کِسٹ نمبر 9
mobile par faris ka message moshul huwa tha. jannat apni bua ke paas thi, woh usey wapas laa raha tha. Message parhte hi saira jaye namaz par tasbeeh liye be sakhta sajde mein gir gayi theen. yeh sajda, sajda e shukar tha palatne ke liye simtne ke liye aur badalne ke liye tha. woh apna ehatasab kar rahi theen. aik yateem bachi ke liye un se bhool hui thi.
unhen woh waqt achhi tarah se yaad tha jab bemari ke dinon mein un ke waalid ne unhe phone kar ke apne ghar bulaya tha. apne paas bitha kar unhon ne jannat kamaal ke mutalliq wasiyat karte hue apne queta wale makaan ke kaghzat ke sath sath aik band lifafa un ke hathon mein pakra diya tha.
"Agar kabhi khandan mein jannat ki zindagi tang ho jaye to isey khol lena."
woh lifafa aglay paanch saloon tak un ki almaari mein mehfooz aur band para raha tha.
is lifafe ko kholne ka khayaal unhe poore paanch saal baad is waqt aaya tha jab Burhan usey Talaq de chuka tha, aur Nafisa wafaat pa chuki theen. sage chacha ne jannat par tasallut jama liya tha, woh uska rishta Zaman Safdar
Ke sath tey kar rahay the. woh jannat ke har mamle mein khud ko qatee be bas tasawwur karti theen. so unhen aik yahi hal nazar aaya tha.band lifafe mein aik kaghaz tha jis par Jamila dawood shirazi ka naam aur shirazi mension ka address likha tha. neeche kahin shirazi interprise ka number bhi tha. sunehri huroof ka aik qeemti business card, jo yaqeenan qareebi sathiyo ko ataa kiya jata hai, aur chand dawat naame un mein aik dawat nama kisi Hammad shirazi ki saalgirah ka tha. agle kayi lamho tak woh unhe haath mein liye baithi reh gayi thi. Shirazi khandan ke sath Dr. mustafa ke taluqaat kitne darina gehray rahe the, uska andaza un card se bakhoobi hor ha tha. chunke shirazi khandan aik naamwar khandan tha so is aik lamhe mein kayi khabrain, kayi qisse aur kayi baatein un ke zehen mein ghoom gayi thi.
lifafe mein aik chhota sa kaghaz tha jis mein Jamila dawod ke naam aik tehreer likhi thi .
‘Meri nawasi jannat kamaal ab aap ki amanat hai.’
Mukhtasar ibaarat, mazeed koi hawala kisi tarah ka koi ishara na tha.
pehle pehal to woh kuch samajh hi na payen magar phir shaam tak unhone apne bete ki madad se Jamila dawood se mutaliq maloomat haasil kar li.
Jamila dawood aaj kal Islamabad mein apne bete ke sath rehaish Pazeer theen. address milte hi aglay din woh mulaqaat ke liye islamabad se milne chali gayi thi.
wajdan house ke gate par sakht security thi. baghair kisi taaruf ya jaan pehchan ke unhen andar daakhil hone ki ijazat nahi mil sakti thi.
"Aap mrs. shirazi se keh de, dr mustafa ki beti un se milne aayi hai."
unhone woh lifafa bhi andar bhijwa diya jis mein kuch cards aur woh khat tha. kuch hi der baad gate khol diya gaya. aik bawar di mulazim unhen andar le gaya. shaan daar ghar ke androoni ihatay se hotay hue lounge se woh prtaysh drawing room mein aagai theen. samne hi aik so buri khoob soorat khatoon wheel chair par aatish daan ke samne baithi theen. card haath mein liye, kuch herat, kuch tarap aur kuch sadme se inhen dekhte hue.
"Dr mustafa!"
unhen yun laga jaise yeh naam un khatoon ke andar aik zindagi ki dora gaya ho. rasmi taaruf ke baad unhon ne jannat kamaal ka zikar chher diya. woh bachi jisey Dr. mustafa ne paala tha, do Talaq aur maa ki wafat ke baad sakht tareen halaat se guzar rahi thi. un ke lehjey aur andaaz se be basi jhalakti thi. jaise woh jannat ke liye kuch bhi karne ki salahiyat na rakhti ho. woh un ke paas sirf is liye aayi theen kyunki khat mein un ka naam likha tha.
Jamila dawood shirazi ne poori baat bahut khamoshi aur tawajuh se suni thi. kuch der tak woh khamosh rehti thi, phir jaise unho ne baghair kisi taraddud ke jannat kamaal ka rishta maang liya.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...