi ka ek talisman. Yahaan Mrs. Shirazi nahi thi. Yahaan Faris Wajdan ek baar phir apni asli shakal mein aaya tha.
"Usay London aana hi nahi chahiye tha." Apne aap ko koste hue socha "Bilkul nahi aana chahiye tha." Woh bhatakti hui kabhi is taraf ja rahi thi aur kabhi us taraf. Ro ro kar apna hashr bigaad liya tha.
Brick Lane ka woh rasta zindagi ki tarah ho gaya tha. Koi manzil nahi thi, bas ek khala tha. Wohi log, wohi aankhein, wohi dehshat, tanhai, khauf...
Itne shor aur itni saari awaazon mein yakaayak ek manhoos si awaaz uski samaat se takraayi.
Usay laga, uske kaan baj rahe hain. Khauf ke aalam mein ruk kar peeche dekha. Usay apna naam ek baar phir sunayi diya.
Usne beikhteyaar ghoom kar chaaron taraf dekha. Aansu beh rahe the toh har manzar dhundhla ho raha tha. Aur tab uski nazar Faris Wajdan par pari.
Woh logon ko cheerta hua uski taraf aa raha tha. Usne beshaur faris ki taraf qadam barhaye. Lamhe bhar ke liye ladkhadai. Ek do logon se kanda mas huwa, dhakka bhi laga.
Woh itne dukh, itne sadme aur gusse mein thi ke usay Faris ki aankhon mein apne liye fikr, pareshani aur khauf nazar hi na aaya. Woh uske qareeb pohncha toh baghair kuch soche samjhe, uske seene par mukke maarna shuru kar diye.
Aas paas ke log ruk kar, murr kar unhe dekhne lage the.
"Maine kaha tha, maine kaha tha ke mere saath koi drama mat karna." Woh rote hue us par chillaayi.
"Maine mana kiya tha mere saath is tarah mat karna." Woh itni mushta'il thi, is qadar dukhi aur gusse mein thi ke khud par ikhtiyar kho baithi thi. Do ghante se woh is shiddat ki sardi mein bhatak rahi thi. Do ghante ek saza ke naam ho gaye the.
Zakhm phir udhar gaye, saare gham taaza ho gaye, saari aziyatein jaag uthi. Bachpan se le kar ab tak dimaag mein dehshat phail gayi.
Rote, chillate, gussa dikhate, woh jitna lad sakti thi, woh ladi. Jitna maar sakti thi, usne maara. Woh sambhala ja raha tha magar woh uski baaton mein nahi thi. Usay nahi sun rahi thi. Kuch bedardi aur gusse se uske haath jhatak kar woh peeche hatna chahti thi magar Faris ne usay aisa karne nahi diya. Woh sadak ke beechon beech uske mazboot baazoon ke hisaar mein muqeed ho gayi thi. Ab woh usay nahi maar sakti thi. Ab woh sirf ro sakti thi. Aur woh ro rahi thi. Woh apne nana ko pukarte hue bachon ki tarah ro rahi thi.
"I'm sorry! I'm so sorry!" Usne apne aap mein chhupaye bhaari dil se kaha. Woh awaaz sirf labo ki jumbish thi. Jannat ke qamaal tak nahi pohnchi thi. Uska wujood Faris ke baazoon mein bejaan ho gaya tha.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...