کِسٹ نمبر 8
Karvate par karvatein badalti woh kaafi der tak be aaraam rahi. baa-mushkil bara bajey aankh lagi to daidh bajey khul gayi. usne uth kar baithte hue ehtraaf mein nigah dorhayi.
poora ghar khamoshi mein dooba huwa tha. sab hi khawab khargoshi ke maze le rahay the. aik wohi thi jisey aik pal ka aaraam nahi tha.
Usne chappal dhoond kar pahani. kitchen mein ja kar pani piya, phir fatima par theek se lehaaf daalti sidiyo ki taraf ja khari hui. sar utha kar upar dekha. neeche sab so rahe the to upar woh bhi yaqeenan so hi raha hoga. kuch der tak shawl ko kaandhon par daaley kuch kefiyat mein apni jagah khadi rahi.
Wo faris wajdan ko jaga kar Bua ki ghair mojoodgi mein hi uski aamad ki wajah jana chahti thi. aur yeh kaam woh subah se pehle pehle kar lena chahti thi.
janti thi bua mudakhlat se baz nahi ayengi. woh un ke mabain sulah ki har mumkin koshish karen gi aur woh yeh nahi chahti thi.
isi tarah khud se ulajhti woh sidiya charh kar upar aagai thi. khayaal tha woh so raha hoga, magar kamre ki light roshan thi. usne khtr ki ki oot se andar jhakka. kamrah khaali. faris nadarad
"Ye kidhar gaya ?"
yahan wahan nigah dorate woh mundair tak gayi aur yahin se usne sadak ki taraf dekha jahan andhere mein gaadi ka gumaan ho raha tha. kamra aur phir sehan ka chakkar kaat kar achi tarah se jaiza layte woh dayen taraf muri aur agle hi lamhe kisi se takra gayi.
khauf apni jagah jaga doosri magar jo chout naak par lagi thi, uska dard purey jism mein dora gaya. Faris ne usey baazu se pakar kar girne se allag bachaya.
"Iron man ke sagge." uski suji naak sehlate us par phatt pari.
"Dekh kar nahi chal sakte?"
halaank chal to woh rahi thi. Iron man to khada tha.
"Tum theek ho?"
khansi aur zukam ki shikayat liye Faris ki aawaz bhaari tanaffus bhaari aur dil bhi bhaari.
"Tees second pehle tak theek thi."
usne faris ke bukhaar se tapte haath ki girift se apna baazu chhuraya.
"balke saat ghante pehle tak bilkul theek thi mein."
Tap kar, chilla kar jawab daine ke baad uski aankhon mein ankhen dalain.
"Tum yahan kyun aaye ho?"
woh usey dekh raha tha. nim tareqi mein uski hazel aankhon ka ab jaisey koi rang nah tha. sirf siyahi hi thi. har jagah aur har taraf uske tasurat mubhim aur paicheeda the. na uski aamad samajh mein aa rahi thi. na woh uska dimagh parh pa rahi thi .
kuch to huwa tha uski ghair mojoodgi mein yaqeenan kuch to. yaka yak kisi mumkina khadshe ne sar uthaya to dil ki dharkan taiz hogayi.
"auntie theek hain?"
pehla khayaal hi mrs. Shirazi ka aaya. pehli fikar, pehla khauf, pehla andesha hi un ke mutaliq tha. uski wajah se unhen kitni pareshani hui hogi. apne bete ke muamlay mein, apni pasand ko sochkar ke woh kitna depressed hui hon gi. faris ka sar asbat mein hila. uski ruki hui sansen bahaal ho gayi. sad shukar baat un ki na thi. sad shukar woh kher kheriyat se theen.
"To phir?"
usne sawalia abr utha liya. sard hawae safede ke patto se sar serra kar guzri. dharti par phela huwa andher asmat gaya. chandni zameen par utar aayi. baadalo ke aawara tukre siyahi mein numaya hue magar jo khamoshi thi woh kuch der tak tehari.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...