•••
Quran ki tilawat se farigh ho kar Mrs. Shirazi Jannat ke kamre mein aa gayi. Neeche shift ho jane ka yeh faida hua tha ke woh iske kamre mein aasaani se aa ja sakti thi.
Khidkiyon se swimming pool nazar aata tha. Deewaron par dhoop utri hui thi. Sabza roshni mein chamak kar aur haseen lag raha tha. Woh usi taraf dekh rahi thi. Jannat musalsal bolte hue wardrobe khule khadi thi. Woh uski sun rahi thi, usse jawab bhi de rahi thi. Wardrobe mein sirf uski cheeze, uska samaan tha. Bacche ke liye gaye samaan ko tareeq se neeche rakh rahi thi. Kamra chonki bara tha to dayein taraf ka hissa bacche ke liye bahut khubsurti se set kiya ja sakta tha.
"Baby cot yahan acha lagega," unhone kaha.
"Haina, maine bhi kal yehi socha. Aur is deewar ke saath main alag se wardrobe le loongi. Kapde, khilone sab tarteeb se rakh doongi."
Unhein idraak hua, aane wale waqt ke baare mein uski soch kaafi had tak badal chuki hai. Woh ab apne khauf ko mita kar naye khwab sajane lagi hai. Unhein is positive tabdeeli par khushi mehsoos hui.
"Haan, yeh theek rahega." Woh dil se muskurai.
Jannat unke paas sofa par chadh kar baith gayi.
"Sach sach bataye, aapki kya khwahish hai?"
"Kis baare mein?"
"Aapko pota chahiye ya poti?" Woh aankhon mein tajassus aur ishtiaq liye puch rahi thi.
"Mujhe bas apne bete ki sehatmand aulaad chahiye. Beta ho ya beti! Isse farq nahi padta," unhone uske haath par haath rakh kar narmi se kaha.
"Ye kehne ke liye dhair saara shukriya," unke gaal se gaal mila kar ke kaha, phir uth kar doosri cheezen sametne lagi. Saath hi shaadi ka hawala bhi de rahi thi.
Mrs. Shirazi ab wardrobe ki taraf dekh rahi thi. Pandrah din Faris Wajdan ki sangat mein guzarne ke bawajood usne kamra alag kar liya tha. Jaanti thi Faris usse waqt aur space de raha hai. Woh is par apni marzi musallat nahi karna chahta tha. Yeh ek azadi thi. Khud se ek faasla qaim kar ke woh usse apna faisla badalne ka mouqa de raha tha. Unke honton par mubhim si muskurahat thehar gayi. Magar kuch soch kar jaane kyun dil udaasiyon mein ghar gaya. Mini kitchen set safed rang ke makhmalen kapde. Aankhon mein izteraab liye unhone Jannat ki taraf dekha.
"London mein Faris theek raha? Koi pareshaani to nahi hui?" unhone pucha.
Jannat ruk gayi. Gardan mod kar unhein dekha. Chand lamhon tak khadi rahi. Ab woh unhein allergy reaction ka bataye? Ya sleeping pills aur anti-depressant ka hawala de? Woh unhein kisi bhi surat pareshaan nahi karna chahti thi.
"Jee, woh theek raha bas usse thoda sa jhukam hua tha. Aur kuch nahi," muskurayi woh, gehri saans lekar chup ho gayi. Rukh badal kar phir se bahar dekhne lagi. "Kal aap keh rahi thi mujhe painting dikhayegi?" Unki khamoshi aur aankhon se jhalakti pareshaani mehsoos kar ke unke paas aa gayi.
"Haan, ek muqammal ki hai. Kaafi arse se bana rahi thi lekin adhuri hi thi. Tum dono London chale gaye to phir fursat se muqammal kar li."
"Chale, phir mujhe dikhaye. Taake main usse rate kar sakoon. Waise to main aapki har painting ko das mein se poore bish number deti hoon."
Woh muskurayi.
Jannat wheel chair par haath jamaaye unke saath studio mein aa gayi. Samne hi deewar par safed chaadar mein ek large size ki painting deewar ke saath rakhi thi. Ab tak ki Mrs. Shirazi ki tamaam paintings mein yeh sabse badi thi. Taqreeban aadhi deewar cover kar rakhi thi. Usne aage badh kar kapda hata diya, gehre rangon se bani ek dark painting samne thi.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...