•••
Subah uski aankh khuli toh taqreeban 6 baje ka waqt tha. Faris ke sahara dene par wo uth kar baith gayi thi. Doctor aur nurse bhi kamre mein mojood thi. Wo glass haath mein liye waqfa waqfa se paani pi rahi thi aur...
Faris sine par baazu bandhe khamoshi se usko dekh raha tha.
Rone ke baais aankhein suji hui thi magar unmein kahin bhi gussa, khauf, pareshani nazar nahi aa rahi thi. Chehre ke ta'asuraat bhi kuch had tak normal the. Tabiyat kharabi ke baais rangat hanuza zaroor murjhayi hui si lag rahi thi magar guzashta shab ke waqiyye ki koi jhalak nazar nahi aa rahi thi. Check-up ke baad nurse ne cannula nikal kar sunny plast lagaya. Doctor ne kuch zaroori hidayat di. Kuch tanbiya Faris kr liye bhi thi wo ni use strees or har tarah ke pehni tabaw se bachana ka keh rahi thi. Shayad mamla is baar serious hua tha. Warna isse pehle wo bahut aasani se maslo ko taal deti thi. Jada asar nahi leti thi. Wo sunte hue uski taraf dekh raha tha. Aur wo nazar jhuka kar chehre ka rukh badal gayi thi.
Saat baje discharge kar diya gaya to wo usey ghar le aaya Mrs. Shirazi unke intezaar me lawn me hi bethi thi.
Wo sidha unke paas gayi thi. Unke gale lagi thi. Fir unse baat kar rahi thi. Wo uske Kaan par hath rakhe kafgi se kuch keh rahi thi. Aur usne ek dam se shrminda hote hue sar jhukaya tha. Faris jebo me hath dale kadre faasle par khada hua tha. Bekhwabi ka shikar aankho me surkhi si thehri thi. Chehra be taasur sa lag raha tha magar uske andar jo kuch ho raha tha usse sirf wohi wakif tha.Chuki doctor ne muqammal aaram ki takid ki thi to jannat nashte ke baad kamre me chali gayi thi. Jabke wo kuch der tak Mrs. Shirazi ke paas unke kamre me betha raha tha.
"Jannat ki baaton se pareshan ho rahe ho?" Unhone narmi se pucha toh usne chonk kar sar uthaya. Sofa ke hathhe par uski ungliyaan aahista se mutaharrik hui.
"Nahi." Keh kar khidki ki taraf dekha.
Dhoop seedha uske chehre par rahi thi. Aankhon ka har rang numaya ho raha tha.
"Lag toh rahe ho." Maa thi aur uske andar tak jaan gayi thi. Mushfiq si muskurahat liye wo unki taraf dekhne laga. Phir seedha ho baitha.
"Main uski baaton se pareshan nahi hoon. Mummy infact mujhe accha laga usne apne khauf ka izhaar kar diya." Wo normal lehje mein aahista se goya hua.
"Pichhli baar usne pareshaani mein ghar chhod diya tha. Is baar usne aisa nahi kiya. Usne mujhse baat ki. Jo masla tha, woh mujhe bataya. Koi ulti seedhi harkat nahi ki. Aapka kya khayal hai, main is par upset ho sakta hoon?" Mrs. Shirazi ne uska haath apne haath mein liya. Phir num aankhon ke saath uske gaal par haath rakha.
"Usne kaafi se zyada stress liya. Toh less iska soch kar..." Usne baat adhoori chhod di.
"Agar tum kaho toh main Jannat se baat karun?"
Woh chaand lamho tak unhe ahistagi se dekhte raha.
"agar zarurat pari toh aap se kahoonga." Aur aahista se bola. Unhone uske haath par apni giraft barhai.
"Kuch mat socho, sab theek ho jayega."
"InshaAllah."
Woh apne kamre mein aaya toh Jannat bed crown se tek lagaye bethi thi.
"Ab kaisi tabiyat hai?" Woh pooch raha tha.
"Theek hoon." Woh use office ke liye tayar hota dekh kar ekdum se pareshaan hui thi. Bimaar woh thi, toh baaki kaamil mein be-araam woh bhi toh hua tha. Aankhein toh ratjage ki waazeh gawaahi de rahi thi.
"Tum office kyun ja rahe ho?"
"Kuch zaroori kaam hai." Woh normal leje mein jawab dete hue tie ki knot bandh ne laga.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...