•CHP-33•

424 29 4
                                    

•••

Raat ka jane kon sa pehar tha jab rone ki aawaz sun kar uski aankh khul gayi thi. aawaz jannat ki thi. woh taizi se uth kar bahar aaya tha. samne hi Dr. Mustafa usey baho mein bhare sidiyo par baithe the.

"woh zor se gira upar se uska sar phataa itna khoon beh raha tha baba"

hichkiyon ke beech baa-mushkil lafz ada karti, shiddat se roti jannat uske ain samne thi. dam sadhe woh apni jagah khada raha.

"Guriya! woh sirf aik haadsa tha. ghalti se huwa. Isme aap ka koi qasoor nahi."

Dr. Mustafa uski pusht sehlate hue usey samjha rahe the.

"Ammi maaregi. baba!"

khauf aur wehshat ang ang se ayaan thi. woh ba qaida kapkapa rahi thi.

"Baba! husnain mar gaya."

unhon ne bhinch kar usey khud se laga liya.

"Shhh! kuch nahi huwa. aap ne kuch nahi kya. yeh sirf khawab tha beta."

baat karte karte un ki nazar nim tareqi mein faris par pari.

"Nahi baba! ammi aayi thi. ammi maar rahi thi." woh Bilak Bilak kar roye ja rahi thi.

"Hum subah mouni ke ghar jayen ge. neelam se milne, park bhi jayen ge. khilone bhi khareedege"

parh parh kar us par phoonk rahe the.

"Abhi aap so jayen."

Uski pusht thapthapate woh usey behla rahay the. aur jane kya kuch shiddat se rote, bolte sakte woh yaka yak par sukoon hone lagi thi. faris darwaze mein hi khada unhen khamoshi se daikhta raha.

jab woh pursukoon ho kar so chuki to usey kamre mein sulaa kar woh neeche aagaye the. woh raahdaari mein khada tha.unhen kitcehn mein jata dekh kar unke peeche chala aaya.

"Sab kheriyat hai?"

uski samajh mein nahi aaya baat kaise shuru kare.

"Haan!"

pani peene ke baad unhon ne khaali glass maiz par rakhte hue gehra saans liya.

"Jannat theek hai?" usey jane kyun fikar ho rahee thi.

"Haan, woh theek hai, bas neend mein dar gayi thi."

agley kayi lamhoon tak taiz hawaon ka shor hi un ke mabain khamoshi mein mukhil hota raha. phir unhon ne lafzon mein usey sab bata diya. woh jannat ko kab aur yahan kyun laaye the. woh un ke sath kyun reh rahi thi. woh itna ro kyun rahi thi. faris unhen suntey hue apni jagah sakit sa khada tha. jannat ko dekh kar bilkul nahi lagta tha, woh kitney bade trauma se guzri thi. go ke woh bata rahey the ke child psychiatrist ke paas uska chhe mah tak ilaaj chalta raha tha aur ab woh pehley se bohat behtar thi magar phir bhi woh heran huwa tha.

"Jo bhi huwa, nadani mein huwa. magar meri beti jannat ko qasoor waar samjhti hai. bohat nafrat karti hai usse."

woh bol rahe the to lehjey mein dard pahuncha tha.

"Agar meri apni aulaad aisa na kar rahi hoti to shayad! mein kabhi maanta hi nahi ke maae bhi aisa kar sakti hain."

apni baat khatam kar ke woh karb se muskuraye aur uth khade hue.

"so jao kaafi raat ho chuki hai."

uska kandha thapthapa kar woh chale gaye magar faris wajdan kitni hi der tak apni jagah khada raha tha. uski aankhon mein jannat ka hanstaa muskurata chehra tha aur kaanon mein siskariyon ki aawaz goonj rahi thi.

Jin khush qismat tareen bachon ke sath woh apne naseeb ka mawazna kar ke khud ko bad qismat tareen grdanta tha, un mein aik hanstaa muskorata wujood to bilkul uske jaisa tha thukraya huwa nafratoon se ghira na mukammal raha aur adhoora sa. magar phir bhi khush mutmaen aur bohat par sukoon.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now