CHAPTER - 49

484 31 3
                                    

کِسٹ نمبر ۱۱


Faris wajdan us se naraz ho chuka tha. Packing ke dauran jab woh uske aage peeche phirti rahi aur baat karne ki koshish ki, toh usne koi jawab nahi diya. Tayari karte hue baar baar usay mukhatib kar rahi thi, magar wo aisa lag raha tha jaise kuch sun hi nahi raha ho. Khane ki table par bhi inteha ki khamoshi thi. Ab woh wahi purana, maghroor aur badmizaaj Faris tha. Jannat hairan thi, akhir usay hua kya tha? Aisi kaunsi baat thi jo usay buri lag gayi thi?

"Achha theek hai, kisi ko kuch nahi bataungi," kaafi soch vichar ke baad zara sa ehsaas hua toh keh diya. gaadi airport ki jaanib rawaan dawaan thi. Woh aqbi nashist par uske bilkul paas mein baithi thi. "Pura Pakistan ko batao, meri bala se," ek shaan aur ghamand ke saath baitha woh keh kar baahar dekhne laga.

Jannat hairan hui, "Waakai?" Phir kandhe uchka kar usne bhi rukh badal liya.

London ke Heathrow Airport par Adeel Ahmed nazar aaya toh chhoot'te hi pooch liya, "Mister Adeel! Kya aap kisi aise insaan ko jaante hain jo neend mein baatein karta ho?"

"Sorry?" Adeel ko Jannat ki baat samajh mein nahi aayi. Jannat, "Matlab jo neend mein baatein kare. Main ek ko jaanti hoon," haath se apni taraf ishara kiya jaise koi bara azaaz ki baat ho. Faris ne gussa dabate hue Jannat ko bazoo se pakad kar daayein taraf khada kiya, "Baz aa jao tum."

"Nahi, baz aasmaan par hi theek hai, usay neeche mat bulao tum."

Woh bade maze me thi . "And by the way tumne khud mujhe kaha sab ko bata do, ab kya masla hai?"

Faris zabt kar ke jhatke se palat gaya.

Airport ke waiting area mein toh usne inteha kar di. Qareeb baithay kisi suited booted aadhe Angrez, aadhe Pakistani se 'sleep talk' ka mowzu chhed diya. Woh bata rahe the ke kaise unke azeez neend mein chala karte the aur kaise wo ek baar ghar se baahar nikal gaye the. Aur Jannat bohot hairan o pareshan ho rahi thi,

"Kya waqai Uncle? Aisa hi hota hai? Oh mera Allah, acha phir, phir kya hua tha?"

Faris seat arm par kohni tikaye haath peshani aur aankhon par rakh kar zabt ke kadey marahil se guzar raha tha. Uncle sahab se guftagu khatam hui toh mohtarma ko bhook lag gayi. Beg se chips ka packet nikaal liya.

Faris ko offer ki to, woh achha khaasa jala bhuna baitha tha,  response tak nahi diya. Woh kandhe uchka kar rukh badal gayi. Chips ke chand packet, choclate, biscuits nikaal liye. Woh maze se kha rahi thi toh saamne bench par baithe bachay us par sanjeedgi se nazar jamaye hue the. Beg tha ya koi jadui thela, cheezein khatam hi nahi ho rahi thi.

Usi dauran ek nanhi si bachi nazron mein aa gayi. Uske pairon mein phoolon jese jootey the. Jab woh qadam uthati thi toh surkh roshni si bikhar'ti thi.

"Hum bhi aise jootey lenge." Faris ki jaanib jhuk kar kaha. Woh mobile par kuch likh raha tha, sar uthakar dekha, phir dekhta hi raha. Bachhi ne naya naya chalna seekha tha. Frock mein toh koi khilta hua phool lag rahi thi.

"Theek hai, hum yahi lenge." Woh manzar dekh kar uska mood khushgawar ho gaya.

"Main sirf apni baat kar rahi hoon." Muhtarma ko hosh aaya toh phir se toka, "Ye ham ab sirf tum ho?"

Ab ke kadi nazron se usay ghoora. Wo straw dato mein dabaye rukh badal gayi. Faris ki nigahein kaafi der tak us bachchi ke taaqab mein rahi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now