•CHAPTER-13•

492 26 5
                                    

•••

behtareen intizamaa ke sath khubsurati se decorate kiye gaye shadi hall ke saddar darwaze par mehmanon ka khush ikhlaqi se istaqbaal karti saira khaala ki nazar jannat par pari to woh heran reh gayeen. aik lehze ke liye to jaisay inhen yaqeen hi nahi aaya, aglay hi lamhay unhon ne agey barh kar usey gale laga liya tha.

Faris wajdan ne mobile ki screen se nigah utha kar saira khaala ko dekha. labon par dahinay gaal ki janib uthti madham muskaan ke sath woh jannat ke khalu se aur un ke beton se mila. Amaar ke ilawa syra khaala ke teeno betay khush ikhlaqi se mile.

Navy blue paint coat mein faris ka daraaz qad numaya ho raha tha. apni shakhsiyat mein shandaar to woh tha hi magar Wajahat ke baais har kisi ki nazron mein bhi araha tha.

safaid aur gulaabii rang ke imtezaaj ke ka madaar lehenga choli mein malboos, jannat Bint kamaal sab kuch lag rahi thi magar khush nahi. zabardasti ki muskurahat bhi uske honton par nahi thi. ankhen surkh mutwaram jaise woh sara rasta roti rahi ho woh jitni upset thi, faris wajdan utna hi khush aur mutmaen!

"Tum andar jao mein zaroori call attend kar ke aata hoon. jannat ne mathus nigahon se usey dekha.

andar bhi woh akeli hi jaye? phir is ne khaala ko dekha jo dosre mehmano se mil rahi theen. Amaar qadray faaslay par hi bigre tewaroon ke sath khara tha.

"M-Mein tumhara yahin intzaar kar leti hoon!"

"Koi zaroorat nahi!" aankhon mein sakhti se dekhte hue is ne kaha.

phir qadray faasle par, shadi ke hangame, shor sharabe aur music ki taiz aawaz se pare, woh phone kaan se lagaye kisi se baat karne laga. muthiyaan bhinch kar jannat ne jaise apni ghabrahat par qaboo paaya phir himmat mujtma kar ke hall mein daakhil ho gayi.

shadi ka ka shor sharaba, hungama sab jaisay khatam huwa tha. ya shayad us ki samaat ne hi kaam karna chore diya tha ke ahistagi se qadam uthatay hue usay yu laga tha jaise har taraf Moheeb sannata chhaa gaya ho. kayi nigehain is ki taraf uthi theen, kayi logon ne aankhon hi aankhon mein aik dosray ko ishare kiye they. aate jate logon ki markaz nigah bani aziat ki do dahari talwar par qadam jamaye woh shadi hall ke sab se jate logon ki markaz bani ki do dhari par qadam woh allag thalag hissay mein ja kar baith gayi thi.

Jin logon ke samnay woh mar kar bhi nahi aana chahti thi, woh ab nazar bhar kar usey dekh rahe they. usey jaanch rahay the.

'Bad naseebi ka agar koi roop hai to woh jannat kamaal ko daan kar diya gaya hai. badbakhti agar koi maqam hai to woh jannat kamaal ko inaam kar di gayi hai.'

us ka sar utha huwa tha magar nigahain jhuki hui theen. woh kisi ko dekhna na chahti thi magar phir bhi sab usey nazar aa rahe they. behno ko woh nazar andaz nahi kar saki thi. khusoosan Hafsa aapi ko woh unhe uthte baithtay atay jatay dekh rahi thi. aur woh thi ke usey mukammal tor par nazar andaaz kiye hue theen.

woh uski bhanjiyo aur bhanje doosre bachon ke sath khailtay kudte phir rahay thay. Mubasar to uske paas se guzar gaya tha. yaqeenan behnoon ne hi mana kar rakha tha tabhi woh iske paas nahi aaye they.

chhotey cha-cha aur phophoo ki family bhi wahan mojood thi. har chehray par usey dekhte hi na gawari ubhar aayi thi. kuch to woh heran bhi ho rahay thay ke woh yahan kaisay aagai thi?

"Tum yahan kyun aagai ho?" jannat ne choank kar sar uthaya. Ammar shadeed ghusse mein lag raha tha.

"Apna tamasha banwane ka bohat shoq hai tumhe."  jannat usey dekh kar reh gayi. zair lab barr badate hue woh wahan se chala gaya. woh janti thi Ammar yeh baat kisi wajah se keh kar gaya tha. uski bhi majboori thi. woh kon sa apni marzi se yahan aayi thi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now