•CHAPTER-12•

520 29 2
                                    

•••

siyah rang ka halke kaam wala frock us par kaafi jach raha tha. shehad balon ko jude ki shakal diye, light sa makeup kiye, woh khush gawaar tasurat ke sath faris wajdan ke samne italian restaurants mein mojood thi. Khana serve kiya ja chuka tha.

black two piece suit mein malboos woh pathirelay tasurat ke sath hamesha ki tarah khamosh betha tha. jannat khana maze le le kar kha bhi rahi thi aur baatein bhi kar rahi thi.

"Auntie ne honeymoon ki baat ki thi tum ne kaha tha tum socho ge, kuch plan karo ge, ab jab tak mein yahan hoon, jab tak kuch plan karo yaar, thora mein bhi enjoy krlon gi, outing ho jaye gi meri bhi"

faris ka sar dukhne laga. Wo adhey ghante se woh uski baatein sun raha tha. majaal hai jo woh aik lamhay ke liye bhi khamosh hui ho. kuch soch kar jannat ne bag se mobile nikaal kar, faris ke samnay screen lehrai.

"Guess karo, mein ne tumhara contact number kis naam se save kiya hai?"

band muthi par thorhee jaye woh sard nazron se usey daikhta raha. doosre haath ki ungaliyan maiz par mutharrak theen. goya woh muntazir tha ke kab mohtarma khana khatam karen aur woh wapsi ki raah le.

"Tum ne ghalat guess Kiya." khud hi jawab de kar jannat ne screen par contact list khol kar samne ki. be shumaar neelay pehlay dilon ke darmiyan likha tha.

"My kaghazi husband"

woh hans di. faris lab bhinch kar reh gaya.

"Tum ne kisi naam se save Kiya hai mera number?" ab woh is se pooch rahi thi .

"Mein fazool logon ke number save nahi karta." woh seedha ho betha.

"Mein to karti hoon!"

jabray bheenchey woh khirki se bahar dekhne laga. aasman par baadal phail rahe they.

"Har jagah se mujhe block kiya huwa hai tum ne, number dene ka faida?" Tissue paper se haath saaf karte hue woh bas chand lamhoon ke liye khamosh hui thi, phir boli.

"Dosti karo ge mujh se? bohat achi larki hoon mein, aakhri dam tak sath nibhaun gi." faris ne aik lehze ke liye usey dekha phir maiz par kohniyan jamate hue agay huwa.

"Aur ye dosti ki offer tum kitney logon ko kar chuki ho?" jannat ke labon se muskurahat uran chhu ho gayi.

"aisay hi khayaal aaya to socha poochh lon" uski kefiyat se Mahzooz hotay hue is ne apni baat jari rakhi.

"Kahin tumahre ex husband ne isi wajah se to tumhe divorce nahi de di?"

"Tum ab apni had cross kar rahe ho faris!" Jannat ka chehra jazbaat ki shiddat se surkh ho chuka tha.

"had cross nahi kar raha, tumhe had mein laane ki koshish kar raha hoon." kaat daar lehjey mein kehte hue usne jannat ki taraf dekha .

"Talaq usne di thi ya tum ne li thi?"

jannat ko yun mehsoos huwa jaise uski gardan par paon rakh kar musla ja raha ho. faris ka har sawal aisa hi tha. aziat ki do dahari talwar ki tarah.

"Tumhari badi 6 bahene hain. un mein se koi aik bhi tumhari shadi mein shareek nahi hui. jahan tak mujhe ilm hai, khasa bara khandan hai tumhara magar koi aik rishta daar bhi tumhari shadi par nahi tha masiwaye sayra auntie ke."

muthiyaan bheenchey, lab baaham paiviest kiye woh zabt ke karre marahil se guzar rahi thi. itnay achay mood ke sath use dinner par laa kar woh is terhan ki baatein kere ga, agar usay ilm hota to yaqeenan woh nah aati.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now