•••
Mudhat uski care taker thi. magar Jamila dawod care se aage ka sochti thi. mohabbat aur tarbiyat.
"Faris ko apni duty nahi, apni zimmedaari samajh kar treat Kiya karo Mudhat! mein janti hoon baba tumhe tumahre kaam ki salary dete hain magar kuch kaam aise bhi hote hain jo hamein khuloos dil se ajar ki niyat se karna chahiye."
Mudhat kuch herat se apni malikan ko dekhne lagi. Jamila dawood, faris wajdan ka schedule tarteeb de rahi thi. woh school lunch mein Kya le kar jaye ga, do pehar mein kya khayega, shaam mein woh kya le ga. yeh saare mamlaat ab woh khud te kar rahi thi.
"Khana mein ghar se hi dugi jo kuch Hammad ke liye bunaugi uska aik hissa Faris ke liye bhi hoga."
"Magar bade sahab?"
Jamila ne sar utha kar tanbeehi nigahon se Mudhat ko dekha. woh modab ho kar sar jhuka gayi.
"kya shirazi mansion se servants quarters mein pehle khana nahi jata?"
"Jata hai jee."
Mudhat ka sar jhuka raha.
"Zaroori nahi tum har khabar apne abba ko diya karo, janti to ho woh har baat tumahare bade sahab tak pahuncha
dete hain. raaz rakhna sikho. har baat batane wali nahi hoti.""Jee behtar." Mudhat ne asbat mein sar hila diya.
"Isse pyar aur narmi se baat Kiya karo sakhti mat pukara karo Mudhat!"
bohat si tanbihat aur nasihato ke sath is ne baqaidagi se Mudhat ko trained karna shuru kar diya tha. woh khud bhi ab Faris ko waqt daine lagi thi.
"Mein nahi chahti, woh zindagi guzare mein chahti hoon woh zindagi jiye."
woh aksar Mudhat se kehti.
wasee o Areez raqbe par phaile sae sabz lawn par woh har shaam uski ungli thaam kar chalti jati chalti jati aur waha ja kar ruk jati jahan Azam shirazi ke ghodon ka astabal tha.
aala nasal ke arabi ghodo ko dekhte
hue faris ki aankhon mein har baar taajjub aur Ishtiaq sa ubharta. har baar woh unhen aise daikhta jaise pehli baar dekh raha ho. Uski aankhon mein zindagi ka yeh rang Jamila ko bhala lagta. woh muskura deti. woh uski muskurahat ko daikhta.phir atraaf mein dekhte hue be dhayani mein hi Jamila ki ungli par apni girift mazboot kar laita. aur Jamila ko uski is harkat par toot kar pyar aata.
aik raat jab woh Faris ko kamre tak chhor kar ghar aayi thi to Azam shirazi lounge mein uske intezaar me tehel rahay the. pichhle aik mah se Jamila kya kar rahi thi unhen sab maloom tha. usey faris ke mamlaat se baz rakhne ki apni si koshish kar ke bhi woh dekh chuke the magar ab jaise un ki bardasht khatam ho rahi thi.
"Mein agar usey udaan ke liye par de raha hoon to munasib waqt par laine ka poora ikhtiyar bhi rakhta hoon, mein jis waqt usey hudood o quyood se nikalta daikhuga upay wapas uski auqaat mein le aauga!"
"Magar jo tum kar rahi ho Jamila! Is par tum bahut pachhtaogi."
"Jo kaam ajar ki niyat se kiya jaye us par pachtawe nahi mila karte."
"To tum ajar kama rahi ho?"
Azam shirazi ka lehja istezaya huwa.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...