•CHAPTER-19•

597 35 12
                                    

•••

Aadil  Ahmed ne video email kar di thi. notification mosul hote hi faris ne video play kar di. screen par manzar wazeh ho chuka tha. Uski gaari parking area mein us maqam par khari thi jahan aam do raaf kam thi. aqab mein main road tha jis par ikka dukka gadiya hi guzarti dikhayi de rahi thi warna road sun saan hi tha.

jis waqt woh gadi se tek lagaye jannat se baat kar raha tha, us waqt doosri row mein safaid Corolla gaadi ke peeche koi moujood tha.

jab woh gaari nikaal kar wahan se ja chuka to usse kuch hi der baad mobile par phone karti jannat ke aqab se woh namodaar huwa tha. phir usne jannat ke qareeb aa kar kuch kaha tha. woh aik jhatke se ghumi thi. khauf aur pareshani ke aalam mein woh usi saraiyyat se jane ke liye mudi hi thi ke uski daeni kalayi us shakhs ki girift mein aagai. choorian chur mura kar tooti thi.

bekhasta hi faris Wajdan ki aankhon mein khoon utara tha. muthiyaan bhinch gayi thi.

jannat ne apna haath chhurane ki sae ki thi. yeh uske andaaz se wazeh tha, woh madad ke liye chala rahi thi ghair abad hissa tha. is taraf koi bhi nahi tha jo uski madad ko aa jata.

woh usey khenchte hue le jane laga. sath hi kuch keh bhi raha tha. apna haath churate hue aik dam hi jannat ne uska mun noch lena chaha. nakhun ke nishaan gaal aur gardan par parre. aur agale hi lamhe usne jannat ke gaal par thappar jadh diya. woh neeche ja giri. ain isi lamhe saira khaala ka beta Faisal aa gaya tha aur phir dekhte hi dekhte chand aur logon ka majmaa bhi ekhatta ho gaya.

Usne jannat kamaal ko apne dahina haath ki kalayi thaam kar uthte dekha aur haath barha kar video rok di. kitne lamhe beet gaye. usey pata hi nahi chala, phir woh kursi chhore kar utha tha. raahdaari mein bhaari qadam uthate hue, seedhiyan charh kar apne kamre ka rukh karte waqt uski kefiyat ajeeb si ho rahi thi. jaise koi saqeel shai uske seene par aan pari ho. jaise use saans laine mein dushwari ho rahi ho.

kamre ka darwaza dhakel kar woh andar aaya to woh samne baithi thi. Sar tak lehaaf taane sofe par simat kar baithi laptop par koi film dekh rahi thi. Popcorn ka packet hathon mein tha. dry fruits ki plate chocolates chai ka cupp coffee table par rakhe the.

inhamak se koi scene dekhte aankhon mein Ishtiaq tha aur labn par tabassum easy ho kar baithi thi woh laa parwai liye hue andaaz tha uska jaise kuch der pehle tak un ke darmiyan koi talkh kalami nahi hui thi. jaise bees pachis roz pehle koi haadsa paish nahi aaya tha. jaise uski choorian nahi tooti theen. zakham nahi aaya tha. jaise lawaris samajh kar uski izzat par haath daalne ki koshish nahi ki gayi thi.

"Tum ne faris ko bta ya nahi?"

"Mein ne zaroori nahi samjha!"

woh sakit o Samat use dekh raha tha aur woh etraaf se yaksar be niaz kisi scene par be sakhta muskura rahi thi.

"Mujhe girne se dar nahi lagta Khan! mein pandrah din pehlay parking area mein giri thi. aur phir khud uth kar bhi gayi thi. ab bhi agar girungi to uthne ki himmat hai mujh mein."

aur tab hi nigahon ki tapish ka ehsas karte hi jannat ne gardan mourr kar use dekha. Uske tasurat se lamhe bhar ke liye woh choank si gayi.

"Ghalti to meri hi hai na! faris ne to kaha tha ke sath hi chalo, mein ne hi zid ki ke sidra ka walima attend kar ke hi jaugi!"

lekin agale hi pal aankhon mein khafgi liye usne bhanwain sukairh kar chehre ka rukh badla aur laptop  screen par nigehain jamali . kuch hi der mein woh kamre se chala gaya tha. jannat kamaal ko andaza hi nahi tha ke jo message aur voice recording usne pachees roz qabal parking area mein faris wajdan ko rote hue bheji the, woh aaj scene kar li gayi theen.

•••

Nashte ki table par mrs Shirazi ne faris wajdan ki khamoshi ko kuch ziyada hi mehsoos kiya tha. aik to woh khasi takheer se aaya tha. upar se tha bhi aam huliye me. goya aaj uska office jane ka koi irada na tha.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now