•CHAPTER-01•

3.1K 56 2
                                    

Jannat ! Khuda ke liye....

Dressing table ka samaan bikhra gaya. Deewar geer almirah ke sheeshe jhamaake se toot gaye. Kaanch ka guldaan jo shadid nafrat aur intezam se farsh par phenka gaya tha, us ke tukde yahan wahan bikhre gaye the.

"Jannat... jannat... aise na karo ajnabi.... nahi ajnabi... mera bacha ... ajnabi! Khuda ke liye.... "

Ek tarpaak pukaar ek ilteja us ne palkain jhapak kar dekha. Manzar ek lamhe ke liye dhundla hua tha. Shayad aankhon ki nami badhi thi. Shayad roshni madham padi thi.

"Burhan burhan mujhe bacha lein."


Dil kharash cheekh ke saath hi us ki aankh ek jhatke se khul gayi thi. Bed crown ke saath laga apna sar uthate hue woh har bada kar seedhi ho baithi thi. Dahaana haath be sakhta maqam-e-qalb par aan thahra tha.

Maqam e qalb , maqam e 'alam' tha.
Maqam e alam , maqam e 'ibtalaa'...

Tanafus bhari, halq khushk aur khof ke apne shikanje mein jakad dimaagh ma'awuf...!

Nightstand ki zarkaar roshni mein, kaam daar urdi joray ke daman par nazar padte hi woh apne khwab ke asar se safed aur siyah rang ki taqseem mein khubsurati aur nafasat se bajay, ek waseeo areez bedroom mein woh jahazi bahar aagayi. Besakhta sar utha kar us ne matwahish nigahon se atraaf mein dekha.

King size bed par golden bridal dress mein malboos baithi thi

Yeh ghar us ka nahi tha. Yeh kamra bhi us ka nahi tha.

Second ke hazarvein hisse mein chand ghante pehle nikah aur phir rukhsati ka manzar us ki aankhon ke samne lehra gaya.

Khushk labon ko tar karte hue aroosi joray ka daman apne haathon mein sambhal kar woh bed se utar gayi.

Chooriyan khank uthin, band ya mutaharrik hui. Sone ke nafis aawize us ki surahi numa gardan par aage peeche
jhool jhool gaye."

"Woh insaan ho kar saakit thi. Lakhoon ki jewellery bejaan ho kar mutaharrik...

Kapkapati ungliyon se darwaza khol kar woh kuch khof, kuch ghabrahat ke saath bahar aagayi. Master bedroom ki daayeen simt, aen samne gol zeena tha jo neeche ki taraf jata tha. Usi zeene ki ibtidaai seedhiyon par woh usey baitha dekhai de gaya tha.

Jannat ki dhadkan ek lamhe ke liye jaise tham si gayi thi.

Sar gira hua, kandhe jhuke hue, aur muthiyan us sakhti se bheenchi hui jaise woh zabt ke aakhri marahil se guzar raha ho.

Doraan-e-safar us ka mood khushgawar nahi tha, woh jaanti thi. Nikah ke waqt bhi us ke tevar theek nahi the, wo yeh bhi jaanti thi.

"Bare ajeeb hain yeh Fares bhai." Sidrah ne khaas tor par tunss kiya tha. "Nikah ke paper par aise sign kar rahe the jaise"....
kuch kehte kehte woh eka ek khamosh ho gayi thi.

"Jaise?" Us ne ghaneri palkon ki jhaalar utha kar use dekha tha.

'Jaise kuch nahi.'

Labon par muskurahat saja kar us ne baat adhoori chhod di thi. Aur woh adhoori baat jaise ab mukammal hone ko thi...

Khud par tari is jamood ko todtay hue woh ek jhatke se uth kar us ki taraf muda tha. Us ki teekhi gehri aankhon mein ghaiz o ghazab ka barhta hua taassur Jannat bint-e-Kamal ki reerh ki haddi mein sansanahat dauda gaya "Tum ne abhi tak change nahi kiya?" Bhari taabir awaz, phir ya sakht lehja...

Lehngay ka qaal sambhale Jannat ki makhrooti ungliyon ki girift itni mazboot hui ke moti aur keemay hatheliyon mein chubhne lage. Yeh ek kaghazi rishta hai Jannat Kamal yeh sirf kaghaz tak mehdood rahe ga.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now