•••
pardo ki darz se jhankti Sooraj ki taiz roshni chehre par pari to usne kasmasa kar ankhen khol di thi. uth kar baithte hue usne tayrana nigah kamre mein dorhayi. woh Dr. mustafa ke guest room mein moujood tha. wall clock subah ke aath baja rahi thi. gehra saans le kar us ne apni peshani ko chuva. bukhaar ab nahi tha, tabiyat bhi pehley se kaafi had tak behtar thi.
woh uth kar wash room gaya. mun haath dhote hue usne khud ko aaiine mein dekha. hont khushk, be rang aur ankhon ke kinare surkh ho rahe the.
woh kamre mein wapas agaya. usey bed par baithe thori der hi guzri thi ke Dr mustafa aagaye. unhon ne light on kar di. khidki se parde bhi hata diye.
"Ab kaisi tabiyat hai?" usne sar utha kar unhen dekha.
"Behtar hai."
unhon ne uska muaina kiya. aur muaine ke baad usey daant bhi pilayi ke aakhir woh apni sehat ke hawaley se is qader laa parwa kyun ho jata hai. woh chup chaap sunta raha. unhon ne parhai se mutaliq poocha to hmm haan mein mukhtasir jawab deta woh side table lamp ko hi on off karta raha.
pandrah sala Saleem tray mein nashte ke lawazmaat sajaye andar aaya to woh uth kharray hue. tum nashta kar lo, phir medicine bhi leni hai. uske balon mein mohabbat se haath phertey woh Saleem ke sath bahar chalay gaye. kuch der tak woh be maqsad nigahein yahan wahan dorata raha, phir nashta karne laga. zehen mukhtalif socho ki aamajgah bana huwa tha. waswase aik baar phir sar uthane lagey the. usey Azam Shirazi ki aawaz atraaf mein gunjti mehsoos ho rahi thi.
mera sirf aik hi hota hai. Hammad shirazi mein kisi Faris Haroon ko nahi jaanta. pehley aik dastak hui phir doosri phir teesri chothi baar dastak kam aur thak thak ziyada thi.
usne soup peete hue be sakhta sar utha kar aawaz ki simt dekha. khidki ke sheeshe par nanha sa haath baj reh tha. phir chehra qareeb huwa. yaqeenan uske mutwajjah hone ki tasdeeq ki jarahi thi.
phir khidki ke sheeshe par lafz ubhar ne lagey.
'Get well soon!'
pyalaa haath mein liye woh apni jagah betha reh gaya. chand lamho ke baad khidki ka sheesha aik taraf slide huwa. do poniyo wala sar andar huwa, dhair sara tajassus liye shehad rang aankhen numaya huien. phir ghulaab ki
pankhari jaisey lab kuch herat aur Ishtiaq se wa hue.ab woh usay dekh raha tha kuch herat se aur woh usey dekh rahi thi kuch tajassus se.
chokhat par apni position mazboot karte hue usne aik aik kar ke saare safaid phool andar farsh par pheink diye ke agar woh aisa na karti to phoolon ke kachoomar ke sath hi nazil hoti.
Doosre hi lamhe woh surkh frock samait khar ki phalang kar andar thi. foran phool samete gaye. aur aik istehqaq ke sath side table par rakhe khaali Gul daan mein daaley gaye. phir safaid coat ki jaib se fold kya huwa paper nikala gaya. phir us paper ko nanhi munni hathelion mein rakh kar is ke samne paish kya gaya. aik haath mein chamach liye, doosray haath mein soup ka pyalaa thaame 14 sala faris apni jagah patthar ka patthar usey abhi tak yeh runuma hone wali situation samajh mein nahi aayi thi.
qadmon ki aahat raahdaari mein gunji to bachi hawaas bakhta ki apne gulaabii labon par ungli rakh kar "shhh" karti bed ke neechey chhoup gayi.
"Mein abhi clinic ja raha hoon, phir mulaqaat hoti hai."
Dr. mustafa baat karte karte thitak kar ruk gaye. adh khuli khirdki se hoti hui un ki nigah side table tak gayi aur woh jaisey poori hekiyaat samajh gaye.
"Janna?"
Wahi khade khade unhon ne kuch khafgi se aawaz di. aur janna nami woh makhluq, jo bed ke neechey do zaano baithi thi, jhat se bol pari.
YOU ARE READING
USRI YUSRA [ROMAN URDU VERSION]
Mystery / Thriller𝙐𝙎𝙍𝙄 𝙔𝙐𝙎𝙍𝘼 • عُسري يُسرا 𝑻𝒉𝒊𝒔 𝒃𝒐𝒐𝒌 𝒘𝒊𝒍𝒍 𝒎𝒂𝒌𝒆 𝒚𝒐𝒖𝒓 𝒍𝒂𝒖𝒈𝒉 𝒐𝒖𝒕 𝒍𝒐𝒖𝒅 𝒂𝒏𝒅 𝒄𝒓𝒚 𝒍𝒊𝒌𝒆 𝒂 𝒃𝒂𝒃𝒚 𝒂𝒏𝒅 𝒊𝒕'𝒔 𝒂𝒍𝒍 𝒃𝒆 𝒔𝒐 𝒘𝒐𝒓𝒕𝒉 𝒊𝒕 𝒊𝒏 𝒕𝒉𝒆 𝒆𝒏𝒅. 𝑰𝒕'𝒔 𝒂 𝒃𝒆𝒂𝒖𝒕𝒊𝒇𝒖𝒍 𝒔𝒕𝒐𝒓�...