•••
Rawalpindi shehar ki hudood mein daakhil hone ke baad, matlooba address tak pahuchte pahuchte unhe aadha ghanta lag gaya tha. Aima ne qadra faasle par gaadi rok di thi. Rasta tang tha, gali ke andar matlooba ghar tak usay ab khud jana tha. Rubi ko call karte huye wo gaadi se utar gayi.
“Main aau tumhare saath?” usne poocha.
“Nahin, yahin ruko, main bas Rayyan ko le kar abhi aa rahi hoon.” Usne kaha to Aima ne steering wheel chhorh kar asbaat mein sar hila diya. Wo aahista aahista kadam uthati aage barhti gayi. Bilkul samne jis makan se jaamun ka darakht jhaank raha tha wahi do manzila makan hi Osaf Manzil tha, jismein baahar ki deewaron par lighting ka intizam ho raha tha.
Aas paas lights ka intizam sambhalte ladke khade the. Rubi phone nahi utha rahi thi, to usne apne taur se ladko se Osaf Manzil ke baare mein pooch kar confirm kar liya ke wo sahi jagah pohanch gayi hai. Adh khulw main gate ke samne ruk kar gehri saans li aur phir khud ko sambhalte hue andar daakhil ho gayi.
Gaadi ki khidki se Aima ne usay andar jate dekha, phir seat ke saath peeche lag kar aaraam se ho gayi.
Dono haath abhi tak steering wheel par the. Ungliyan hil rahi thi. Glasses baalon par rakh kar mobile utha liya. Jannat usay 5 minute ka keh kar gayi thi, lekin jab poore 15 minute guzarnay ke baad bhi uski aamad ke koi asaar nazar na aaye, to usne Jannat ko call ki. Bell ja rahi thi lekin doosri janib se koi response nahi aa raha tha.
Jaamun ke darakht par chadha ek ladka aankam andaaz mein phaili hui un shaakho ko kaat raha tha jo darwaze tak jhuki hui thi.
Wo khidki se bahar dekhte rahi. Kalai mor kar waqt dekha.
“Abhi tak aayi kyun nahi?”
Is se pehle ke wo darwaza khol kar bahar aati, usne Jannat ko baahar nikalte aur jaldi mein kadam uthate gaadi ki taraf aate dekha. Baccha uske saath nahi tha. “Isay kya hua?” Jannat ke asraat dekh kar wo ek dum seedhi ho gayi.
Uski aankhen phaili hui thi. Chehra zard ho raha tha.
Gaadi mein baithte hi usne darwaza band kar diya.
“Tum theek ho?” Aima ne pareshaan hokar poocha tha. Aankhon mein dehshat liye usne gardan mor kar usay dekha.
“Gaadi start karo.” Saansen bhaari thi.
“Kya hua? Is everything all right?” Wo pareshaan hokar pooch rahi thi.
“Aur tum? tum baccha ko nahi layi?”
“Aima, please chalo yahan se.” Ek dum se geeli awaaz mein kaha to usne Osaf Manzil ke baahar ke gate par ek nazar daalte hue gaadi start kar di. Kuch hi dair mein wo gaadi markazi shahrah par daal chuki thi.
Jannat Apna sar thame bethi thi. Aankho mein sadma nazar aa raha tha. Wahshat nazar aa rahi thi. Aziyat bhara sadma tha. Hairat thi aur beyaqeeni ka ta'ssur tha. Usay apni aankhon par yaqeen nahi aaya tha, samaat par yaqeen nahi aaya tha.
“Aap mujhse meri jaan kyun nahi maang leti?” Mutharakt gaadi mein wo bilkul saaket, bilkul khamosh aur veeran bethi thi.
“Aapne kaha wapas aa jao, main aa gaya. Aapne kaha shaadi kar lo, maine kar li. Magar yeh nahi, Khuda ke liye yeh nahi.” Uska dil bhaari ho gaya. Seene par bojh barh gaya. Saans lene mein dushwari hone lagi.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...