•CHAPTER-17•

583 33 6
                                    

کِسٹ نمبر 3

𝑯𝒂𝒂 𝒕𝒉𝒊𝒌 𝒉𝒂𝒊 𝒎𝒆 𝒂𝒑𝒏𝒊 𝒂𝒏𝒂𝒂 𝒌𝒂 𝒎𝒂𝒓𝒆𝒆𝒛 𝒉𝒖, 𝒂𝒂𝒌𝒉𝒊𝒓 𝒎𝒆𝒓𝒆 𝒎𝒊𝒛𝒂𝒂𝒛 𝒎𝒆 𝒌𝒚𝒖 𝒅𝒉𝒂𝒌𝒂𝒍 𝒅𝒆 𝒌𝒐𝒊?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

𝑯𝒂𝒂 𝒕𝒉𝒊𝒌 𝒉𝒂𝒊 𝒎𝒆 𝒂𝒑𝒏𝒊 𝒂𝒏𝒂𝒂 𝒌𝒂 𝒎𝒂𝒓𝒆𝒆𝒛 𝒉𝒖, 𝒂𝒂𝒌𝒉𝒊𝒓 𝒎𝒆𝒓𝒆 𝒎𝒊𝒛𝒂𝒂𝒛 𝒎𝒆 𝒌𝒚𝒖 𝒅𝒉𝒂𝒌𝒂𝒍 𝒅𝒆 𝒌𝒐𝒊?

❏❏❏

Uski aankh khuli to raat ka daidh baj raha tha. uth kar baithte hue usne seenay par dhari kitaab coffee table par rakh di thi. Lahore se wapsi ke baad aksar aisa hone  laga tha ke woh sittting area mein hi so jaya karti thi. aur ab jab
shadeed sardi ka ehsas huwa tha to woh uth kar kamre mein aagai thi.

kamre ke andar daakhil hote hue use aika aik hi ghair mamooli pan ka ehsas huwa tha. Zarkar fanoos aur lamp roshan the. bed par be tarteebi se cushion yaha waha bikhare the. uski nigehain be ikhtiyar wash room ki janib uth gayi theen. adh khule darwaze se woh Faris ko wash besin par jhuka dekh sakti thi. woh khanste hue ulti kar raha tha.

Nichala lab yuhin be khayaali mein danoton taley dabatay hue woh sofe par ja baithi. woh kuch hi der baad bahar aaya tha.

madham si roshni mein uska chehra wazeh tha. muzamahil wujood nidhaal lag raha tha. rangat udi hui, hont khushk, be rang, nam ankhen betasha surkh aur kuch sooji hui theen. kapre shikan alooda, huliya bikhra huwa sa woh qadam utha rhatha to uski chaal mein wazeh larkharaht thi. phir woh khanste hue bed par dhey gaya tha. tangon par comforter pheilatay hue jannat usey bed par be qarari se karvat badalte aur be tarah khanste hue dekh kar kuch be chain hui.

pehla khayaal yahi aaya ke woh uske muamle mein nah hi parre to hi behtar hai. jaisa ke woh Lahore se wapsi ke baad se iradah kiye hue thi aur dosra khayaal yeh tha ke usey uth kar uski tabiyat se mutaliq istafsaar karna chahiye.

magar chahate hue bhi uski himmat nahi hui thi. woh aik baar phir uth kar wash room mein gaya tha. aik baar phir wash besin par jhuka huwa tha.

jannat ne iztirabi kefiyat mein wall clock par nigah dorhayi. 'kya saari raat uski yahi haalat rahi hai?' woh bahar aaya to jannat uske samne thi. kuch mutfakir aur matamail si.

"Is everything alright?" usne himmat kar ke poocha tha .

aik haath se deewar ka sahara lete hue usne darwaze ki knob ko thaame rakha. baar baar woh palken yun jhapak raha tha jaise aankhon par chhai hui dhund hataane ki koshish kar raha ho. manzar kuch wazeh huwa to jannat ko darashti se hatate  hue woh agay badha.

agley hi lamhey usa tawazun bigad gaya. usse qabal ke jannat usey sambhaal paati, woh poorey qad samait farsh par aa gira.

"FARIS, FARIS!." ghuti ghuti cheekh ke sath woh us par jhuk gayi.

Gaal thapthapate hue, aawaz dete hue usey hosh mein laane ki sae karne lagi. mehez chand lamhoon ke liye paas out honey ke baad usne jhat se ankhen khol di theen. agley hi pal usay khansi ka shadeed dora para. uske chehre aur gardan par surkh dhabbay ubhray hue thay. surkh aankhon se pani beh raha tha.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now