•CHAPTER-16•

569 30 5
                                    

•••

Pakke sehan ki mazboot sidiyon ka manzar tha. safaid tiles par dhair hotay kisi wujood ki krah sadma. wehshat be yakeeni aur phir wohi aawaz jo is ke hawaas mukhtal kar diya karti thi. aik jhatke se kanch toota tha. sheeshay ke tukre bikhare the. cheekhain ubhri theen.

Jannat… N-Nahi jannat… please K-Khuda ke liye... Jannat… mera baccha...!

Usey saans Laine mein dushwari ho rahi thi. bukhaar ki hiddat se peeta wujood dard ki lapait mein tha. takleef ki shiddat se krahte hue usne be cheeni se karvat badli. phir zair lab barr badate hue rone lagi.

zehen aik baar phir ghamdghi mein doob gaya tha. dobara jab usey hosh aaya to raat ke daidh baj rahe the. usey bhook ka shiddat se ehsas huwa. muh ka zayeja zahreela sa ho raha tha. usne etraaf mein nigah dorhayi. kamray ki khirkion par dabeez parday giray hue thay. lights off theen, sirf nilgon bulb jal raha tha. heater on tha, tab hi kamre mein sardi ka ehsas nahi ho raha tha. gehra tanaffus lete hue woh kisi qader koshish se uth kar baith gayi thi. aakhri manzar jo zehen mein mehfooz tha, woh gaari ka tha.

madham si nilgo roshni mein faris usey samne coach par nind daraaz dikhayi diya. ankhen band theen. tanaffus hamwar. yaqeenan gehri neend mein tha. jannat ne dahine haath par nigah dorhayi. canolla mojood tha. drip utar chuki thi.

Usne bad side par rakhi dawaon ko dekha. phir ulje bikhare balon ko samaitt kar farsh par qadam jamate hue uth khari hui. lamhey bhar ke liye lar kharayi phir sambhal gayi.

Uska rukh washroom ki taraf tha. wash basin ke samane ruk kar usne khud ko aaine mein dekha. chehare ki sard jild ko chhuwa. surkh dooron wali bheegi hui aankhon ko dekha. be sakhta kisi khayaal ke tehat safaid lbade ki khuli dheeli aasteen ko upar kiya.

bazu par moujood zakham ki bandage ki gayi thi. usne bandage ko hata kar dekha. chaar tankay lagey the. woh aik baar phir apne aks ki taraf mutwajjah hui. peshani par neel ka nishaan kuch gehra lagne laga. usey fikar hui. mrs. Shirazi se chhupana ashad zaroori tha. warna woh dekh kar sawal karengi. sawal aziat se dochar kere ga. aziat nakayto mein dhal kar aankhon mein ayaa hogi aur phir uska koi bhi jhoot unhen mutmaen nahi kar paye ga.

Muh dho kar woh kamre mein wapas aagai. garam shawl kaandho par daalti be had ehtiyat se bahar nikal gayi. seedhiyan utar kar usne kitchen ka rukh kiya tha. kuch hi der mein freezer khole surkh mutwaram aankhon se khanay ke liye kuch dekh rahi thi.

chicken kadahi, fried fish  usne microwave mein khana garam Kiya aur abhi kursi khech kar khane ke liye baithi hi thi ke qadmon ki aahat samaat se takrayi. niwala toar kar saalan mein dubote hue woh dekhe bina hi jaan gayi thi ke raat ke is pehar sidhiya utar kar neechay kon araha hai.

Pehley freezer khola gaya. doodh nikala gaya. Cabinet khol kar patti aur cheeni ke  jar talashe gaye. burner jalaya gaya .

aur is douran woh atraaf se yaksar be niaz khamoshi se khana khati rahi. chaye cup mein daale woh sauad hall lounge mein ja kar baith gaya tha. open kitcehn se woh baasani dekh sakti thi.

T.V. on kiye, channel surffing karte woh ghoont ghoont chai, apne andar utar raha tha. jannat ne bas aik lamhey ke liye uski pusht ko dekha, phir sapat tasurat ke sath, sink mein istemaal shuda plates rakh kar apne kamre mein aagai. bad side table par dawaon ke sath auqaat ki nishandahi karte notice  bandhe. kon si tablet kis waqt leni hai aur din mein kitni baar leni hai sab darj tha. lab bhinch kar woh glass mein pani undhelne lagi.

dawa laine ke baad usne apna lehaaf aur takiya uthaya aur aik baar phir apni Sabiqa jagah, yani sofe par ja kar late gayi.

phir jane kab uski aankh lag gayi thi. aur khuli tab, jab kisi ne kandha hilaate hue pukara tha. aawaz ghair manoos thi. ankhen khol kar usne khud par jhuke chehray ko dekha. kuch dhundlaa sa tha.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now