•CHAPTER-21•

568 29 6
                                    

•••

"aap bahut pyari hai!"

kitchen mein daakhil hote hi ye pehla jumla tha jo Faris wajdan ki samaat se takarya tha. stool khech kar baithte hue is ne usse is sehat mand bacche ko dekha jo ka counter table ke dosre kone mein apne kapron mein baa-mushkil samaya huwa betha tha. khuli dhuli shirt large size ki thi aur tab bhi use tang ho rahi thi. faris ko bohat ghhor karne aur zehen par zor daine ke baad yaad aaya ke woh mrs. Yazdani ka nawasa tha. mrs. Yazdani, wohi jo unke padosh mein rehti aur janwaron se mohabbat ke muamle mein kaafi mashhoor bhi thi.

"Yeh is liye ke aap khud bohat pyare ho." faris ki aamad se be khabar woh Tray mein cake Pastries aur jane kya kya sajane mein lagi hui thi.

"kya, kya aap mujh se shadi karen gi?" apni nanhi si surkh car ko table par yahan wahan dorate bacche ne zara sa jhijakte hue jannat se poocha.

"She is married!" Jawab faris ne diya tha. glass mein strawberry juice undelte Jannat ke hathon ki harkat lamhe bhar ke liye thi.

"yeh kab aaya?"

bache ne gardan moud kar aik nazar faris wajdan ko aise dekha jaise uski yeh mudakhlat use hargiz hargiz pasand na aayi ho.

"So what? woh apne husband ko chhor bhi to sakti hain."  use lajawab kar ke us ne apni peshani par bikhare balon ko dono hathon ki madad se peeche hataya.

"Are you married Jannat Jani?" kuch soch kar usne jannat se poocha.

"Jannat Jani?" faris ne achambhe se use dobara dekha.

"No, I'm single!" lawazmat se saji tray apne nanhe maheman ke samne rakhte hue jannat ne suna ya kisi aur ko. Bachhe ne faris ko yu dekha jaise keh raha ho. 'dekha? She is mine, she will be mine!'

faris ne rukh badal kar orange Juice ka glass labon se laga liya. 'yeh jannat single kabse hui?'

"To phir mein apni mummy ko kab lau?"

"Aik baar hamari baat tay ho jaye to."

"Is he serious?" faris se raha nahi gaya. mushkil se saat saal ka ho ga. age ke do daant bhi Mosoof ke gayab the.

"Tumhe kya masla hai. mujhe saat saal ka baccha purpose kare ya sattar saal ka budha?" jannat ko patange lag gaye.

"I am not a baccha!" bacche ko pehli baar apni hone wali mangetar se ikhtilaaf huwa.

"Dekha! woh khud man raha hai woh baccha nahi hai."

"tumhe kya masla?" ab to jannat ko bhi faris ki mudakhlat pasand nahi aa rahi thi. faris mehez kandhe uchakka kar reh gaya. ke bhala use kya masla ho sakta hai?

"Mein bada ho kar pilot banuga. mein aap ko poori duniya ki sair bhi karwaun ga. Hum dono ikhttey Disney land bhi jayen ge." woh jannat ko apne future plan se aagah karne laga.

"Jab tak tum jahaaz udane ke qabil ho ge tab tak yeh pachaas baras ki aik auntie mein badal chuki hogi." Jannat ne jal kar faris ko dekha.

"Age doesn't matter love matters!"

"Whatever!" Usne khaali glass ka counter table par rakha.

"Zaid honey! aap ka jab dil chahe aap apni mummy ko le aao." bohat muskura kar usne bacche ka gaal khincha.

"Suzie ko bhi sath le aaun?"

"Ab yeh Suzie kon hai?" faris ne aik baar phir un ke darmiyan taang udai thi.

"Meri billi hai" shaane be nayazi se bataya gaya. Faris ke tasurat badle.

"Nahi, Suzie ko laane ki zaroorat nahi hai. mein usse milne aap ke ghar aaungi." jannat ne talna chaha.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now