•••
Uske baal peshani par be tarteebi se bikhare the, tie ki knot dheeli thi. west coat ke button khule hue thay. barish ki nami kahin kahin kaandhon par, balon par thehri thi. nidhaal qadam uthate hue usne shirt ke oopri button bhi khol diye The. rukh sidiyon ki taraf tha.
Jannat ko ghar chhore poori saat raatein aaj tamam hone wali theen aur abhi tak uska suraagh nahi mil saka tha. woh apni khaala ke ghar nahi gayi thi. usne apne khandan ke kisi fard se rabita nahi kya tha. uski koi aisi dost nah thi jis ke paas woh ja sakti. koi rishta daar jis ke yahan panah le sakti. woh usey apne tain har jagah talaash kar chuka tha magar woh nahi thi. woh kahin bhi nahi thi.
woh kamre mein daakhil huwa to guzashta kayi raton ki tarah is raat bhi usne lights on nahi ki. apne aas paas, apne charon taraf usey andhera darkar tha. magar andhera bhi jaisey roshni hone laga tha.
woh us par sab ayaa'n karne laga tha. jannat kamaal ki jo cheez jahan rakhi thi, wahi mojood thi. uska kambal, takiya, laptop, charm bracelet jisey woh sonay se pehlay utaar kar table par rakh diya karti thi. wash room mein uski hair pins, rang birange cluctcher, hair clips har jagah bikhare pade the.
Dressing table par cosmatic ki chand ashya dhari theen. Is kamre mein uski nishani jaise har jagah thi.
pehlay woh thi to zindagi se khafa nazar na kahin theherti nahi thi aur ab jab woh nahi thi to woh usey apni har aik cheez mein baar baar nazar aa rahi thi.
aik baar phir woh uska mobile utha chuka tha. aik baar phir woh un tasaveer ko dekh raha tha jo aath din pehle usey raat ke baara bajey kisi ajnabi number se arsaal ki gayi thi.
chand massages jinhein parha nahi gaya tha, kuch calls jo miss kar di gayi thi. usne mobile rakh diya. ab woh wardrobe khole khada tha. aik aik kar ke har shai nikalta carpet par dhair kiye ja raha tha.
London ki tickets, passport, safri bag, packing ke liye muntakhib ki jane wali zaroori ashya aur jaisa woh usse keh kar gaya tha, woh uska samaan pack kar chuki thi. aur uske liye usne yaqeenan mrs. Shirazi ki madad li thi tab hi uske wohi kapde bag mein rakhe gaye the jo woh aksar beron mulk dore par le jata tha.
Wardrobe ke nichale khane mein hand bags ke sath hi jewellery box rakhe the. haq mehar ka cheque bhi mojood tha, qeemti Ahaef bhi mehfooz rakhe the.
Jannat kamaal apne sath kuch bhi le kar nahi gayi thi. qabar mein utarti kisi laash ki tarah woh apne sab kuch peechey chhor kar gayi thi. woh kapdo ko idhar udhar karta, uski cheezon ko nikaal nikaal kar kuch talashta ajeeb si kefiyat se dochar lag raha tha.
oopri khane mein rakha aik siyah bag khenchne par uske barabar mein para lakdi ka box uske qadmon mein girte hi khul gaya tha. chand khutoot, kuch tasaveer aur ashya uske qadmon mein bikhar gayi thi.
woh be ikhtiyar ruk gaya tha.
box ke aik kone par hurf 'F' ki calligraphy thi. aapas mein takrata do talwaron ka nishaan wazeh tha. aag pakadati aik tasweer dhund ki thi to doosri tasweer ki deewar par wazeh ho rahi thi. Usne be sakhta qadam uthaya. kanch ka tukda pair ke talwe mein kahin chuba.
"Itni si chot lagne se koi nahi marta."
"Mein to mar jati hoon." wo thehr gaya. ruk gaya. jam gaya.
jalti hui lakdion mein aik aur safhe ka izafah huwa. sakit paanion mein kanker phenka gaya. patte toar kar fiza mein uuchaal diye gaye. aan ki aan mein brown lakdi ka farsh aaina huwa. aik hi darar se janam layti be shumaar darare usey hazaar ha hisson mein munqasim kar gayeen. woh panjo ke bal jhuka to usey laga woh ab kabhi uth nahi paye ga. saans Lena chahega to usey saans nahi aayegi.
kya koi itna be khabar ho sakta hai jitna ke woh tha? koi itna safaaq bhi ho sakta hai jaisa ke woh khud apne liye tha? yeh kaisi be hisi thi jo apni zaat se marboot judi thi? yeh kaisi khud gharzi thi jo aziat mashroot thi?
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...