•••
Raat ka jane konsa paher tha jab khouf ke aalam me uski achanak aankh khul gayi thi. Paisaani pasine se tar batar, aur saase bhi chadhi hui thi. Kohni ke bal jara sa upar hui ki pani ki bottle utha sake, magar side table par kuch nahi rakha hua tha. Wo roohan sa ho kar sar takiye par gira liya.
"Faris… " usne band aankho ke sath usay hilaya. Halk me kaate chubh rahe the. Faris ne uski awaaz par bedar hote hue hi karwat badli.
"Paani… paani chahiye."
Woh usi waqt uth kar room fridge se bottle nikal laya tha. Baazu ke sahare usay utha kar bithaate hue glass diya. Usne paani yun piya jaise sadiyo ki pyasi ho.
"Theek ho?" Woh pooch raha tha.
Usne sar ko jambish di. Sar pillow par rakha, aankhein band kar li. Baar baar Ruby ka khat aur baatein zehan mein aarahi thi. Woh pichhle teen dino se Rayyan ke hawale se uljhan aur pareshaani mein mubtala thi. Har raat isi tension mein aankh khul jaati thi. Kabhi khwabo se ulajh kar, kabhi kisi khauf mein phans kar. Neend theek se nahi aati thi. Tabiyat bhi theek nahi rehti thi. Jhunjhalahat ke aalam mein uska chehra yun ho gaya jaise abhi ro de gi.
"Ab kya hua?" Woh pooche bina nahi reh saka.
"Bhookh lag rahi hai," lete lete bheegi aankhon aur roti awaaz mein boli.
"Aue ismein rone ki kya baat hai?" Woh jo apni side par aake baitha tha, taajjub ka shikar hua. "Abhi sone se pehle hi toh khana khaya tha." Woh roohansa hokar bol rahi thi. Uska dukh kuch aur tha, izhaar kisi aur baat par kar rahi thi.
"Tumhara koi ilaaj nahi." Woh bar barate hue kamre se chala gaya. Jannat ne aankho par baazu rakh liya. Zehan uljha hua tha. Rayyan ke hawale se woh kisi bhi nateeje par pohnch nahi pa rahi thi. Usay kya karna chahiye? Aur kya nahi karna chahiye? Woh pichhle kai dino se tazabzub ka shikar thi. Abhi bhi sochon ka toofan zehan mein andak aa raha tha. Mrs. Shirazi se woh baat nahi karna chahti thi ke mubada unhein pareshaan kar de. Aur Faris se baat karne ki himmat woh khud mein paida nahi kar pa rahi thi.
Faris uske liye phal kaat kar le aaya tha. Woh uth kar baith gayi.
"Tumhein bukhaar ho raha hai." Peshani par haath rakh kar bola.
"Nahi, bas aise hi," keh kar uska haath hata diya. Ab woh fruit kha rahi thi to woh ghoom kar apni jagah par waapis aa gaya tha. Table clock raat ke dhai baje baja raha tha. Ek baar phir sone ki koshish ki lekin Jannat ki fikr aaray agayi. Karwat badal kar usay dekhne laga. Woh khaali plate side table par rakh kar apni jagah par waise hi baithi hui thi. Mutfakkar nigahe nim tariki me yaha waha bhatak rahi thi."Phir se koi tension le rahi ho?"
"N-Nahi toh.…"
"Phir kya soch rahi ho?"
Usne gardan mod kar Faris ko dekha. Phir seedha hote hue bed crown se tek lagayi. Comforter ungliyo mein dabaye, iztiraab chhupane ki koshish mein pareshan. Woh ab usay dekh rahi thi.
"Agar mujhe koi baat disturb kare, ya agar koi aisi baat ho jiske baare mein mujhe ye lage ke…"
Woh ruk gayi, usay samajh nahi aa raha tha woh baat kaise shuru kare.
"Ke kya?"
"Agar koi aisi baat ho jiske baare mein mujhe lage ke main tumse karugi toh shayad tumhein gussa ajaye."
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...