•••
Office se wapas aate hi apne kamre mein enter karte hi use ghair mamooli pan ka ehsaas hua. Halanke kuch bhi to nahi badla tha. Tie ki knot dheeli karte hue usne sofa par baith kar joote utaraye, cufflinks aur ghadi dressing table par rakhi to ehsaas hua ke uske perfumes aur lotions waghera ghaib the. Soch mein uljhte hue Wardrobe slide ki to khaali mili. Uske kapde, jootay, tie, kuch bhi maujood nahi tha. Wo ek dum se hairaan hua. Dimaag mein ek mumkinah khayal ne sar uthaya to uska senti mein bula. Magar agle hi pal wo joote pehan kar seedhiyo se utarta neeche aa gaya.
Mrs. Shirazi lounge mein baithi thi. Mulazma unke liye cup mein chai daal rahi thi. Jannat ki talash mein nigah daudate hue usne raahdari ki taraf rakha. Kuch hi der mein wo darwaze par dastak deta uske kamre mein enter ho chuka tha.
Uska saara saman carpet par dhara tha. Aur wo bilkul saamne neeche baithi uske joote tarteeb se rakh rahi thi. Aur itna magan ho kar kaam kar rahi thi ki na dastak suni thi, na uski maujoodgi ka ehsaas hua tha.
Seene par bazoo baandhe wo khushgawar hairat se use dekhta raha. Phir uske aqab mein be had nazdeek panjo ke bal baith gaya.
"Main abhi Adeel ko call karne wala tha, mere kamre se kuch saman chori ho gaya hai." Itne nazdeek se itne achanak awaaz aane par wo ek dum bokhlaayi. Sneakers chhoot kar neeche gir gae.
"Tum… tum kab aaye?" Ghabrakar poocha.
"Kaafi der ho chuki hai." Wahan ki aankhon mein dukh kar bola.
"Tum itni busy thi, tumhe pata hi nahi chala." Jannat hawas baakhtah hi use dekh kar reh gayi.
Ek tayrana nigaah kamre mein daudaayi. Phir fursat se use dekha. Aankhon mein shararat aur lips par jo muskurahat thi, wo use lab bhinche kar baar baar tha.
"Kya aap batana pasand karengi, mere jootay, kapde, ties khud chal kar neeche aaye hain ya aap unhe laayi hain?"
Jannat ki hawaayein ud gayi thi. Saari planning ka bairaag ghair ho gaya tha. Usne socha tha, wo apne bedroom mein uska saman set karne ke baad message kar ke batadegi ke ab wo kamra share kar sakti hai.
Lekin shomayee qismet ki, wo office se jaldi ghar aa gaya tha aur ab use aise dekh raha tha jaise wo koi jurm karte hue rangay haathho pakri gayi ho.
"Agar, aap laayi hain to phir kyun laayi hain?" Lahje mein kisi kadar masoomiyat thi. Jaise wo nahi jaanta ho. Wo kyun laayi thi.
" Wo… Main," dimaag khaali ho gaya. Shabdon ki kami thi, aur wo uski keefiyat se chakkar uthaata uske barabar mein hi baith gaya. Ke jawab dene ke liye jitna waqt chahiye le lo, mujhe bhi yahan se jaane ki koi jaldi nahi.
Jannat ko jee bhar ke rona aaya. Khud ko jis situation mein phansa liya tha. Uska aasaan tareen hal bhi use be intaha mushkil lag raha tha.
"Wo…mein…" uski nigaahon ke taasur se confuse ho rahi thi.
"Haan, tum kya?"
"Wo main apna room share karne ki ijazat de rahi hoon tumhe." Faris ne bhanwe uchkaayi.
"Lekin maine tumse ijazat kab maangi?"
Aur Jannat ko laga jaise aas paas bahut se dhamake hue hain. Aur aankhon ke saamne is izzat afzaayi par taare se chamak uthi ho.
"Us din to bada keh rahe the, kamre mein dil nahi lag raha…" Saari marawat, lihaaz balaye taq rakhte hue wo us par phat padhi.
"Main ne ye kab kaha?" Wo kadre hairat se seedha hua.
"Dil mein jagah nahi de sakti to kamre mein de do." Sulagh kar yaad dilaya. Chehra ghusse se laal ho raha tha.
"Main aisi koi baat kar hi nahi sakta." Be yaqeeni ki inteha.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...