•CHP-32•

478 33 11
                                    

•••

woh subah ke saat bajey ghar se nikalta tha aur baagh ke raste tehelta huwa bohat dur nikal jata tha. yeh uski roz marrah ki routine thi. ibtidayi kuch dinon tak to jannat usey khidki se hi jata dekhatii rahi thi.

chouthe din woh apne nana ki ijazat se main gate par mojood thi. aur phir jaisey yeh roz ka mamool ban gaya tha. yeh ka woh subah sawere jaisey hi usey baagh ke rastay nazar aata tha, woh apna hi tooty bag pehne bahar chali aati thi.

kabhi woh akeli hoti, kabhi raste mein uske namoone dost bhi sath hote. Tipu , mouni, kaka shaka aik to naam anokhe upar se harkatein bhi ajeeb.

Shaakho se latakte. aur maryam urf mouni to sara waqt barri ammao ki tarah apne sar par dupatta hi jamati rehti. jannat un ki leader thi. chikhte hue jis rukh ishara karti, woh sab hi usi taraf daud parte. choti choti baatein aur fuzool se latifey un ke liye itne mazhaka khaiz hote ke woh hans hans ke ghaas par lout poat ho jate. aur woh herat se unhen dekhte hue sochta reh jata.

'hansne wali baat kya thi ?"

kabhi kisi shararat par basti ke log dantne ko lapakte to woh saare usey dhaal banatey peeche chhup jate. aur log usey Azam Shirazi ka koi ghair mulki maheman samajh kar lehaaz kar jate. un ke jane ke baad jo jharkiyan wo pilata, aglay paanch minute tak to kisi ki aawaz bhi na niklti. uske baad wohi bhaag daud, shore saraba. aur woh unhen kabhi uljan aur kabhi uktahat se dekh kar reh jata. itne shore aur halle gulley ka woh aadi nahi tha.

Magar masla sirf aadat ka nahi tha. unhen hanstaa muskorata dekh kar usey ajeeb wehshat hoti thi. woh un ki sangat mein saat sala faris ho jaya karta tha. un ki nanhi nanhi khushion aur qehqahon se ulajhney lagta tha. saari mehromiyan, talkhiyan aik sath yaad aati to uske ehsasat ajeeb ho jate. aur mawazna shuru ho jata.

kitney khush qismat they yeh bachay har gham, pareshani aur khauf se mobara rishton mein ghiry mohabbaton se jurey unhen haq tha is tarag kehke laga kar hasne ka is tarah muskurane aur dhair saari shararte karne ka. nah kisi ke baap ne usay chorra tha, nah kisi ki maa ne usey thukraya tha.

woh duniya ke khush qismat tareen bachhe the jo apna bachpan waisa hi jee rahe the jaisa unhen jeena chahiye tha. un ke kaandhon par koi boojh nahi tha. aur zehnon mein koi sawal nahi they. woh shafaaf they. un par un ke walidain koi dhun nahi jamne de rahe thay. aur aik woh tha. Jise uske apne walidain ne mohabbat se likh kar nafrat se mita diya tha.

Us din woh wapas aaya to kaafi se ziyada udaas tha. sara din woh dr. mustafa ke ghar raha, Saleem aur jannat usse baat cheet karne ki koshish karte rahe magar woh chup raha. dr. mustafa aaye to uska ravayye mehsoos kar gaye. khane ke baad kuch der tak sawal jawab karte rahe magar woh sar jukaye khamosh betha raha.

ab woh unhen yeh betaye ke woh un ki saat sala nawasi aur uske dosto se jealous ho raha hai? is liye ke woh itna hanste aur muskurate hain?

woh chhotey bachon ka zikar kar ke un ke samne chhota nahi hona chahta tha. woh be sukooni ka saamna kar ke is baar khaali nahi hona chahta tha. saare gham, uljhanein aur mehromiya samete woh ghar chala gaya. us din pehli baar
aisa huwa tha ke usne dr mustafa se apni baat share nahi ki thi. agle din woh baagh mein gaya to bachon ne usey aik baar phir ghair liya. tang aakar usne kisi tanha weraan gooshe mein ojhal ho jane ki koshish ki, khayaal tha jab woh unhen nahi miley ga to woh apne khail mein Taman ho kar uska peecha chhor den ge magar woh bacche bhi goya bottle ka jinn the.

dayen baen aage peeche se chikhte hue yu namodaar hue jaisey woh un ke sath chappan chhupayi khail raha tha. yani ke had hai. tap kar jhirak kar, aur unhen acha khasa daant kar woh ghar chala gaya. aglay do din usne baagh ka rukh nahi kya. teesre din poori fouj uske darwaze par thi.

"Kaka ne machhliya pakri hain. choti choti si hain. tum dekho ge?"

aur kaka ki to shaan hi allag thi. steal ke aik bartan ko foran hi aage kar diya. us ne sarsari si nigah dorhayi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now