•CHAPTER-02•

808 42 2
                                    

Shaam ka andhera dharti par phail chuka tha. Dewar gir khidkiyon ke parde doriyon mein bandhe hue the. Pandrahwin ka poora chand (Full moon) us ke aqab mein tha. Woh kuch der pehle Mrs. Shirazi ke hamrah ghar pahunchi thi aur ab dressing table ke samne khadi kuch be-dardi aur jhanjhalahat se apni jewellery utar rahi thi. Aankhon mein nami thi, chehra shiddat jazbaat se surkh ho raha tha. Walima reception ke dauran woh kitni pur-aetmad rahi thi aur ab jab tanhai maysar hui thi to kaise tukde tukde ho rahi thi.

"Zindagi phoolon ki sej kisi ke liye bhi nahi hoti Jannat...!"

Mrs. Shirazi ne kuch der pehle usse paas bitha kar kaha tha.

"Naye mahol, naye rishton mein adjust hone mein kuch waqt lagta hai. Woh waqt tahammul mizaji ki talab rakhta hai, sabr chahta hai....!"

Phir us ka haath tham kar apne haathon mein le kar mohabbat se us ki aankhon mein dekha tha.

"Duniya ka sab se haseen aur shafaf jazba mohabbat ka hai. Is jazbe mein salahiyat hai nafrat ki har chata ko paash paash kar dene ki...!"

Jannat ki aankhon mein ek karb thehra tha. Woh us ki muskurahat se uljha tha. Us ke chehre par bikhar tha. Goya Shirazi jaanti thin apne bete ko achi tarah se samajhti thi.

" Tumhari Faris se shadi meri wajah se nahi hui hai, na hi tumhari khala ki wajah se yeh tumhara naseeb hai jo tumhein yahan laya hai."

Baat ghoom phir kar ek baar phir us ke naseeb tak aa gayi thi. Har baar yeh lafz use dara deta tha. Har baar yeh sachai use tarpa deti thi.

Agar ab bhi naseeb hi yahan laya tha to... wehshat ka saanp gardan se lipta tha. Zaat ke aaine par pathar barse the. Woh tukde tukde ho kar bikhar gayi thi.

"Naseeb...!!"

Ulajhe mantashir khayalat ke saath us ne sar utha kar aaine mein us jannat ko talasha jo lahoo thi magar us ke saamne jo khadi thi, woh to kuch bhi na thi. Qadmon ki aahat ke saath kamre ka darwaza khul gaya tha. Us ki jhumke utaarti ungliyan sakt hui thin. Be sakhta nazar utha kar us ne aaine mein Faris ko hi dekha tha. Tie ki knot dheeli karta, coat utar kar stand par latka ta ab woh bed par baith kar apne jute utar raha tha. Wrist watch, cufflinks us ne side table par rakh diye the. Woh masroof mein apne kaam kar raha tha aur Jannat dressing table ke saamne patthar hui, apne jhumko mein hi atki khadi thi. Woh Faris Wajdan ko dekh rahi thi aur Faris Wajdan ne bhoole se bhi ek ghalat nigaah us par nahi dali thi. La be sakhta hi koi manzar zehn ke pardo par chhaya tha yaka yak us ki aziyat barh gayi thi haal aaina ban kar maazi ka aks dikhlaye to aziyat barh hi jaati hai.Yeh ehsas kitna aziyat naak hota hai ke aap mojood hon aur koi aap ko adham kar de. Aap mawaraai ho jaye nazar na aaye. Koi khayal chot ban kar zehn mein utar tha, Aankhein jal uthi thin.

Kapde badal kar woh attached bathroom se bahar aa gaya tha. Siyah trouser par safed rang ki dheeli dhaali si shirt mein
malboos woh apne aam se huliye mein bohat jazib nazar aa raha tha. Apne irtraf se yaksar be niyaz us ne kamre ki lights off kar di thin. Ab sirf neelgoon bulb hi tha; jo andhere mein madham si roshni ka tasur de raha tha. Mobile charge par lagaye woh sone ke liye let chuka to khud par tari is jamood ko todtay hue Jannat ne mudkar barah-e-raast use dekha. Ab aaine ka sahara dar karar na tha.
"Yeh tumhara naseeb hai jo tumhein yahan laya hai..."

Halq mein ubharti guilty ko bamushkil neeche utaarte us ne attach bathroom ka rukh kiya. Kapray tabdeel kar ke woh kafi kafgi se bahar aayi thi. Sofa par baith kar royi royi si surkh matoram aankhon ke saath kuch der tak woh usey hi dekhti rahi thi...

"Naseeb..!"

Safaid shawl khud par phailaye woh sakhtay huye sofa par neem daraz hogayi. Kuch thakawat ka asar tha aur kuch guzishta shab ki be khwabi thi ke aankhein band karte hi usey neend ne aaliya tha. Aur ek baar phir woh us be reham raat ke apni shikanjon mein jakri gayi thi jo bawajood koshish ke bhi us ke zehan se nikalti nahi thi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now