•••
Deewar gir khidkiyon ke samne woh sofa par aalti paalti maar ke baithi hui thi. Kuch kaghazat table par bikhre hue the aur kuch uske barabar mein sofa par rakhe the. Chand ek haathon mein the jinhe woh yaksoi se padh rahi thi. Har thodi der baad uski aankhon ka taasur badal sa jaata tha, nami chhod jaati thi, dil thum jaata tha. Woh ek ek lafz, ek ummeed, ek tasalli, ek paigham samjha kar padh rahi thi. Usne sara uthakar Munh Shirazi ko dekha. Woh canvas ki taraf mutawajjih thi, aur kaye, bagaya hai, use bhi dekh leti thi. Uske tassurat unhein ek anokhi si khushi dete the, jaise woh kuch samajh rahi hai, badal rahi hai.
"Aap is tarah ayat ko kaise samajh leti hain?" Woh kaise bandh rahe sakti thi.
Wheelchair ko harkat dete hue woh kuch aage ho gayi. Uske qareeb phir haath badhakar kuch safhay utha liye. Yun par madham si muskurahat ubhar kar maqdoom ho gayi.
Jo safha haath mein tha woh mukammal zard rang ka tha. Zard rang ke safhay par woh hamesha ayat likhti thi. Gulabi safhay par unka research work hota tha. Halke sabzi mayil safhay par to the point woh baat jo tahqiq ka hasil hoti thi. Aur phir yeh safhay file mein ek tarteeb se lagay rehte the.
"Tumhare khayal se ek aurat ke liye sabse badi do aazmaishe kaun si ho sakti hain?"
Unka sawal sun kar uski nazreyn be khud yeh zard safa ki taraf uthi gayi jo unhone uski taraf badhaya tha. Usne safa thaam liya. Mrs. Shirazi ne yeh kya poocha tha? Woh kya likh rahi thi jise unhone adhoora chhod diya tha? Kya samajh rahi thi jo aankhe itni nam aur dil bhar gaya tha.
Safhay par do ayat likhi thi. Ek ayat Umme Musa ؑ ؑ ki thi jab unhone Musa alaihis salam ko samundar ke hawale kiya tha. Dusri ayat Maryam alaihis salam ki thi jab unhein hamal thehre tha. Dono ko "أَلَّا تَحْزَنِي" "gum na karo" kaha gaya tha. Aur dono hi us waqt takleef ki inteha se guzar rahi thi.
"Kirdaar ki pakizgi aur aulad ka gam"
Zehan ne foran kaam kiya tha. Usne be khud sar uthaya. "Bas Allah ka yahi paigham dhoondh rahi thi main."أَلَّا تَحْزَنِي"
(gham na karo) woh jaanta hai ek aurat ka dil kitna kamzor hai, khasusan ek maa kisi takleef se guzarti hai. Kis dard ko sehati hai. Is ke siwa aur koi jaan hi kaise sakta hai."
Woh keh kar khamosh ho gayi aur Jannat ki rahm bhari nigaahon se unhein dekh kar reh gayi. Jawaan aulad ki maut ka gham sehati hui maa!Use Mrs. Shirazi ke betay aur phir yateem pote ka khayal aaya. Be ikhtiyaar dil me karb khul gayi. Woh maa betay ke is maamle mein bilkul nahi aana chahti thi magar…
"Aap Faris se baat kyun nahi karti?"
"Kis baare mein?"
"Apne pote ke baare mein."
Mrs. Shirazi ne ruk kar use dekha. "Yeh baat usse karne wali nahi hai beta!". Woh be bas si se Mrs. Shirazi ko dekh kar reh gayi. Woh aisa kaise keh sakti thi. Is tarah Faras ko laataaluk kaise samajh sakti thi.
"Woh uska chacha hai aunty! Baap ki jagah hai." Mrs. Shirazi nazar jhuka gayi.
"Woh aapse itni mohabbat karta hai, aapka koi bhi kaha nahi taalata, to phir kaise woh kaise?" Wo atak gayi. Yeh maamla uska nahi tha. Yeh behas uski nahi thi. Mrs. Shirazi nazar jhukaaye bilkul khamosh baithi Rahi. Woh hamesha aise hi apne dard aur apne gham ko parde mein rakhti thi. Na toh woh kuch sunti thi, na hi himaayat mein kuch kehti thi. Unhone jaise khud ko seal band kar diya tha. Jannat fikr mandi se uth kar unke paas aa gayi. “I’m sorry! Main ne aapko pareshan kar diya na?” Mohabbat se keh kar unke gird baazoo daala. “Main milaungi aapko usse” Woh nam aankhon se mushkil se muskurayi. “Aap is painting ko jaldi mukammal kijiye. Kyunki mujhe apne naye bedroom mein bed ke upar yehi painting lagwani hai.”
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...