CHAPTER - 63

435 19 9
                                    

---

Kitni der tak gaadi mein khamoshi chhayi rahi. Woh driving karta raha. Aur Jannat bahar dekhti rahi.


Safar lamba tha. Sadke kahin sunsaan aur kahin aabadi ho jaati thi. Aasmaan, sheher ki roshniyan, aabadi, aur unka safar... khamosh safar, udaas safar.

"Tumhe pata hai, tumhare papa kitne ajeeb insaan hain. Ghanta ho gaya hai, hum sadko pe ghoom rahe hain aur unse yeh nahi hua ke ice cream hi khila dein." Woh apne bachche se mukhatib thi.

Steering wheel par grip jamaye Faris ne use sakht nazron se dekha.

"Main ne kaha mujhe khamoshi chahiye."

"Haan to main kaun sa tumse baat kar rahi hoon?" Kandhe uchhaka kar rukh badal gayi. Jawde bhinche kar usne qareebi ice cream parlour ke samne gaadi rok di.

"Insaan muravattan pooch hi leta hai ke gaadi mein khana chahogi ya bahir." Woh darwaza kholne hi laga to bol padhi.

"Farmaiye! Kya khwahish hai?" Tap kar poocha.

"Ab tum pooch hi rahe ho to, kyun na pehle pizza kha liya jaye?" Zabt kar ke woh uski taraf mod gaya.

"Shaam ka khana khaye abhi do ghante hue hain."

"Tin ghante." Fauran hi tashih ki. "Yeh jo ek ghanta se hum sadko par khwar ho rahe hain isey bhi to count karo." Balki ruk kar apni ungliyon par hisaab kitaab shuru kiya.

"Hamari jab kitchen mein ladai hui to us waqt aath baje rahe the. Phir jab bahar nikle to us waqt nau baje ka waqt tha. Ab das baje wale hain. Kuch der baad tin ghante poore ho jayenge."

"Main tumhe apne saath kyun laaya hoon?" Jhalla utha.

"Ham khud aaye hain." Jhatak kar boli.

Steering wheel ghumate huye gaadi ko sadak par dal diya. Kuch der baad woh pizza hut mein maujood the.

Uske liye order de kar woh khud ajnabi ke tarah seene par bazoo bandhe baitha tha. Is waqt uska na to kuch khane ka mood tha aur na hi koi baat karne ka. Kaafi se zyada jhillaya hua tha. Use to jaise kuch bhi acha nahi lag raha tha. Pizza se farigh ho kar phir ice cream parlour ka rukh kiya gaya. Khule aasman tale, bulandi se railing ke us paar sheher ki roshniy ko dekhte Jannat Kamal apni ice cream se lutf andoz hoti rahi. Faris apna cup haath mein liye chup chaap baitha tha. Uske asraat pehle se kuch behtar the. Aankhon ki sakhti kam ho chuki thi. Maathe par ab koi bel nahi thi. Woh uske kandhe se sar lagaye upar kahin aasman ki taraf dekh rahi thi aur lagataar bolti ja rahi thi. Uski tamaam baaton mein kahin bhi Aarzoo Jahangir ka zikr nahi tha. Tajjub nahi tha. Qissa, nafrat ya iske rawaiye ko le kar haqaarat nahi thi. Usse is baat se farq nahi pad raha tha ke woh apni maa se nahi milti. Is baat se bhi nahi ke woh unse nafrat karti hai.

“I'm sorry!” Usne chup hote hi kaha.

Bahut achanak aur bina kisi hawala diye.

“Kis liye?” Usne hairaan hote hue pucha. Faris khamosh raha. Shayed woh apne rawaye ki maafi maang raha tha.

“Meri taraf se bhi sorry kuch soch kar usne bhi keh diya.

“Kis liye?”

“Main bhi to kaafi ulta seedha bol gayi.”

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now