•••
Faris kuch sadme aur beyaqeeni se Jannat Kamal ko dekh kar reh gaya tha. Jannat yeh kya keh rahi thi? Shak aur badgumaniyo mein woh pehle bhi uljhti thi, magar aisa kabhi nahi hua tha.
"Tumse koi kuch bhi kehta hai aur tum yaqeen kar leti ho?" Woh taasuf bhari nigahon se dekh kar bol utha. Jannat ki aankhein phir se nam hone lagin.
"Usne kaha" wo baat adhoori chorh kar ro pari Jaise alfazo ko kehna bhi kisi gehre sadme, kisi gehri aziyat se kam nahi tha. Magar woh batate gayi . Uski ek ek baat, apna ek ek dard, ek ek gham, ek ek khauf Faris khamoshi se sunta raha, lekin andar hi andar shiddat se gusse mein lapetaa gaya. Halanke woh sabar se kaam le raha tha. Is waqt Jannat ko sambhalna aur is haalat se nikaalna be-had zaroori tha.
Jab woh khamosh hui to usne uska haath apne haathon mein le liya.
"Tumne khud keh diya, ijazat de chuki ho ke main jo chahoon kar sakta hoon. Kisi se bhi doosri teesri shaadi racha sakta hoon," usne kaha to uski awaaz gumbheer thi aur lehja dhima tha.
"Lekin main nahi kar raha. Kyun? Kya main majboor hoon? Kya mujhe mummy ka khauf hai? Apne bache ke hawale se tumhari sehat ki fikar hai? Kya main intezaar kar raha hoon ke bache ki paidaish ke baad hi kisi ko zindagi mein shaamil karunga? Agar main itna hi be-hiss hoon to mujhe to intezaar bhi nahi karna chahiye. Kya galat keh rha hu?" Usne ruk kar poocha, Jannat ne apne lab kaat kar reh gayi.Aansoo hanooj bhete jaa rahe the.
"Adina ne kaha, tum usay wapas lana chahte ho," wo shishak padi.
"Kya yeh baat maine tumse kahi hai?" Faris ne narmi se uski baat kat di. Uska sar nangin bulaya.
"To phir kisi doosre teesre insan ki baat mere daave se zyada qabil-e-aitbaar kaise ho sakti hai tumhare liye?"
"Kyunki tum usse mohabbat karte ho."
Faris apni jagah tham gaya.
"Tum us wajah se mujhe talaaq dena chahte the. Tum nafrat karte the mujhse. Tumne kaha tha tumhe agar life partner chahiye hota to woh main na hoti. Tumne mujhe reject kiya tha." Uski awaaz kapkapa rahi thi.
"Yeh sab Adina ki wajah se tha." Faris ke zakhm taza hue, dard phir se jaag utha. Usne aankhon mein karb liye Jannat Kamal ko dekha. Woh be-aitbari ki usi ghaati mein ja khadi hui thi jisse se woh usay kisi kadar koshish se nikaal laya tha. Woh phir se toot rahi thi. Phir se fana ho rahi thi. Lab bhinchte hue usne apne andar ke iztirab par qaboo paane ki koshish ki. Shor bohot achanak se uth gaya tha. Chehre gudh jaane lage the. Jannat ki awaaz kahin peeche reh gayi thi.
Usne palkein jhapka kar un manazir ko jhatka jo aankhon mein utar aaye the. Ek baar phir sar utha kar Jannat ko dekha tha. Woh usay nahi dekh rahi thi. Woh rote hue bas apni kahay ja rahi thi.
"Tum... tum Adina se shaadi kar loge? Humare bacche ko mujhse le kar talak de doge? Tum har kaam planning ke saath karte ho, soch samajh kar, apna fayda nuksan dekhte ho har maamle mein," uska lehja tuta hua tha, awaaz kapkapane lagi thi. Ab bhi agar...," usne sar uthakar motohash nigahon se Faris ko dekha,
"ab bhi agar aisa kuch soch rahe ho, agar ab bhi..."
"Faris, main toh mar jaungi," woh ek dum se phoot phoot kar rone lagi.
"Main waqai mar jaungi."
Faris kuch sadme se usay dekh kar reh gaya tha. Yeh dar kis kefiyat ki halat thi jo Jannat Kamal par chha gayi thi? Yeh wahshat ka kaunsa ehsaas tha jo uske wujood par haavi ho gaya tha? Uske hosh-o-hawaas mothabhil kyun ho rahe the? Woh sochne samajhne ki salahiyat se mehroom kyun ho rahi thi?
Uske andar kuch kho dene ka ehsaas ek dum se bedaar hua. Be-ikhtiyaar Jannat Kamal ko apne baazuon ke hisaar mein le kar apne paas kar liya.
"Hey, relax. Kya ho gaya hai?" Uske lehje mein fikar thi, dard tha, mohabbat thi, magar woh chup nahi hui.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...