•CHP-25•

500 28 3
                                    

•••


"Jee aapa!"

"Bilkul theek keh rahi hain aap!"

woh kitchen mein khana bana rahi thi jab phone kaan se lagaye Noreen aapa se baat karti maheen kitchen mein aakar baith gayi thi.

"Kitni takleef uthana padtee hai, aisey to nahi Allah ne maa ke qadmon tale Jannat rakhi."

taizi se pyaaz kaate te usne sakeena ke zimme  dusra kaam lagaye aur khud chicken ke liye masala bhunne lagi.

"Magar jin ki aulaad na ho, unhen bhala kya andaaz.."

jannat ne baa-mushkil khud ko sambhala. woh kaam nahi kar rahi hoti to yaqeenan idhar udhar ho jati.

"Khayaal to bohat rakhti hoon aaya, phir bhi darka sa laga rehta hai."

Jannat ko kin akhion se dekhte hue usne aik aur teer chhora tha.

"arrey nahi, yeh baat nahi nahi aaya! jannat bohat achi hai."

"Meri choti behno jaisi hai, bohat khayaal rakhti hai mera!"

aik marahil ko ruk kar usne kuch suna, phir muskarayi, sar utha kar jannat ko dekha.

"In sha Allah beta hi ho ga. mein Burhan ko beta hi dugi."

jannat cutting board par tamatar kate gayi thi.

"Ammi ke bare mein bataye, woh Karachi se kab aa rahi hain?"

Ab woh apni saas ke mutaliq pooch rahi thi jo pichhle kuch dino se apni choti beti ki taraf gayi hui thi. doosri taraf jane kya bataya gaya ke woh be ikhtiyar chonk uthi thi. jannat ne uske lehjey ka badla  khaas tor par mehsoos kiya tha.

"Achha! Mujhe laga woh aik do hafte wahi rahen gi. chalein acha hai woh ajaye. mujhe waise bhi un ki bohat zaroorat hai. meri maa jaisi hain wo.."

Lagawat se keh kar kuch der tak sunti rahi phir phone band kar ke apne kamre mein chali gayi. shaam ka khana tayyar kar ke sakeena ko Hidayat de kar jannat apne kamre mein aagai.

almaari ke patt khole woh kapron ko tarteeb se rakh rahi thi jab bairuni gate par Burhan ki gaadi ka horn baja tha.

Usne sar uthaya magar uth kar khar ki tak na gayi.

"bi bi jee!"

ain usi lamhe sakeena kanpti kanpti uske kamre mein daakhil hui thi.

"woh maheen bi bi... un ki tabiyat kharab ho gayi hai. dard se chheeke ja rahi hain."

Burhan ki shirt uske hathon se chhut kar neeche ja giri. woh pareshani ke aalam mein taizi se kamre se bahar nikli.

Sidiyan utar kar jis lamhe woh balai manzil par maheen ke kamre mein daakhil ho rahi thi, usi lamhe gaari park kar ke Burhan laptop case sambhale saddar darwaze ka rukh kar chuka tha.

woh darwaaza khol raha tha aur jannat ke aane ke baad maheen apne kamray ka darwaaza band kar rahi thi. use sahih salamat dekh kar woh ulajh gayi.

"Kya mazaaq hai maheen! sakeena keh rahi thi tumhari tabiyat kharab ho gayi hai."

Is afra tafri mein woh uski darwaaza lock karne wali harkat ko notice kar hi na payi.

"Haan! tabiyat to meri kharab hai."

ajeeb se andaaz mein kehte hue woh peeche hati, aur usse qabal ke jannat kuch samajh paati, usne aik jhatke se dressing table ka samaan bikher diya.

Gul daan tod diya. kanch ka glass almaari ke sheeshe par de mara.

Jannat heran dasht ho kar apni jagah khadi reh gayi.

agle hi lamhe usne pait par haath rakha aur buland aawaz mein cheekhne lagi.

USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]Where stories live. Discover now