•••
Pakistan pohachte hi usne pehle toh achi khaasi neend le kar apni safri thakaan utaari, aur uske baad farhat se apni shopping dikhane Ms. Shirazi ke bedroom mein pohanch gayi. Apne kapde, coat, staller ke bajaye usay bacche ke liye ki gayi shopping dikhane ka zyada shauq tha. Ab tak usne jitni bhi cheezen khareedi thi, sab ki sab bed par phela di. Woh ek ek cheez utha rahi thi aur unhein dikhate hue bata rahi thi ke usne yeh kab aur kahaan se li thi. Faris ke saath ki jani wali sabse pehli shopping toh yaadgaari thi. Us din jo kuch woh unhein nahi dikha saki thi, aaj dikha rahi thi. Mrs. Shirazi aankhon mein khushi ki chamak liye, bohot mohabbat se ek ek cheez haathon mein lete hue usse dekh rahi thi.
London ki fiza ne Jannat par acha asar chhora tha. Sehat kuch behtar ho gayi thi. Halqe kam ho gaye the, chehra fresh aur bhara bhara sa lag raha tha. Ab woh muskurati thi toh aankhein bhi chamak uthti thi. Mizaj mein jaise ek thehraav sa aa gaya tha. Uska khauf khatam ho chuka tha. Waqt ne usse nikhara tha. Woh pehle se bohot behtar thi. Dil hi dil mein Allah ka shukar ada karte hue unhone unke talaqat ki mazeed behtari ki dua ki.
Usne bag se siyah shopping bag nikala.
"Yeh kab liya?" Zara hairan hui ke usse yaad nahi tha. Na pehle usne dekha tha. Khola toh andar safed rang ke nanhe nanhe se moze, jootay, ooni cap aur libaas tha, feeder bhi safed rang ka.
"Kya yeh Faris ne liye the?" Aankhon mein ishtiaq liye kapdon ko haathon mein liya. Itni naram o mulaayam cheezen. Usne foran se uthakar Mrs. Shirazi ko dikhaya aur woh apni jagah saakht ho gayi. "Yeh yaqeenan Faris ne liye hain. Kitne pyaare hain na?" Woh keh rahi thi.
Ms. Shirazi ko laga, woh saans nahi le sakengi. Jo kapde haath mein the, unpar giraft barh gayi. Aankhein puri num, wujood andar tak veeran ho gaya.
"Pata nahi usne kab liye?" Sar utha kar Mrs. Shirazi ki taraf dekha. Unke badalte ta'asuraat usse pareshan kar gaye.
"Aap theek hain?" Uth kar unke paas aa gayi.
Unhone gehri saans lete hue apne seene par haath rakha. "Haan, theek hoon." Usne foran hi glass mein paani dal kar unhein diya. Chand ghont lene ke baad woh waqfe waqfe se gehri saansein leti rahi.
"Auntie" unka haath apne haathon mein liya aur fikr mandi se unhein dekha.
"Theek hoon, aise hi zara dil ghabra gaya."
"Aap aaraam kare. Main bhi toh kab se aapka sar kha rahi hoon." Sharminda ho kar saari cheezein sametni shuru ki.
"Aisa nahi hai beta!" Unhone roknay ki koshish ki, "Bas baaqi shopping kal dekh lenge." Unhein ehtiyaat se bed par litaaya. Bohot mohabbat aur fikr mandi se unki aankhon mein dekha.
"Thak gayi hoon shayad, is liye." Unki awaaz aansuon se bhar aayi thi. "Main Faris ko bulati hoon." Uth kar jaane lagi toh unhone haath pakad kar rok liya. "Pareshaan ho jayega woh. Aaram karungi toh theek ho jaungi."
Jannat unke gird baazu daal kar unke barabar mein hi let gayi. "Aap so jaayein ab." Unke kandon par apna sar rakha. Unhone khud ko pur sukoon karte hue aankhein band kar li. Jannat tab tak unke paas rahi jab tak woh so nahi gayi. Ehtiyaat se uth kar lamp off kar diya aur beaawaz qadamo ke saath bahar aa gayi. Chand lamhon tak wahan khadi rahi.
Phir usne raahdaari ki jaanib dekha. Ahista se kadam uthati shidiyo tak aayi. sar utha kar bahut upar tak dekha, subah uske bedar hone se phele hi Faris office chala gaya tha. Aur wo bhi bade dharrale se apne naye kamre me saman samet sift ho gayi thi. Na koi aamna samna hua tha na message par koi baat hui thi. Waapsi par kuch waqt mrs. Shirazi ke sath guzar kar wo dobara apne kamre me band ho gaya tha. Wo pehle bhi esa hi tha esa hi karta tha magar jane kya baat thi Jannat ko uske rawaiyye ka badlav bahut jada mehsoos hua.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...