•CHAPTER-23•

539 26 4
                                    

•••

husnain ki wafaat ke 10 Mah baad car accident mein kamaal junaid ka inteqal ho gaya tha. use achi tarah se yaad tha nana use apne sath Lahore le kar nahi gaye the. woh sara waqt un ke mulazim Noor ul deen ki biwi ke sath ghar mein rahi thi. woh bachi thi. nuqsaan ki itni samajh nahi thi.

kamaal junaid ne, na usse mohabbat ki thi aur nahi uski behno se hamesha ghusse se jhunjhlaye hue raha karte the. jab husnain peda huwa tha, tab hi un ke chehre ke tassurat badle the aur wo kuch naram hue the. magar yeh narmi, khush ikhlaqi aur mohabbat bhara rawaiyya bhi sirf husnain ke liye hi tha.

Woh saat betiyo ke baap the magar un ko khushi husnain ka baap ban kar hui thi. jab tak woh un ke sath ghar mein
rahi thi, usey yaad nahi tha ke unhone kabhi usse pyar kiya ho ya naam se pukara ho. use shak tha shayad unhen uska naam bhi maloom na ho. aisa baap jab duniya se rukhsat huwa tha to bas zara der ke liye usne mehsoos karne ki koshish ki thi ke usne zindagi mein aik ahem rishta kho diya hai. yeh ehsas takleef deh tha.

aankhon mein nami bhi aayi thi. sadma bhi pouncha tha magar woh ro nahi saki thi. shayad is liye ke woh un ke Kareeb nahi rahi thi. shayad is liye bhi ke woh sadhe saat saal ki aik kam Umar bachi thi jise abhi in mamlaat ki theek se samajh na thi ya phir yeh khayaal tasalii bakhash tha ke usne apne waalid ko sidiyo se nahi giraya tha. waalid uski wajah se nahi mare the. magar baap ki mout bhi uske khate mein likh di gayi thi. woh husnain ki mout ki zimmedaar samjhi jati thi, ab woh apne baap ki mout ki bhi zimmedaar thehra di gayi thi.

wo manhoos, bad bakhat uski hi wajah se is ghar ki ronaqe qabro taley ja soi theen. saari khatae uske khate mein thi. saare hisaab uski taraf khulte the.

Nana use sath le kar nahi gaye the. unhon ne in 10 Mah me usey is qader mushkil se sambhala tha ke ab woh nahi chahate the jannat wapas usi ghar, usi mahol mein jaye. tab tak nahi tab tak Nafisa ka dil jannat ke liye naram nahi ho jata. ya woh uske  na karta gunaho ko maaf nahi kar deti.

woh maa thi. bete ke qaatil ko maaf nahi kar sakti thi. beta bhi aisa jo aik lota ho. pandra salon ke taweel intezaar ke baad zindagi mein aaya ho. phir shohar ki hadshati mout.

Un ke liye yeh bare gehre sadme the. abhi tak to unhen husnain ka sabr nahi aaya tha to is hadase par kaise sambhal jati? nana ki ammi se phone par baat huwa karti thi. woh ab bhi Lahore jaya karte the. itna woh janti thi uski maa pehle se behtar thi aur yeh bhi ke use qaboolne ke liye hargiz hargiz tayyar nahi thi. behno ka khayaal tha, woh baa-mushkil sambhli he, jannat ko dekhen gi to unhe husnain yaad aaye ga. aur husnain jise Nafisa nahi bhuli thi
uska chehra yun jannat ke roop mein samne aaye ga to woh hawaas kho baithegi.

Nana ko bhi yahi lagta tha ke yeh soorat e haal sirf un ki beti ki na thi. nawasi ki bhi thi. jannat is tarah ke halaat se dochar thi. aaj bhi woh sote mein uth kar baith jati thi. dar jati thi aur unhen bhi dara deti thi.

"Apni maa ko samjhaya karo, jannat ko bad dua na diya kare, aulaad hai uski. itni buri baatein, koi saggi aulaad ke liye bhi aise sakht alfaaz istemaal karta hai?"

Nana samajhte woh so rahi hai magar woh sun rahi hoti. kabhi woh uski maa ko hi samjha rahe hote.

"Tumhari beti hai, tumhara khoon tum ne janam diya hai usey aisa kab tak chalega beta? choti si bachi hai woh. kuch to reham khao us par bachon ki larai thi. husnain ghalti se gir gaya. itni hi zindagi thi uski." phir ruk jate.

"Aur ghalti tumhari bhi hai. tum ne husnain ko bohat sar charha rakha tha."

jane aage woh rote hue kya kehti ke woh yak dam chup ho jate. kaafi der tak chup hi rehte, phir phone band kar dete. woh bhi aankhen band kar laiti.

Tapti hui do paher amma ki cheekhain maar dhaar shor kohram aur husnain us ki peshani se behta khoon aur guriya ka toota huwa sar kambal hathon mein bhinch kar woh ankhen khol deti.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now