•CHP-41•

551 24 9
                                    

•••

woh kitchen counter par mobile hathon mein liye baithi thi jab sadar darwaze se andar daakhil hotay hain. Faris wajdan kitchen mein agaya. bachon ke jane ke baad do ab hi usey akeli nazar aayi thi.

"Kaisi ho?"

Usne fridge se pani ki bottle nikalte hue poocha. aawaz bhaari lehza tehra huwa.

"Jaisi bhi hu tumhe isse kya?"

mobile par khud ko masroof zahir karte apna gussa nikala.

"Khair se ab tum yeh to nahi keh sakti.

jannat ne sar utha kar aik sulgti nigah us par daali.

"Keh sakti hoon! bilkul keh sakti hoon."

daant pees kar jawab diya.

Faris ne ruk kar usey dekha. wo mobile par nazrein jamaye khud ko masroof aur be niaz zahir kar rahi thi magar aankhon mein ghusaa saaf nazar aa raha tha. woh uski mojudgi par qatai khush nahi lag rahi thi.

"Kya hum baat kar satke hain ?"

koi bhi jawab diye baghair usne sar utha kar yahan wahan dekha. kuch aur nazar na aaya to cutting board par pyaaz aur churee rakhi hui nazar aagai. foran se aasteene charha kar shuru ho gayi. khayaal tha jab woh usey masroof dekhe ga to koi baat nahi karega. magar yeh us ki khaam khayaali thi. Faris ain uske peechay aan khada hua.

"Mein Talaq bhi nahi dena chahta. aur chahta hoon ke tum court bhi na jao. is ke liye mujhe kya karna chahiye?"

jannat ki dharkane tham gayeen. samat par yaqeen nahi aaya. gardan mour kar usne faris ko sadme se dekha. woh uske peeche be had qareeb khada tha. itna qareeb ke wo uske kapron se uthti mardana perfume ki khushbu basani mehsoos kar sakti thi.

"Mazaaq ura rahe ho tum mera?"

"Khwahish ka izhaar kar raha hoon."

"Galat insaan ke samne ghalat khwahish ka izhaar kar rahe ho."

rukh badal kar woh phir se pyaaz katne lagi.

"Mein apne bacche ki maa se baat kar raha hoon."

Jhuk kar sar ghoshi ki. jannat ke haath sakit hue. dharkan taiz ho gayi. phir sambhal kar lab bhinch kar usey dekha.

"Goya apne bacche ke liye is rishte ko bahaal karna chaah rahe ho."

"Nahi, yeh kaam mein sirf tumhare liye karna chaah raha hoon."

woh dam sadhe agley kayi lamho tak aik haath mein churee, doosre haath mein pyaaz liye khadi reh gayi. yun jaise yaqeen karna chaah rahi ho, usse yeh baat faris wajdan ne ki hai.

"Achha mazaaq hai yeh!"

aziyat se barr bara kar rukh badal gayi.

"Magar mein to sanjeeda hoon."

churee patak kar usne rukh badla.

"Mujhe hargiz pasand nahi hai, koi mujh par taras khaye."

uski aawaz taiz hui thi.

"Tumhe lagta hai, mein tum par taras kha sakta hoon?"

usne jannat ki aankhon mein jhaka. woh dam sadhay khadi rahi.

"kyun kar rahe ho yeh sab?"

usne zabt kar ke tahammul se poocha tha.

"Bataya to hai tumhare liye kar raha hoon."

"Mere liye ?"

usey sakht nazron se dekhte hue usne ungli se apni taraf ishara kya. bardasht ki aik had hoti hai, aur woh had is aik lamhey mein khatam hui thi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now