•CHAPTER-24•

459 27 3
                                    

•••

Burhan ki shadi dhoom dhaam se sar anjaam paa gayi thi. Walima ke baad hi woh usey agle roz hi laine aa gaya tha. Hafsa aapi usey drawing room mein bithaye kaafi der tak kuch kehti rahi thi aur woh unhen tasalli deta raha tha. woh un ki behan ko jaan se bhi barh kar chahta tha. usey takleef daine ka to woh soch bhi nahi sakta tha.

woh har tarah se uska khayaal rakhne ki yaqeen dehani krwa raha tha. tayyar ho kar jab woh neeche aayi to Burhan usey bohat fresh aur nikhra nikhra sa laga.

Jeans par safaid shirt mein malboos, baal saliqe se jamay hue, kalayi par qeemti ghadi. woh apni mukammal tayari mein hamesha ki tarah bohat acha lag raha tha.

jannat par nazar parte hi uski aankhon ki chamak uba rahi thi. woh uth khada huwa. Hafsa aapi ne unhen duaon ke saaye taley rukhsat kiya tha.

driving ke douran woh usse halki phulki baatein karta raha. mamool ke mutabiq jaisey kuch huwa hi nahi. jaisey koi teesra Fard uski zindagi mein aaya hi nahi.

yahan se woh seedha usey restaurant le kar gaya tha. uski mann pasand dishes ka order de kar woh maiz par uski taraf jhuka tha.

"kya khayaal hai lunch ke baad shopping par chalein?"

woh shayad uske sath ziyada se ziyada waqt guzaarna chahta tha. jannat uski aankhon mein dekh rahi thi. woh uska Burhan tha. woh zarra bhar nahi badla tha. uski zindagi jannat ki wohi ahmiyat thi. wohi maqam tha. woh usse aaj bhi utni hi mohabbat karta tha.

"Tum ne mere liye bohat barri qurbani di hai jannat! mein tumhara yeh ahsaan kabhi chuka nahi paunga!"

lunch ke baad jab woh gaadi ki taraf ja rahe the to usne kaha tha.

"Allah ne agar mujhe aulaad se Nawaza to un par tumhara bhi utna hi haq hoga jitna mera ya maheen ka."

woh khamosh ho gayi thi. aulaad ka zikar aisey hi us par zamur taari kar deta tha. shopping bags hathon mein pakdae jis lamhe woh Burhan ke sath ghar mein daakhil hui, nigah seedhi maheen par gayi.

surkh kamadaar jore mein malboos, nak sqck se tayyar nai naweli dulhan usse  bohat khush ikhlaqi se mili thi.

Albata fazila tai ke tevar kuch bigre hue se lag rahe the. unhen Burhan ka shadi ke dosre roz hi jannat ko waqt dena bilkul bhi acha nahi lag raha tha.

Jannat moazrat chahtay hue apne kamre ki taraf gayi to Burhan bhi uske peeche chala gaya tha. Lounge mein samne baithi maheen ke chehre par aik tariqi si chhaa gayi.

Sartaaj ne to nazar bhar kar use dekha tak na tha. halaanke woh apni saas ke kehne par uske liye kitne shoq se tayyar ho kar baithi thi.

Fazila tai bhi sara waqt andar hi andar jalti kurhhti rahi thi. unhon ne to maheen se bhi keh diya tha.

"Sabr se kaam lena beti gulaam hai yeh jannat ka, waqt lagey ga par wo tumhara bhi ho jaye ga. aakhir tum usey baccha dogi."

apni bahu ka urtta rang unhon ne bhaanp liya tha. maheen  badkat muskurayi thi. magar uski aankhon mein kuch tha, koi aisa ta-assur jo shola ban kar lehra raha tha.

•••

shadi ke baad Burhan apne haqooq o faraiz ka usi tarah khayaal rakh raha tha, jaisey woh shadi se qabal rakha karta tha. majboori tale dubi jannat ke liye soorat e haal kuch aisi thi ke usey bhi samjhota karna para tha.

woh maheen ko pasand nahi karti thi, na hi kar sakti thi magar phir bhi woh us ke kisi bhi mamlat mein dakhal andazi nahi karti thi. woh usey us ghar mein mukammal tor par is tarah nazar andaaz karti thi jaisey wahan uska wujood hai hi nahi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now