•••
Lounge mein woh sofa pe leti thi. Faris saamne hi baith kar kisi foreign channel par kuch khabrein aur business programs dekh raha tha. Call receive karte hue woh uth kar Mrs. Shirazi ke paas chala gaya, toh sofa par leti leti woh popcorn khaate hue apne mobile mein lagi rahi. Foreign channel par ads chal rahe the. Awaaz kadre dheemi thi. Ek program khatam hua toh doosra shuru hua. Manzar ek stage ka tha. Alag alag angles se camera ghumate hue audience dikhayi gayi. Background mein program ka naam likha nazar aa raha tha. Host ne program ka aagaaz kar diya tha. Ek shandar documentary video chalayi gayi. Ramp par mukhtalif libas mein walk karti ek haseen khatoon mukhtalif angles se dikhayi gayi.
Mukhtalif events mein li gayi tasveerat, jismein red carpet ki tasveerain sabse numayan thi. Kabhi interview deti hui, kabhi muskurate hue camera ki taraf haath hila kar dekhti hui. Kuch acting ke scenes the. Kabhi woh voiceover karti hui nazar aayi. Kabhi apni product launch karte waqt center of attention thi. Kabhi charity work karte hue, kabhi refuge camp ka daura karte hue, Shami panah guzeeron mein rashan baantte hue, kabhi kisi organization se jud kar kisi ke liye awaaz uthate hue. Taaruf ke saath taaliyon ke beech woh stage ki taraf jaati hui nazar aayi.
Mobile par jhuki hui Jannat ne geheri saans le kar sar uthaya. Woh remote se awaaz kam karna chah rahi thi, magar agle hi pal, ek American host ke saamne baithi hui us purkashish khatoon par nazar padte hi ruk gayi. Aankhon mein ek dum se hairani utar aayi. Smart sa sarapa, cream rang ka maxi type simple sa libaas, sunahri baal halka sa curl kiye hue shanon par bikhre the. Nafees diamond jewelry set, unglion mein bhi diamond ring thi. Nazuk se bharpoor pencil heel, jis mein paon numayan ho rahe the. Safaid doodhiya rangat, natural makeup se aur bhi nikhri hui lag rahi thi. Umar yeh koi chalis baras hogi, usne khud se andaza lagaya. Ya shayad apni asal umar se kaafi kam lag rahi thi. Woh kaafi der tak us shanaasa chehre par se nazar na hata saki. Kya mushabihaat thi us chehre mein. Ajnabi hote hue bhi ek dum se jaan pehchan sa lagne laga tha. Khushgawar hairat ke saath volume badha diya. Host mukhtalif sawal kar rahi thi aur woh bohot dheeme lehje mein, bohot nazakat se jawaab de rahi thi.
Woh ek American-origin Pakistani model aur successful businesswoman thi jo naye entrepreneurs ko startup funds dene waali thi. Yeh program isi silsile mein tha. Saath hi unki kaamyabi ka raaz aur unki zati zindagi ke baare mein bhi sawal kiye jaa rahe the. Woh sar uthaye, gardan seedhi karke, har sawal ka jawab bohot sanjeedgi, mizaaj aur khush ikhlaqi se de rahi thi. Aankhon mein ek fatihana chamak thi aur muskurahat to waise hi zinda dili ka saboot de rahi thi. Jannat unki shakhsiyat se ek dum maroob hoi. Woh usey baaki celebs ki tarah nahi lag rahi thi. Usay unki baatein aur bolne ka tareeqa pasand aaya. Muskurahat par to waise hi dil aaya hua tha.
Ad ka silsila shuru hua toh usne volume kam kar diya. Raahdaari se nikal kar Faaris mobile par kuch type karta hua open kitchen mein chala gaya.
"Kya dekh rahi ho?"
"Tumhari female version," hans kar boli. "Umar mein tumse badi hain, lekin kamaal ki hain. Kahin tumhari koi bichhdi hui aaya toh nahi hain?"
"Yeh koi aur mazaaq ho ga tumhara?" Usne na samjhi ke aalam mein muskara diya. "Aur muskurati bhi bilkul tumhari tarah hain," usne hans kar kaha. "Kis ko dekh liya hai tumne?"
"Ek businesswoman hain," sofa ki back side par baazu tikate hue usne jawab diya. Kitchen counter ke us paar, woh uski taraf peeth kie hue orange kaat raha tha juice ke liye.
"Koi saat brands toh ab tak launch kar chuki hain. Mujhe toh bohot khushi ho rahi hai ke woh Pakistani hain."
Faris ki harkat pal bhar ke liye ruki. Sirf ek lamhe ke liye. "Acha!" Sar jhatak kar apna kaam karne laga.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...