•••
Nim tariqi mein aankhon ko chubti hui roshni laptop ki screen ki thi. typing ho rahi thi magar typing ki aawaz bahar haal nahi thi. usey pyaas lag rahi thi. halaq sookh kar ka kata hua tha. kisi qader koshish se woh kohni ke bal par hui. haath barha kar side table ka lamp on gaya. pani ka jung ya glass wahan nahi rakha tha.
"kuch chahiye?"
Laptop cushion se hata kar aik taraf rakhte hue aur uski taraf mutwajja ho chuka tha.
"Pani"
uski aawaz neend se boujhal, aur ankhen khamar bhari thi. madham si roshni mein bhi woh uske chehre ki pasmrdaghi ko mehsoos kar sakta tha.
guzashta kuch dino se uski tabiyat kharab thi. do bar hospital bhi le ja chuka tha, woh medicine aur zaroori ka supplements bhi le rahi thi magar kabhi bukhaar kabhi sar dard, aur kabhi kamzori ke baais tabiyat nidhaal hui rehti thi. Lihaf hata kar aik side par karte hue woh room freezer ki taraf barh gaya. pani ki bottle aur glass utha kar uske paas aaya to woh tab tak uth kar baith chuki thi. usne glass le kar pani piya.
"Kisi cheez ki zaroorat to nahi?"
woh puchh raha tha. jannat ne khaali glass side table par rakhte hue usey dekha. pichhle teen dino se woh aisi hi
aik nazar us par zaroor daalti thi. shak, herat aur uljan bhari nazar."Meri ghair mojudgi mein tumhare sath koi haadsa paish aaya tha?" usne pucha.
"Nahi! kyun?" woh uske sawal par kuch heran huwa.
"Tum mujh se puchhte ho, kisi cheez ki zaroorat to nahi, matlab tum puchhte ho."
haath se ishara kya.
"Nahi puchhna chahiye ?"
"Poore paanch mah tak nahi puchha to ab kyun ?"
sawal baja tha. aitraaz bhi baja. Wo la jawab huwa. zair lab kuch barr badate hue woh takiye ko durust karti nim daraaz ho gayi. farsi doosri taraf apni
sabiqa position mein aakar beth gaya tha. lihaaf tango par daalte hue cushion par laptop rakha aur aik baar phir apne kaam karne laga. woh uski janib karvat badal kar gaal ke neeche haath rakhe khamoshi se usey dekhne lagi. aankhon par frame less glasses the, peshani par bal be tartibi se bikhare hue, yaksoi se apna kaam karte hue aur aitraaf se aksar beniyaz nazar aata tha."Jante ho aksar amina mujh se kya ke rahi theen?"
uski aawaz neend se mutasir lag rahi thi.
"kya keh rahi thi ?"
Faris ne nazron ka zawiye hain badla tha keypad par ungliyan taizi se mutharrak thee.
"Aap tension na le mrs. faris! kya matlab kyun tension na lu? yeh doctors is tarah ki nasihate hame kyun karti hain. matlab shoharo se kyun nahi keh sakti, apni biwion ko tension na do."
dheema lehja kuch naram, kuch khafgi bhara. Mister faris! uski baatein, uska qissa lehja andaaz. wo aise hi ladne ke chakkaro mein uske dil ke taar chairr gayi thi.
Faris ne be sakhta laptop se nazrein bana kar usey dekha. usey laga ke do apna focus apne kaam prnhin jama sakega. Dheemi si zarkar roshni mein Jannat ka momi chehra numaya tha. surkh aankhon mein khafgi thehri hui thi. peshani par dhair saare bal thay. aik lamhe ke liye agar uske tassurat naram hote the to doosre pal aur shadeed ghusse mein nazar aati thi.
"Achha batao kya tension hai tumhe?"
uska yeh andaza lehza rawaiyya jannat ke liye qatae naya tha. woh lamhe bhar ke liye heran, phir doosre pal kuch pareshan aur teesre second mein sadme se bahar aagai.
"Tum hi to meri sab se bari tension ho."
Bhunna kar keh diya. guzashta teen dino se woh jis tarah uska khayaal rakh raha tha to na chahate hue bhi usey khamosh rehna para tha. woh usey gussa, narazgi khafgi, kuch bhi nahi dikha saki thi. bas khamosh rahi thi. ab mazeed khamosh nahi reh sakti thi.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...