•CHP-39•

543 28 2
                                    

•••

darwaze lock ho chuke the. gaadi start thi taqreeban magar abhi harkat mein nahi aayi thi. andar, bahar sannata sa chaaya tha. aik mukammal khamoshi dono ka ihata kiye hue thi. woh fikron mein ghiri sheeshe ki taraf rukh kiye baithi thi. naakhun ungli taley dabe Shawl ke andar muthi sakhti se band kiye.

"Kya haal hai?"

barabar mein baithe Faris wajdan ne khamoshi tor di.

"Mujh se koi baat mat karo!"

"Yeh sawal maine kisi aur se bhi poocha hai."

Jannat ka chehra surkh para .

"Ham se koi baat mat karo."

aur jis istehqaq se usne hum kaha, woh dheere se muskura diya. apni qismat, apna naseeb usey aaj se pehley kabhi itna achha nahi laga tha.

"Lekin mein karna chahta hoon." usne kaha.

Aadil Ahmed ki gaadi barabar se guzar kar aage hui to usne staring wheels par girift jamaye ail baar phir rukh mourr kar jannat ko dekha. seene par bazu bandhe wo khidki ki taraf rukh kiye baithi thi. chehra ojhal tha. khafa aankhe bahar kahin tarikeon se ulajh rahi theen.

"Tum ne mujh se poocha nahi, woh surprise kya tha jo mein Karachi se wapsi par tumhe dena chahta tha?"

woh ahistagi se goya huwa.

"Puchne ki kya zaroorat thi? jab woh surprise khud chal kar mere samne aagai thi." jal kar jawab dete hue ab ke usne apna rukh Faris ki taraf morra.

"By the way, mister shirazi! mein sirf auntie ki wajah se ghar jarahi hoon. tumhare sath jo meri deal hui thi, woh ab bhi qaim hai. maimne to auntie se keh diya hai, bhale se tumhari doosri shadi ho, teesri shadi ho, chothi shadi ho. I really don't care! mujhe sirf apni Talaq se gharz hai."

khamoshi se uski poori baat sun laine ke baad woh tamam tar tawajah driving par markooz kar chuka tha. hamesha ki tarah uska pursukoon rawaiyya jannat ko andar tak sulga gaya .

"Aur gaadi mein bhi isi liye baithi hoon kyunke unhone mujh se kaha, is liye nahi ke mein baithna chahti thi. tumahra to mujhe pata hai, tum to yahi sochoge tumhari saari plannings ka bera ghark jo ho chuka hai." woh shuru ho chuki thi.

"Kuch logi?"

Faris ne aqbi nashist ki taraf haath berhate hue poocha. peeche khane ke pack kiye lawazmaat rakhe the jo mrs. Shirazi ghar se layi thi. apni baat qata ho jane par usne sard nazro se usey dekha, phir ghusse se rukh mourr gayi .

"Don't talk to me!"

woh dukh se muskuraya. jaanta tha, baat karna chahega to woh ulajh parre gi, ya kaano par haath rakh kar rone lag jaye gi. aur woh aisa nahi chahta tha. In aankhon ne bohat rulaya, ab aur nahi. un ke mabain aik baar phir khamoshi chhaa gayi.

jannat nashist ke sath pusht tikaye, easy ho kar samne dekh rahi thi. gaadi main road par sarrayt pakdae hue thi. aas paas andhere mein roshniya bikherti gadiya guzar rahi thi. driving karte hue woh har thori der baad uski taraf dekhte hue jaise tasalii kar laita tha. haqeeqat ko khawab hone mein der hi kitni lagti hai? uska khauf, uska khadsha, uski tamam tar aziyate apni jagah qaim thi. sheeshe ke sath peshani tikaye, kisi gehri soch kisi gehre khayaal mein gum jannat ne ankhen moond li theen. zindagi ne aik baar phir raasto ka taayun kar liya tha. manzil abhi bhi dhund li thi. be naam aur ghair wazeh si thi. anjaam abhi bhi nahi badla tha. farq halaat par para tha, nafsiat par bhi, asaab par bhi

uske kandhe kisi boojh se jhuke nahi jarahe the. dil se jaisey koi saqeel se hatt gayi thi. woh khud ko bohat halka phulka sa mehsoos kar rahi thi. maazi hanooz jura huwa tha magar aisa pehli baar huwa tha ke uski takleef usey apne haal ka ihata karti hui mehsoos nahi ho rahi thi. yeh khushi chand lamho ki hi sahi, yeh sukoon kuch pal ka hi sahi lekin mila to sahi. woh mrs. shirazi ko aik baar phir sochne lagi thi. ghamo ke baadal poori tarah se nahi chhate the magar usey aasman abhi se, bohat ujla, bohat neela nazar aane laga tha. woh kuch adhoore khowabo ko aankhon mein sajaye aane wala kal ko soch rahi thi. adhuri tasweer ka aik hissa mukammal hone wala tha.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now